॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

grihini hone ke karan samay hi nahi milta.. To bhajan kab karen?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

main ek sadharan grihasth hoon. Grih karya karte hue tv ya mobile par leela kathayen sunte hue naam jap karti hoon. Aapse suna hai ki tv mobile aadi se sunna bahirmukh pravriti ko badhana hai. Maharaj ji aisa ekant samay hamen nahi mil pata. Aapko bahut ekant samay milta hai. Ghar grahasti mein bahut ekant samay milta hai. Jo kam karne se bhi rahit us samay koi kam nahi hai. Aisa na kahiye ki aap 24 ghanta biji rahti hai. Koi aisa nahi jo biji rahta ho. Sabko samay milta hai. Ham log us samay ko vyarth nasht karte hain.

ham vyarth samay nasht na karen. Naam jap mein laga den to bahut bhajan ham kar sakte hain. Ham karya karte hue bhajan kar sakte hain. Har roti mein Radha Radha Radha Radha dekho kitna anand aayega andar se. Radha Radha Radha pocha laga rahe hain. Bartan marjan kar rahe hain. Radha Radha pati ko tiphin laga rahe hain. Radha Radha isse aapka parivaar sukhi rahega aur aapka bhajan bhi ban jaega. Jab Radha Radha karte hue bhojan banaoge to jo payega uske hriday se bhi niklegaa Radha Radha

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi