॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

man ko shant karne ka anokha tarika

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ki man hamara nahi ruk raha to usko rokne ka ek naya upay aapko batayen ham chhod do Radha Radha ja tu ja dekhte hain tu kya kar lega meri bina swikrati ke tu kuch nahi kar payega ja Radha Radha Radha Radha wo Radha mein lagega aake hamare bina dashkhat ke wo kuch nahi kar sakta ye pakki baat to aap dastakhat mat kijiye wo bhag raha hai bahut chanchal aur ja Radha Radha Radha Radha Radha dekhte hain kaise bhag ke jaega jibhya se Radha Radha Radha Radha Radha Radha apne aap shant ho jaega. Dusra upay jahan man bhag ke jaega wo koi vyakti hoga vastu hoga sthan hoga.

us jagah bhagwan ko dekhne ki cheshta karo. Is vyakti ke rup mein bhi to bhagwan hai. Is vastu ke rup mein bhi bhagwan hai. Is sthan ke rup mein bhi bhagwan hai. Jahan tu bhag ke aaya hai. Ho gaya bhajan. Yah man purv sanskar ke vashbhut hai. Ab naya sanskar ham bhajan ka dal rahe hain. Isko bardast nahi ho raha lekin isko manna padega. Abhyaas ke dwara aa jaega. Ham bar-bar aisa vichar karte hain, dhairya karte hain. So man naam mein lag jaata hai. Man ki ek badi sundar baat hai ki aap jaan lo ki bhag gaya so aa jaega.

isko bulana nahi parta. Jaan lijiye ki man bhaga phir turant aa jaega. Radha Radha kar le do char bar phir karega phir bhag jaega. To aise dheeredheere usko abhyaas mein layen aur samay badhaye to man phir hamara prabhu mein lagne lagta

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi