॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ticket Ram ji lenge?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

main Gujarat katha karne gaya. Ji. To Swami ji ne pucha ki aap dakshina kya lenge? Maine kaha katha to ho gayi. Ab jo dena hai de do. Ji. Bole nahi nahi jo aap denge wahi jo aap kahenge wahi de denge. Maine kaha main pahli bar aaya hoon. Mujhe Dwarika ji bhej do. Mere saath panch mahatma hai. To unke ashram mein ek ladka tha uska naam tha Ram ji lal. Kuch paise deke unhone kaha ja mahatmaon ko Dwarika le. Ham bas mein gaye to bas mein bhid badi zyada thi. Aur ham to chadh gaye. Wo ladka jiske paas paise the wo niche rah.

bas chal padi to ham ghabrae. Kya hoga? Bole ghabrao nahi. Main upar chat pe baith jaata hoon. Ticket khud le lunga. Bas chal padi. Kandaktar ne pucha maharaj ticket. Hamne kaha ticket to Ram ji lenge. Bole kaun Ram ji? Main gira upar. To usne ticket hi nahi liya. Jab ham Dwarika pahunch gaye wo to ladka kahta hai bapu ticket ke paise le lo. Main kaha ticket to hamne liya hi nahi. Wo kahta hai gazab ho gaya ki ticket maine bhi nahi liya. Tumne kyon nahi liya? Wo kahta hai upar aaya hi nahi kandaktar. Usne pucha aap to andar baithe the aap kaise pahunch gaye?

aapse to ticket pucha hoga. Maine kaha pucha tha maine bol diya ticket Ram ji lenge. Kaun bole upar? Wo to sadhu atma hai bhagwan. Wo to asli bhagwan Ram samjh gaya. Main apni gaddi se utha aur us ladke ke panv chu liye. Usne kaha maharaj main to naukar hoon. Mere panv kyon chu rahe ho? Main kaha tumne gyan kara diya ki jab nakli Ram ka naam Dwarika pahuncha sake. Agni ka pahuncha hi dega. Bilkul bilkul bilkul bahut sundar bahut sundar.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi