॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kuch log hamari khushi bardast kyon nahi kar pate?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ji, kuch log hamen khush dekhkar kuch aisa bol dete hain taki agar ham ham age badhna chahe to ruk sakte hain. Ham kuch logon se matlab kyon rakhen? Tumhara dimaag hai tum kya bol rahe ho? Hamse kya lena dena hai? Ham agar logon ko dekhkar jiyenge to kabhi ji hi nahi sakte. Ham ji hi nahi sakte. Agar char log aapko accha bolenge to char log aapko bura bhi bolenge. Unki khopdi hai. Unka dimaag hai. Wo tum mein bura hi dekh rahe hain. To hamen chahiye ki logon se matlab nahi rakhna chahiye. Zaroorat pare to logon ka hit kar dena chahiye.

hamko apne mein jeena hai. Dusra hamko kya kahta hai? Log pareshaan is baat mein hai. Agar char vahwah kahenge to char tumhen gali bhi denge. Sansaar aisa hai. Isliye hamko dusre se koi matlab nahi rakhna. Accha chalna hai, accha khana hai, accha sochna hai aur mast rahna hai. Hamen dusron se koi matlab nahi. Log to kuch na kuch kahte rahenge. Ham logon se kahan tak chup karva payenge? Kisi ko nahi chup karva sakte. Aap kisi bhi sthiti mein chup nahi karva sakte. Sansaar ka bada vichitra swaroop hai. Isliye hamko mast rahna hai.

hamen apne aap mein mast rahna. Jo hamari baat man lega wo mast rahega. Apne aap mein mast rahna sikho. Piche wala gali de raha hai. Chodo. Wo uska mind hai. Wo uska dimaag hai. Tumhara tum apna dimaag uske dimaag mein kyon laga rahe ho? Uska dimaag pareshaan hai. Tumhara dimaag pareshaan ho jaega. Wo jal raha hai. Wo apne dimaag se jal raha hai. Tum usko chhuoge tumhen jalan paida ho jaegi. Tumhen chuna nahi, connection nahi banana.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi