॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ye baat har pati-patni tak pahunchna chahiye

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ki mere pati aur meri bhawnaen ek dusre se itni judi hui hai ki main khush hoti hoon to wah khush ho jaate hain. Agar main pareshaan hui to unki manasthiti bhi atyant bechin ho jati hai. Haan pahli baat to aap donon ko dhanyavaad dete hain. Aapki baat sunkar mera hriday shital hua ki kam se kam itna to hai na ki hamne sansaar ko sweekar kiya to hamara sansaar saja hua to hai na. Ujda hua to nahi hai na. Wo ujda hua sansaar hai. Pati kisi aur ki taraf dekh raha hai. Patni kisi aur ki taraf dekh rahi. Pati ko apne jeevan se sanshay, patni ko apne jeevan mein sanshay hai.

agar aisa aisa grihasth hai to wo bada nindniy grahasti. Dhanyavaad. Pahli baat to aapke is pati prem ko aur dhanyavaad us pati ko jo aapko prem kar rahe hain. Aisa hi hona chahiye. Ham yahi chaenge. Isiliye ham girlfriend boyfriend ke siddhant ko nindniy mante hain. Kyonki jab hamari abhyaas vritti char purushan se milne ki ho jaegi. Char ladkiyon se milne ki ho jaegi to hamara grihasth dharm nasht ho jaega. Ham pati patni prem se nahi rah payenge. Hamari vritti kharab ho jaegi. Vyabhichar pravriti ko badhava de rahe ho aur ye pravriti aapko ek mein tikne degi kya?

nahi tikne di to aapka grihasth dharm nasht ho jaega. Aapki grahasti bikhar jaegi. Kitna sundar grihasth dharm dekho kitni sundar baat kahi. Agar main muskura deti to mera pati muskura deta hai. Wo aandit ho jaata hai. Ye baat honi chahiye. Wo duty se aa rahe hain aur aap muskurati hui mili. Unki sari thakan mit gayi. Aapki muskurahat se ab wo duty se aa rahe hain. Aap prapanch kar rahe ho. Sansarik galat aacharan wo hriday jal raha hai wo kya grihasth jiska parivaar uske andar mein nahi uske prem mein nahi pahli baat to ham dhanyavaad dete hain aap log aise sukhi rahie aur khub bhajan kijiye patni pati ko prem karen pati patni ko prem karen bhagwan ki aradhna karen yahi to hamara grihasth dharm

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi