॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

yah to keval shuruaat hai… ghor kaliyug abhi baki hai

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

kalyug ka kuch prabhav aisa aa gaya hai ki pita ke dwara hi apne bachchon ka shoshan hone laga. Yug dharm ka prabhav dekho nahi mata-pita se zyada surakshit bachchhe kahan rah sakte hain? Abhi zyada nahi hai yada kada lekin jab bhaykar kalyug aayega to zyada ho jaega. Phir yada kada nahi rahe likha hai pehle se likha hai kalikaal vihal ke manuja nahi manat ko anuja tanuja anuja mane bahan tanuja mane beti bahan beti ka bhed nahi rah jaega pashuta aisa samay aayega dekho ek ek gaadi aam bade-bade vriksh hote wo vriksh gayab ho gaye aur wo nakli chale itne itne hain itne itne bade aam lage hue hain aur pehle bade-bade vriksh chhote chhote aam yug dharm ka prabhav dekho badhta chala gaya hamne ganga ji ka bharpet jal pikar ke gujara kiya hai.

yamuna ji ka jal jab Vrindavan aae the to kamdal se barkar pite the. Ab aaj aap achman karne mein sukuchaoge. Yug dharm ka prabhav dekho hamari pavitra nadiyan jinka jal pikar ke ham gujara karte the. Aaj ham achman nahi kar sakte. Ab aaj aap Vrindavan mein parikrama lagaen. Agar pyas lagi hai to ₹20 ki ek botal lijiye aur pyas bujhaie. Aapko pani bahut bada parivartan yug dharm ka hota chala ja raha hai. To yug to bahut malinta phailane wala hai. Ismen agar bhagwan ka naam jap kiya jae aur bhagwan ka naam kirtan kiya jae, bhagwan ki katha suni jae to pavitra bani rah sakti nahi to bahut malin hai.

bahut malin hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi