॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

main Red Light Areas mein jakar ladkiyon ko bachati hoon, par bahut chunautiyan aati hain.

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Delhi ke jo red light area hai usi mein hi hothon ke andar jake un aurton ko bahar nikalna aur unke bachchon ko ek naya jeevan dena aur is kam mein bahut chunautiyan hai lekin ek vishwas bhi hai ki ye kam diya gaya hai saumpa gaya hai par jab-jab shraddha kam hoti hai aur jab jab chunoti badi lagti hai tab-tab kya karen aur jab khud pe shak hota hai tab kya karen maharaj ji Delhi mein jo vaishyashalaen hoti hain red light area hote hain jahan vaishyaen wahan jake unke grup mein jake karke wahan se jo bachchyan fansi hoti hain unko bahar nikaalte hain.

unko ek naya jeevan dete hain. Yah bahut prashansniy karya hai. Jinka jeevan gandagi mein dhakel diya gaya hai. Unko gande acharno se mukt karna unko ek naya jeevan dena yah aapko bahut prashansniy karya hai. Lekin atmvishwas tutna nahi chahiye. Atmvishwas badhna chahiye. Ek jeev ko agar ham dubne se bacha liya to bahut bada karya kar liya. Dekho swayam ke liye bhajan karna apna kalyan karna ek alag baat hoti hai. Lekin dusre ke liye kalyan ki baat sochna ek khas baat hoti hai. Parhit sharir dharm nahi bhai.

kai paristhitiyon mein bachchyan aise phas jati hai. Kai paristhitiyan hoti hai. Koi swabhavic ruchi rakhkar ke fansa hai aur koi kai paristhitiyon mein phas jati hai. To jo paristhitiyon mein fansi hui hai agar unka aapko sahyog mil gaya to unki nai zindagi ek achchhi zindagi ban jaegi. Bahut sundar hai. Prashansniy karya aap kijiye aur Radha naam jap kijiye jisse aapka atambal kabhi tute na. Atambal bana rahe. Aap ladte rahie.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi