॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

asakti ka parinaam - teen janmon ki yatra karni padi.

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

shri rajarshi bharat ji bhagwan Rishabhdev ji ke putr hain. Bade yogi mahatma hai. Apne bhagwan ki prapti ke liye rajya ko tyag diya. Raniyon ko putro ko parivaar ko tyag diya aur gandki nadi ke kinare ekant mein bhajan kar rahe the. Ek din wo gandki nadi mein bhagwan surya ko argh de rahe the to ek ghatna ghati. Ek mrigi garbhvati thi jo prasav hone hi wala tha wo pani pine ke liye ai itne mein piche se sinh ne dahad ki ab wo bhayabhit hokar ke chhalang mar di gandki nadi mein to wo bachchha yoni se dhara mein gir gaya aur wo giri aur mar gayi bharat ji ne drishya dekha maa to uski mar gayi aur bachchha bahta hua ja raha daud pare us bachchhe ko utha ke laye aisa koi bhi dayavan karega ab use kuti mein rakha to bada dular karne lage dhire-dhire hari hari dhoop tod ke late apne godi mein liye rahte.

ab jo mamta apne putro mein thi puri hiran mein ho gayi. Bada vichitra bhav hai. Bada vichitra maya ka khel hai. Itni jor ki mamta ho gayi ki bhagwan ka bhajan chhut gaya. Aur marne ka samay aaya to antim samay hiran ka hi chintan kiya. Agla janm hiran ka bana. Phir itna bhajan kiya hiran ke sharir mein. Tisra janm brahm bodh sampann jad bharat ji ke rup mein hua. Bhajan kabhi vyarth nahi jaata. Hiran bane to gandki nadi mein hi khade hokar ke raat din bhajan karke bhagwan ka agla janm unka brahm bodh sampann jad bharat ji ke rup mein

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi