॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ham mata-pita ki seva karte hain, phir bhi ve hamari burai kyon karte hain?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ki ek beta aur bahu apne mata-pita ke pure praytn se seva karte hain aur jab unke paas koi rishtedar aata hai na aur wah ninda karte hain apne beta bahu ki aur wah rishtedar jab beta bahu se kahta hai to bahut dukhi ho jaate hain. Dekho yahi tumhari seva ka phal hai ki wah tumhari ninda karen. Tum seva mat chhod dena. To yah ho sakta hai kyonki vridha avastha mein buddhi kharab ho jati hai. Chahe jitni seva karo tumhen gali hi denge. Tab phir ham ki ham seva karte hamen gali dete hain. Hamari ninda karte hain.

usi gussa ko sah jao aur seva kar lo to bhagwan tum par prasann ho jaenge. Ye tumhari pariksha hai seva karne walon ki ki ham seva karen aur usi vishay mein hamari ninda ho aur ham use sah jae aur phir seva karen to yahi hamari sabse badi seva hogi. Rishton mein hota hai maharaj ji ki sas ki seva kar rahi thi phir bhi gali par rahi hai. [nak se ki jane wali aawaz] haan tabhi to phir gali pare phir bhi sas ki seva karo tab aap sevak ho. Kah rahe hain seva karti hoon bat phir bhi unko accha nahi lagta to phir mere ko lagta hai seva hi chhod du.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi