kan-kan mein ishwar ka vas hai, to mandir mein jane par ek alag anubhuti kyon hoti hai?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
animesh sinh ji Noida se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ishwar sarvvyapi hai kan-kan mein ishwar ka vas hai kintu jab ham mandir mein jaate hain to ek alag anubhuti hoti hai ishwar se sakshatkar jaisa anubhav mandir mein prapt hota hai jo anant kahin nahi prapt hota maharaj ji aisa kyon hota hai haan bhagwan ka archa avatar kaha gaya hai jo shri vigrah hai usmen bhagwan ki pran pratishtha ki jati hai jaise doodh mein ghee hai. Par jab ham uski prakriya karke nikaalte hain tabhi swad milta hai.
doodh pine se ghee ka swad nahi milega. Doodh ko dadhi rup mein jamana, dadhi ka manthan karna, makhan nikalna aur phir use tapana tab usse jo nikalta hai wo ghit hota hai. Yadyapi doodh mein ghee hai par ghee ka swad ek nirala hai aur wo paddhti se nikalta hai. To aise hi kan-kan ko milakar ke jab akar diya gaya aur use akar mein pran pratishtha ki gayi aur jab bhakt jan archan ke dwara bhagwan ko wahan prakt kar liye to archan vigrah mein swayam bhagwan virajman hai to avyakt bhagwan se vyakt bhagwan ka sukh to milega hi adhik.
to jab ham mandir mein jaate hain to ek vishesh paramanu ek vishesh anand ek vishesh sukh milta hai kyonki wahan bhagwan pragat archa vigrah ke rup mein virajman hai. Maharaj ji jo sadhak ya mahapurush jan jan vyapi matlab jo prabhu andar virajman hai unmein bhi jab bhagwat bhav karte hain unko bhi pratyek chalte phirte bilkul aisa hi anubhav hota hai jaise isko mandir mein anubhav hota hai aise har vyakti vastu sthan tabhi to nirantar parmanand mein magan rahta hai kyonki sarvatra bhagwan ka darshan karta hai shri Ram mein sab jag jani karo pranam jor jug pani wo mandir mein jae ya na jae wo har samay parmanand mein magan rahta hai kyonki sab mein si Ram ko dekhta hai sarvam khalmidam brahm Naina nast kinch sarvatra brahm buddhi ho gayi to brahm bhuta prasann ka samate wo brahm bhut har samay akhand prasannata ko prapt hota hai jo sarvatra bhagwan ka samadna jo sarvatra bhagwan ka darshan karta hai sarvatra atma swaroop ka darshan par wo bachchha ye apna anubhav bata raha hai theek ka anubhav bata raha hai.
par yah sadharan koti ka hai. Lekin asdhran koti ka anubhav yah hai ki krur papi ko bhi dekhkar ke bhi apne bhagwan ki smriti mein bhavna mein tanmay ho jana to jo mandir mein sukh hai wo kan-kan mein sukh hai. Aisa anubhav ho jaega. To maharaj ji krur aur papi ki jo prakt mein leela hoti hain to us samay andar vichar kya hota hai? Jaise heater garmi phenk raha hai lekin vivekvan heater ki garmi aur kular fridge aadi AC aadi ki thandi in kriyon ko dekh ke bijli ko nahi bhulta usko pata hai bijli donon mein ek hai heater ki garmi mein aur fridge ya AC ya kular aadi ki thandi mein bijli to ek hi hai na to aise krur papi aur punya atma mahatma donon mein bhagwan to ek hi virajman kriyaen donon ki alag-alag hai.
jo kriya ko dekhta hai wo karan ko nahi samjh pata. Jo karan ko dekhta hai wahi samajhdar hai. Karan sabka paramatma hai. Wahi virajman sab rupon mein hai. Gayatri ji Uttarakhand se maharaj ji aapke charnon mein dandvat pranam. Gurudev bhagwat prapti aur prem prapti mein kuch fark hai kya? Bhagwat prapti mein moksh bhi aata hai. Sarashta samya sa ekatva aadi lekin prem mein ek durlabhta hai wo moksh bhi man grahan vina mat sevan jana wo moksh dene par bhi sweekar nahi karta wo apna kalyan bhi nahi chahta wo bas apne pyare ke viyog mein tadpna chahta hai.
pyare ka naam le le ke uski yad mein roro karke samay vyatit karna chahta hai. Aise premi jagat ko pavan karne wale hote hain. Jo mokshabhilashi hai wah to dhanya hai hi lekin jo moksh tyagi hai moksh ka bhi tyag karke bhagwan ke virah mein tadpna chahte isiliye gopiyon ki charan vandna param gyani brihaspat shishya bhagwan ke mitra bhagwan ke mantri Uddhav ji ne ki. Kyon? Kyonki gopiyan har samay bhagwan shri Krishna ke prem mein unmatt rahti thi. Grih karya karte hue bhi krishnakar vritt rahti thi.
viket kama khil gop kanya murari padar pitwatta dyadik moh vasadach Govind Damodar madhweti itni tanmayata thi ki bolna chahiye dahi le le dahi to bolti koi Govind le le koi Damodar le le koi Madhav le le bhagwat prem atyant durlabh vastu hai. Bhagwan se yahi prarthna karni chahiye ki prabhu mujhe apne charnon ka prem pradan kijiye. Apne naam ka prem pradan kijiye. Apne dham ka prem pradan kijiye. Apne rup ka prem pradan kijiye. Aur main kabhi moksh ya kalyan nahi chahta. Prabhu yatra yatra mam janm karm narke parme pade thava Radhika rath nikunj mandli tatr had mein virajta chahe mujhe narak mein rakho chahe param pad mein mujhe koi parvah nahi par Swami aapka smaran aapki rup madhuri aapki leela madhuri ka chintan karke mere aansu bahte rahe yahi mere jeevan ki lalsa hai prem atyant durlabh vastu hai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1401 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …