॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya ganga snaan se paap mit jaate hain?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ek sadhak the. Unhone ganga ji ki mahima padhi. Ek bar ganga nahane se 100 yagya ka phal hota hai. 100 yagya kare jo phal usse hota hai ek bar ganga nahane se hota hai. To wo vaishya gaman karne lage vaishya se sampark karke. Jab unse log kahte hain ki bhagat ji roz ganga nahane jaate ho to vaishya ke paas bhi jaate ho to kahte tumhen kya pata ganga nahane se 100 yagya ka phal hota hai. Vaishya ek do yagya ka phal le legi. To ganga maiya ko laga ki hamari mahima ko kalankit kar raha hai. To ek balika ke rup mein jab wo nahane gaya to safed kapda lekar ganga ke jal mein dalti aur phir balu mein kar deti.

phir jal mein dal dhoti saaf ho jaata phir balu mein kar deti. To mahatma ji soch rahe the ki langoti pe ham snaan karenge. Balika chali jae to phir wo thodi der khade rahe. Bas wo wahi kriya jal mein dalkar swachchh karna aur phir balu mein ganda kar dena. Hai bar-bar dhoti ganda karti jab dhoti hai to ganda kyon karti ho ganda hi karna hai to dhoti kyon hai bole ye baat teri samjh mein aa gayi ye baat teri samjh mein aa gayi us samay ganda hi kapda tha ye baat teri samjh mein aa gayi jab tujhe paap hi karna hai to ganga kyon nahata hai aur jab ganga nahata hai to paap kyon karta hai dekh teri yahi dasha hai us samay kapda ganda tha teri yahi dasha hai tu marega to nark jaega kyonki tu ganga snaan ka durpayog kar raha hai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi