॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

papi insaan ki madad karna sahi hai ya galat?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ji jab koi bhi manushya kisi bhi arthik ya shareerik rup se kasht mein hota hai to kahte hain ki wah apne paap bhog raha hai to kya maharaj ji aise vyakti ka sahyog karne wala vyakti bhi papi kahlaega ya wo paap kar raha wo punya atma kahlaega wo punya atma kahlaega kyonki bina bhagwan ke vidhan ke aapki drishti hi nahi padegi jaise koi aapki drishti mein para ki isko dawa dilani chahiye ye thandi mein kamp raha hai isko vastr dena chahiye yah bhukha hai. Isko bhojan dena chahiye. Aapki drishti padi matlab bhagwan aapko seva di.

ab aap jo seva karenge aapka punya hoga aur uska praarabdh kshay ho jaega. Uske praarabdh ka nash hoga aur aapka punya badhega. Aisa nahi ki kisi dukhi ki sahayata karna. Uske paap ke bhagi ban jana hai. Aisa nahi. Kisi dukhi ki sahayata karna. Uske dukh ki nivitti aur aapke punyeon ki vridhi aapka naya karm bana aur uska aapke sadbhavna se paap karm nasht hua tabhi usko sukh milega aur aapko punya badhega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi