॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

mahabharat ke Duryodhan Arpit Ranka ne maharaj ji se kya prashn kiya ?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

maha khalnaykon ke role kiye hain maharaj ji. Ye Duryodhan bane hain, kans bane hain, Ravan bane hain maharaj ji. Aapka ek sawal hai ki karya ke milne ke beech ki yatra hoti hai ki naya role mile, naya wo mile. Wo bada kathin ho jaata hai. Usmen man vichlit ho jaata hai aur bhavishya aur bachchon ki chinta se man nakaratmak hai. Agar agar us samay aap bhagwan ka naam jap kijiye jo khali samay hai to usse aapko bahut bal milega. Kyonki vishwatma bhagwan ne bina kisi ke sahyog ke akele sampurn srishti prakt ki aur uska palan poshan kar rahi hai.

aapka to ek bahut chhoti si maang hai. Bhagwan anant bramhandon ka bharan poshan karte hain. Anant bramhandon ki unnati ka to yadi hamara chitt bhagwan se juda raha to ham sarv sampann ho jaenge. Bahut main sundarkand ka path karta hoon. Kahin par bhi bahut sundarkand ka path karta hoon aur maine jeevan mein kabhi mansahar ya kahin nashe ka sevan nahi kiya. Aur mujhe lagta hai ki aap hamesha svasth rah kyonki aapne jo pure sansaar mein sansaar mein jo aapne parivartan kiya hai aapke shabdon dwara to matlab Gurudev main aapse kafi samay se milne ke liye bahut tha lekin aaj sakshat aapke darshan hue hain.

main apne aapko main shabd nahi bol pa raha hoon. Main bahut bahut apne ko bhagyashali bhasha. Ji ji bhagwan ki badi kripa hai aapke upar. Badi kripa hai. To aap aise unnatisheel banne ke liye naam jap kijiye aur vyayam jarur karte rahie. Vyayam jarur sharir pusht hai, svasth hai aur naam jap se man svasth rahega aur vyayam se sharir svasth rahega aur satvic aur chinta mat kijiye. Vishv ka bharan poshan karne wale bhagwan apne janon ki raksha karte hain. Wo sab vyvastha karte hain. To chinta karne se aap kamzor ho jaenge.

aur bhagwat chintan karke aandit rahenge bhagwan jahi vidhi rakhe Ram tahi vidhi rahie sitaram sitaram sitaram kahiye aur jahi vidhi rakhe Ram tahi vidhi rahie hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi