॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya kabhi kisi se sacha pyar kiya hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

kisi se pyar kiya hai sacha uske dekhe bina chain nahi parta. Uski baat sune bina chain nahi parta. Wahi gali achchhi lagti hai jismen hamara pyara hota hai. Agar pyare ka milan na ho to bhojan accha nahi lagta. Nind achchhi nahi lagti. Raat mein leto to wahi dhyan mein aa raha hai. Uske siva koi hai nahi. Kuch accha nahi lagta. Apna shringar bhi accha nahi lagta. Dost bhi achhche nahi lagte. Kuch accha nahi lagta. Bas ek bar us gali se koi gujar jae aur wo mujhe batae ki maine use dekha hai.

maine use dekha hai. Koi akar bata de ki wo mere vishay mein baat kar raha tha. Wah meri charcha wah mujhe janta hai. Main itna pyar karta hoon. Wo mujhe bhi janta hai. Par uski baat, uski chitvan, uski muskan, usi ka dekhna, usi ka sunna, usi ka bolna. Ashik shabd ka prayog kiya gaya hai. Hari ashik ashik jo hota hai na haan ashiki ek badi gazab ki chij hoti hai. Sampurn sansaar se rag chhutwa kar ek mein prakt kar deti hai. Ashiki jab prabal ho jati hai tab jeena mushkil ho jaata hai. Apne pyare ke bina jeena mushkil ho jaata hai.

apna pyara nazdik hota hai to dar lagta hai kahin chhut na jae. Ek bhay laga rahta hai ki kahin hamara bichho na ho jae. Kahin kuch ho na jae. Matlab wah har samay apne pyare ke vishay mein tab use khan-pan accha lage. Khan-pan accha jab lagega jab pyara saath hoga. Pyare ke bina khan-pan nahi bhave hai. Nahi komal vasant suhave hai. Sab vishay lage te khara hai. Hari ashik ka mal. Pyar bahut badi chij

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi