॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jab phansi ki saza rokne swayam bhagwan aa gaye

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

shri Ram naam ke ek bhakt the. Wo bade karunasheel the. Bhakt mein karuna hoti, daya hoti to wo badshah ke khajanchi the. Jaise koi gaya maharaj main garib aadmi hoon. Beti ka byah hai to khajane se wo de dete. Yadyap chahiye ki raj agyaa lekar khajane se den. Raj agyaa kyonki wo itna dayavan karunavan to tha nahi ki sab garibon ke liye wo agyaa kar de. Isliye wo kar dete the. Dhire se kazi ko pata chala. Janch hui to baat pakki mili. Aur unhone sweekar kiya ki ham bina raj agyaa ke khajane se ham de dete hain koi aparadh banana unko raja ne badshah ne phansi ki saja sunai hamen phansi de de wo bade bhakt bhagwan ka bhajan karne wale bade karuna mein jab wo raj agyaa mein rahte the lekin wo sant the unka charit aaya shri Ram ji ka charit hai wo muskura diye jab phansi ki agyaa hui to muskura diye unke aradhya dev the maharashtra mein jo virajman vitthal bhagwan hai vitthal bhagwan aradhya dev the to kaha jaisi vitthal ki kripa kaha tumhari antim ichchha kya hai?

unhone kaha ek bar vitthal bhagwan ke samne se mujhe nikalva do. Matlab ek bar aankh milwa do. Unko bandhan mein dal kar ke aur vitthal bhagwan ke samne gaye aur kaha aap raji ho? To chal diye. Aap raji ho ki mujhe phansi ho to ham raji hain. Joi joi pyaro kare joi bhai yadi pyare tumhen aisa lagta hai ki ab mera sharir ant ho phansi ke dwara koi baat nahi. Idhar bhagwan pahunche badshah ke paas 15 16 varsh ki avastha bhagwan to kitna bhi aag ko kitna bhi chhupa chhupte thodi kamal nayan muskura karke salam kiya wo pahli bar to rupaye dekh karke uska hosh ud gaya unhone kaha suno hamare malik ko tumne phansi ki saja sunai khajane ke karan aur aise Pitambar se chode wo hire bole hire ratna aise hain tera khajana kuch nahi hai aur dekha ki wo bade kimti ye le aur turant mere adesh kar mere malik ko chhoda jae bole malik bole shri Ram mera malik hai.

main unka naukar hoon bhagwan. To bole shri Ram ne to kabhi bataya nahi. Bole itne gupt hai ki pocho mat. Hamne mana kiya ki tumhari nokri na karen. Hamare paas aise khajane mein hai hi nahi ratna aur hire jaise hamare malik ke paas hai. Ab wo turant adesh karne mein laga. Jao turant unko roko. Wo vadh sthan ki taraf le gaye. Kahin unko phansi na de di jae. Ghudaswar daude unko roko. Itne mein bhagwan antardhan hua. Ab wo pagal badshah kahan gaya wo? Kahan gaya? Badshah hath jodkar bole ek bar apne naukar ke darshan kara do, deedar kara do.

bole hamare kaun naukar? Ham to aapka naukar hain. Bole nahi uska naam bitthu tha. Bitthu bola tha aur wo itni avastha ka lagbhag tha aur ye hire dekar unke ankhon mein aansu aa gaye. Are bole yah naukar nahi akhil bramhandon ke malik bhagwan vitthal hain jo hamari raksha ke liye aapke samne aise aae

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi