॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

pehle paisa kama lun, phir bhajan karunga.

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

jaldi-jaldi paise kama leta hoon. Phir ekdam vishram hokar Vrindavan vas karunga. Phir kabhi nahi kabhi nahi kar paoge. Kabhi nahi kar paoge. Paise ke bal se Vrindavan vas ya paise ke bal se bhagwan ka bhajan ye bhul jao ki ham badhiya phlait le lenge. AC room laga lenge. Har samay badhiya bhojan vyvastha hogi aur khub naam jap karenge. Bhul jao bhul jao. Khub bhogon ka chintan hoga aur bhog bhogoge. Likh lo. Hamari baat likh lo. Aise nahi bol rahe. Bachpan se Baba ji hain aur wo anubhav karke bol rahe hain aur jo bol rahe hain use tum likh lo akatya hai akatya har vyvastha khane pine ki aur ye manoranjan ki ho bhajan thodi hota hai bhajan to hota hai kamp raha hai sharir sardi mein aur baithe hain yamuna kinare phir paramatma ke dhyan mein tab bhajan hota hai agar bhajan ho vyvastha mein to batana subah utho rajaaai odh ke mala hath mein le lo to mala chhut jaegi bhajan hoga aise bhajan hoga accha roz tiphin badhiya lagkar chakar ga raha hai to bhog achhche lagenge ki

bhajan accha lagega ye bhajan khilwad nahi bhai rupya ke bal se bhajan hota to bade-bade mahan chakravarti samrat ye sab bhajan karke bhagwan ko prapt ho jaate bhajan karo jo vyvastha bhagwan ne di hai wo bhagwan ki nath sakal sampada tumhari main sevak samet sut nari aur bhajan mein lago to bhajan ho sakta hai lekin rupya mein lag ke ki vyvastha kar le phir bhajan karenge kadpi nahi ho sakta hai ki jaldi jaldi jaldi mehnat abhi aaj hi kar lete hain kal ke liye kal kisne dekha kal aae na aae kal pata nahi aankh mund jae ham vyvastha karte karte to jo log aisa sochte hain na ki ham kal bhajan karenge nahi kal kare so aaj kar aaj kare so ab pal mein pralya hoegi bhoj karoge kab aaj hi Ram Ram bolo aaj hi Radha Radha rato kal jaisi paristhiti hogi dekha jaega kal mangalmay ko.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi