॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya parivaar ki sukh-kamna se bhakti kam ho jati hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

maharaj ji aap kah rahe hain ki jab bhajan mein ham lagte hain to man mein aata hai ki mere ghar ki is bande ki bimari theek ho jae. Mere bijnes nuksan kam ho jae. Bachchon ka exam theek se ho jae. To aisi bhawnaen aati hai to ye kamna koi baat nahi. Koi baat nahi ane dijiye. Ham kisse kahenge? Jab ham bhagwan ke hain aur hamare ko bhagwan ne putr diya, pati diya, parivaar diya to ham kisse kahenge ki hamen dhan chahiye. Ham kisse kahenge ki hamari samasyaon ka samadhan chahiye? Bhagwan sarvshaktiman, sarv aishwaryavan, sarv gyanmay, sarv vairagyamay, sarv premay hai.

to ham apne bhagwan se hi mange. Char prakaar ke bhakton ka gita ji mein varnan hai. Artharathi arthat bhagwan se dhan chahne wala, ar arthat bhagwan se sankat nivitti chahne wala, jignyasu arthat bhagwan ko janne wala aur gyani arthat bhagwan ko jaan gaya hai jo bhagwan ko prapt ho gaya hai. Yadi aap apne sankat ke samay sankat nivitti ke liye bhagwan se prarthna karte hain ya dhan prapti ke liye bhagwan se prarthna karte hain. Koi galat nahi hai. Bhagwan ne kaha hai wo mera bhakt hai. Artharathi mere se arth chahta hai.

lekin wo sirf mere se chahta hai aur se nahi. Jaise hamare hriday mein ye hai ki bhagwan hi mujhe arth denge. To kisi na kisi vidhan se aap dekhiyega arth ki vyvastha ho jaegi. Bhagwan vyvastha kar denge. Yah nishtha honi chahiye ki agar bhagwan banayenge to banega aur bhagwan na banae to mujhe kisi dusre ki avshyakta nahi

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi