॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1217 · 27 march 2026

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki Sadgurudev bhagwan ki jai Govind upadhyay ji mumbai se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main aapki tarah dridh sankalpavan kaise ban sakta hoon ki jab aap ghar se nikle the tab bhi aapka bhagwan ko pane ka lakshya tha aur aaj bhi hai maharaj ji ham aise yuva log sankalp to banate hain bat kuch samay baad dusra sankalp ho jaata hai phir tisra jaise satsang suna to bhagwat prapti ka uddeshya aaya kahin dhan kamane ki ichchha ki baat suni to dhan kamane ka aaya kabhi aisa kabhi aisa to maharaj ji ek sankalp ki keval aur keval shri ji ki prapti aur bhagwan ki prapti ho jae isi janm mein.

aisa sankalp kaise dridta hai? Ismen pradhan ni hai jo aajkal hai nahi. Brahmcharya brahmcharya brahmcharya mein bahut badi samarth hai. Aaj naveen bachchhe sab bhrasht ho rahe hain. Maharaj ji aisi shiksha hi nahi rah gayi. School aadi mein maa-bap isiliye to isiliye aaj sham ke kasam khai aur kal tod di. Aur brahmcharya mein hota hai ki jo sankalp kiya uske nirvah ki usmen takat hoti hai. Brahmcharya shareerik bal ko nahi kahte adhyatmik bal ko kahte hain. Shareerik balvan ho sakta hai lekin adhyatmik bal se hi sankalp dridh hota hai.

adhyatmik bal ke liye brahmcharya ati avashyak hai. Jiski bahut hani hai, bahut ghata hai. Aaj brahmcharya shabd se hi log prichay nahi banana chahte. Pehle gurukul mein vidhyarthyo ko brahmcharya hi vrat sikhaya jaata tha. Brahmcharya vrat ke dwara hi wo do margo ka anusaran karte the. Ek brahmcharya se naisthik brahmcharya sanyaas aur ek brahmcharya se grihasth dharm hote hue phir vanprasth sanyaas lakshya donon ka sanyaas hi banta tha. Antim mein to brahmcharya to ab brahmcharya ke bina dridh sankalp hona, nishtha hona, bhajan hona bada kathin hai.

to hamen lagta hai bachchha naam jap karo, shastron ka swadhyay karo, satsang karo, acharno ko shuddh karo, pavitra karo. Pehle in acharno ko to pavitra karo. Jo dharmik acharno mein to aao phir dhire dhire dhire ke sal ke ho? 23 sal. 23 sal mein to dhua macha hua tha hamare jeevan mein. Dhua macha hua tha. Kai kai din tak bhojan nahi. Raat din nirantar mantrakaar vritti aur ghato mein pare rahna. Premanand banna yar to bada kathin hai. Haan. Ab hamare jaisa bhash bana lo to baat alag hai. Lekin Premanand banna bahut kathin.

bahut bahut maharaj ji bahut kathin jeevan raha hai. Bahut kasauti se laye gaye hain. Bahut kasauti se laye gaye hain. Ab to kya hai? Ab to antim film ka antim seen chal raha hai. Ye to bhagvatik bal se chal raha hai. Lekin bahut kasauti hui hai. Bahut kasauti hui hai. Kashi ke ghato mein jakar jahan bikhari baithe hain wahan jab baithe the to koi itna satwa de deta, koi ek pees barfi de deta. Usi se 24 ghante par hote. Ek bar 24 ghante mein 80 ghat mein bhikhariyon ki line mein lagte the jake aur ye niyam tha paisa lenge nahi aur kisi ashram mein jakar bhojan karenge nahi to kashi mein annapurna ka rajya hai wahan to atho pahar bhojan milta hai marwadi kshetra mein lekin kabhi niyam tha ki kahin jaenge nahi akash vritti se jo hamen milega wahi ham payenge to sham ke jakar bhikshukon ki line mein baith jaate the jo kuch milta jaise itna satwa mila to kamdal ke dhakkan mein gh liya ek kamdal Gangajal pi liya raat din

bhajan bhajan ke ji ek side hai aapka niyam yah jo akash vritti wala aur dusri side teevr vedna ho rahi hai bhookh ki to maharaj ji aise mein kaise aap apne aap ko sambhal sakte nahi vedna hamko to kabhi mehsus nahi hui aaj bhi hamen vedna mehsus nahi hoti hamare sharir mein dard hai kai tarah ki pareshaniyan hai lekin guru kripa se hamen koi pareshani nahi par ji aaj to ham samjh sakte hain ki aapki saath aise hi kal hamari lagan thi jo kal ka jeevan tha wah lagan ka jeevan tha ki mujhe kaise brahm bodh ho kaise brahm main sharir nahi hoon ye bhookh prannon ka dharm hai mera dharm nahi hai ye vivek hamara har samay savdhaan rahta kadake ki thandi mein maharaj ji kahte main sharir nahi hoon main sharir nahi hoon nahi hoon ab sardi lag rahi hai garmi nahi sharir kamp raha hai lekin ham apni sthiti mein to ab kathin marg to hai hi aur usi kathinata ka aaj aapko sukh mil raha hai.

aapko jo labh mil raha hai usi kathinata ka mil raha hai. Agar is jeevan ko kasa na gaya hota to aapko ye labh na milta. Aaj jo hamare bharat mein logon ko sukh mil raha hai. Parivartan ho raha hai. Log adhyatma ki taraf kripa karke chal rahe hain. Ye sab usi kathinata ka phal bhagwan mujhe de rahe hain ki hamari vani ka prabhav par raha hai. Agar vani ka prabhav na pare to kya fayda pravachan ka? Kya fayda sadhu vesh hamare dharan karne ka? To hamen bhagwan uska phal de rahe hain ki hamare bhartvassi adhyatma ki taraf chal rahe hain.

bure acharno ko tyag rahe hain. Adhik se adhik matra mein bhagwan naam ucharan kar rahe hain. Ye uska hamko phal mila hai. Mahara ji shastron mein aur bhakt charit aadi mein to varnan milta hai aur aapke jeevan mein bhi dekhne ko mila. Maharaj ji age ane wale samay mein aisa kathin sadhan ho payega. Haan isiliye kalyug badhega. Isiliye bhrashtachar badhega. Jaise jaise jo pehle sant the bahut kam rah gaye hain. Ab sant jo sant aajeevan nirantar bhajan paraayan aise bhagwan ke premi mahatma to bahut kam milenge aur jo pehle the wo ab nahi hai.

jo ab hai wo age nahi milenge kyonki pehle mobile nahi tha. Ab ham logon ne jeevan mein mobile nahi rakha aaj bhi nahi hai na kan so bolbo na koi vihaar apni kunwar kishori ko jayat nihar nihar sune na kan ki kahi kahe na apni baat narayan wa rup mein magan rahe din raat virah kamdal kar liye bairagi do nain mangat daras madhu kari chhake ke raat din rahan kisi se koi matlab nahi yahan punya se hua bahirmukh vritti har samay banae rakhne ke liye mobile ki kripa hai antarmukh kab ho pata hai sadhak kab ho payega aur ekant hua mobile hua gandi baten dekhi to phir to kalyug maharaj apna tandav karenge ki wahan bhajan hoga bahut samasya hai bhajan ki badi samasya bhajan ki hai.

pehle jo bhajan hota tha wah ab nahi ho raha jo ab ho raha hai kabhi wah age bhi nahi hone wala kalyug ka prabhav tabhi badhega jab sant jan gupt ho jaenge aur lupt ho jaenge sant jan jab dekhenge hamari baat nahi mani jati to gupt ho jaenge aur achhche sant sache sant lupt ho jaenge tab kalikaal apna jhanda gad sakta hai abhi kaise gad sakta hai abhi bhagwan naam ki jai bhagwat katha ki jai bhagwat varta ki jai jo sanatan ki jai jai boli ja rahi hai to kalyug tharra ke idhrudhur konon mein chhupa hua hai aur jahan ye bade-bade udbhat veer paramarth ke adhyatma ke antardhya ho gaye tab uska jhanda jhumega bha bhrashtachara sab sansara dharm sune nahi kanha kalikaal vihal ke manuja nahi mane ko anuja tanuja abhi to santo ki kripa ek se ek sant bhagwan hai jo jagat mein bhagwat naam kirtan bhagwat katha bhagwat vistar kar rahe hain age samay bada kathin ane wala hai.

abhi to 5000 ke upar hi kuch varsh hue honge aur 432000 varsh ki ayu kalyug ki hai. Abhi to 32 nahi par hue. Ane do iska ye to bada tandav karega. Sab mamla gadbad ho jaega. Isiliye jaldi jaldi bhajan karke apna udhar kar lo. Nahi age aisa samay aayega. Cancer kabhi kisi ke sunne mein pure prant mein kisi ek aadi ke ab cancer aise sunne mein aa raha hai jaise jukham bukhar jaise jukham bukhar aise cancer aur cancer seedheseedhe chautha stej ye kya hai ye kalyug ka hi to prasad hai jawan sharir blood pressure hai lo sugar 500 ye sab kya hai kalyug ka pravah jharjhar kar dega rog se jajar kar dega bhogon ki kamnao se na sharir svasth hai na man svasth hai kaise bhajan ho bhajan nahi hoga narak jaoge kalyug ka prabhav tabhi ruk sakta hai jab sant hai bhagwat katha hai

bhagwan naam kirtan hai bhagwan naam hai aur jahan ye jitna gupt hota jaega lupt hota jaega utne kalyug ka prabhav badhta chala jaega sarika ji gangangar se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji Prayagraj maharaj wale mama ji ki Siyaram ji ke prati aur shri hariram vyas ji maharaj ji ki Priyaju ke prati jo sthiti aati hai ki kahu ke bal bhajan ko kan ke achar vyas bhrose kunvri ke sovat pav pasar maharaj ji is sthiti ko prapt karne ka mukhya sadhan kya hai durad sukham kotim sarve sadhan varesh chiram niras varsh mein sahja adbhut sau dhara shri Radhika charan renu mahammaram jo apne pariviarik sambandho ki sampurn mamta ka tyag kar deta hai.

Ram ji ne apne shri mukh se Ramcharitmanas mein kaha janani Janak bandhu sutdhara tanu dhan dham sud parivara sabki mamta tag batori mam pad man bandh bar dori dura dapas swajan jo swajan sambandhi shabd mein koi hamara nahi hai keval Priya pritam jaise prayagdas mama ji ne siyaju ko keval apni bahan Ram ji ko jija mana to purn rup se isi asakti mein bandh gaye aur maa ka bhi pyar tyag karke Ayodhya ke liye chal pare. Main apni jeeji se milunga. Apne jija se milunga. Meri jeeji Ram patni hai. Priya hai.

Ram Priya hai. Janaki ji hai. Mere jija Ram ji hai. Bas isi bhav mein magan ho gaye. Hariram vyas ji meri swamini kishori mohe apni kar lijiye aur diye kachu bhavwat nahi Vrindavan raj dijiye kishori mohe apni kar leej khag mrig pashu panchhi jeya banke charan sharan rakh leej vyas swamini ki chavi nirkhu mahal tahalni kije kishori mohe apni kar lijiye aur diye kachu bhavat nahi shri Vrindavan rach dijiye hari Ram vyas ji keval kishori ji ki khavasi kishori ji ki dasata anya koi andar bhav nahi kisi se koi sambandh nahi parivaar hote hue bhi parivaar se sambandh nahi keval ladli jo se jaise Meera ji mere to Giridhar gopal dusro na koi ye dusro shabd theek ho jae to yah sthiti aa jae.

abhi dusra koi hai. Hamara sharir bhi dusra hai. Agar apne sharir mein rag hai to bhi ye thesak nahi aayegi. Jab pancho bhule deh sudh the the vachan mithun mukh nisrat sun sun deh dasha kin bhulo jab apne deh se lekar deh sambandhi bhog aur deh sambandhi rishte nate ye sab bhagwan ke charnon mein samarpit hokar vismrit ho jae ai brajnari sunat bansi grihapti bandh bisare darshan Madan gopal manohar manas tap nivare harshit badan pankh avlokan sahasra madhur dhun gawe madhumah Shyam saman adhar dhari mohan benu bajae lal ji ne bansi bajai pati putr parivaar sabka tyag karke ai braj nari sunat bansi grihapti bandhu bisare grihapti

bandhu bisare duradpas swajan naam sukhmartha kotim rupaye ke dwara prapt hone wale karodon prakaar ke sukho ka tyag sarveshu sadhan varesh nirasha sadhanao ke dwara prapt hone wale sukh ka tyag ekmatra sharanagati asakti shri gore charnarvind ki ladli ji ki Priya ji ki Siya ji ki tab ek thesak aati hai hamare mai shyama ji ko raj ja ke adhin sada hi savro ya braj ko sirtaj hamare mai shyamaju ko raj tab aata hai kahu ke bal bhajan ko kan ke achar vyas bhrose kunwar ke sovat pav pasar tab ye thesak aati hai jab parivaar ke sambandhi ke rag ka tyag sharir ke rag ka tyag arthat sharir sambandhi bhogon ke rag ka tyag sadhanao ke dwara prapt moksh aadi sukho ka bhi tyag tabhi anurag hota hai dheeman manam grahanti bina mat sevan jana keval hamen apne aradhya dev ki priti chahiye asakti chahiye ye tab baat banti hai tab aati hai isliye nirantar naam jap karo shastr swadhyay karo satsang karo to hamari bhavdhara is jagat se upar uthe adhyatma ki or badhe sudhanshu ji bihar se

Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji YouTube ke madhyam se aapke satsang mein suna ki sant milna bahut hi durlabh hai maharaj ji milna ka shabdartha aapka kya hai? Sant darshan ya unka sang sanidhy darshan bhi sant drishya ji patak tar hi santo ke darshan man se paap ka nash hota hai lekin bade bhagyashali wo hain jo unke samip baithkar unki agyaa updesh ka palan karna maha sangst durlabh ho mahapurushon ka sang durlabh hai agamyon nirvah karna bada kathin hai agar unki ki agyaa ka nirvah kar le gaye to amogasta nischit bhagwat prapti ho jaegi.

bhagwan se prarthna karen ki mujhe sache santo ka sang de de. Mujhe satsang mil jae. Uma sant samagam sham na labh kachu aa. Bhagwan shankar ji Parvati ji se kahte hain he Uma sant samagam mil gaya to isse bada koi labh nahi hai. Uma sant samagam shabd na labh kach kyonki sant samagam mein pata nahi kaun sa shabd hamare jeevan mein aisa utre jo hamara kalyan kar de. Hamara mangal kar de. Sansaar ke bhogon se vairagya ho jae. Ye santo ka sang ka labh hai ki ham unki agyaa aur updesh par chale. Yahi satsang ka labh hai.

Rakesh kumar ji bihar se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main apne aap ko janna chahta hoon aur siddh purush banna chahta hoon haan bachchha ban kyon nahi sakte baith jao siddho ka sang karo to siddh purush ban jaoge naam jap karo bhagwat ashrit raho pavitra bhojan pao sansaar ke rag ka tyag karo agar siddh purush banna hai to vivekvan banna hoga aur vivek hota hai sadhu sang mein sadhu sang ka rang sadhu hi bana deta hai naam jap ka abhyaas karo jitna savdhani se brahmcharya ki raksha kar pao brahmcharya ki raksha karo kyonki bina brahmcharya ke smriti paraayan ya yog dharana ki kshamta nahi rahti brahmcharya mein wo kshamta hai ki wo yog dharana chittavatta ko nirantar rok kar paramatma mein lagane ki kshamta brahmcharya mein hai.

to brahmcharya dharan karo. Yadi grihasth mein jana hai to uchit brahmcharya dharan karo. Nirantar naam jap karo aur santo ka satsang karo. To isse aapko pata chalne lagega ki sansaar avidya ka khel hai. Uma kahun main anubhav apna sat hari bhajan jagat sab sapna. Ye sansaar swapnik hai. Jab aisa lagne lagega to sharir bhi mrit lagne lagega. Aur sharir se rag hata wahan jo ham hain udhar ki taraf hamari pahunch hone lagti hai. Hamari antardrishti hone lagti hai. Antarmukhta ane lagti hai. To sthul sharir ka rag tyag sukshm sharir ke rag ka tyag karan sharir ke rag ka tyag tab swayam jo ham hain uska anubhav ho jaata hai.

ham wahi hain jiski khoj kar rahe hain. Wahi hai dusre koi nahi hai. Wahi hai. Par yah hai bada kam aur ye bada kam bina guru ki sharan mein hue bina santo ki sharan mein hue bina sant swabhav laye aap is kam ko pura nahi kar sakte hain. Theek hai achhche aacharan wale bano naam jap karo uttam abhilasha hai par siddh mahapurush banna bhagwan kripa karen to ho sakta hai mukam karolam pangam langte ga y kripa ta vande parmanand Madhav aap koshish karo aisi ichchha ai hai to ham aapki ichchha ki vandna karte hain aap age badho theek hai maharaj ji siddh mahapurush ka tatparya kya apne swaroop mein sthaapit ho jana wo hai yahan siddh shayad isi ki akanksha kar raha hai main apne ko janna chahta hoon to jo apne ko jaan gaya wahi siddh ho gaya aur jiske paas

siddhiya hai wo bhi siddh hai wo khas baat nahi hoti us siddhi ko ham madar nahi dete kyonki wo sab nashvan siddhiya prakritik hi to hai bhautik hi to hai chidanand to nahi hai ye chidanand siddhi hai apne swaroop mein sthit ho jana ye chidanand siddhi hai aur sab siddhiya prakritik hi hai mayakrit hi hai uska koi jadu ka tamasha hai kuch nahi hai unmein santosh patil ji karnatak Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kaise pata karen ki hamare bure karm kab samapt honge ya ho gaye hain bhagwan ki jab prapti ho jae to jaan lo ab khatm ho gaya sab kuch nahi to bane hi rahte hain dekho bachpan se Baba ji bhajan kar rahe hain to bhi kidney phayl hai roz dialysis hota hai ye bure karm ka hi phal hai.

ab vishwas ho gaya hai ab inke nash ka samay aa chuka hai. Ab hamara janm nahi hoga. Yah hamen apna anubhav hai. Ab hamara janm nahi hoga. Ab ham ladli ji ke paas jaenge. Jitne din hai utne din sharir se bhog lete hain. Radha Radha kahte phir apne shri ji ke paas jaenge. To samasth kate karm bandhan sansari sukh sagar puri tati bhari vidhi nishedh shrankhla chhudave nij alay bana basave ye acharya aur guru kripa se hota hai ki janm janmantro ke sanchit shubh ashubh karmon ko bhasm karke praarabdh ko bhogwa karke kraman ko nishphal karke jeev ko mukt kar diya jaata hai.

bhagwan ki sharan mein ho aur khub naam jap karo. Bhagwan ki leela katha suno, bhagwan ke bhakton ke charit suno to sab sanskar bhasm ho jaenge. Yah tab pata chalta hai jab bhagwan ka sakshatkar hota hai. Iske pehle nahi iske pehle nahi. Bhagwat sakshatkar mein hi karm parampara chinn bhinn ho jati hai. Janaki chauhan ji jodhpur se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kya vyakti ke jeevan mein bhakti tab aati hai jab vyakti par sab jagah se wo har jaata hai apne jeevan mein? Aisa kuch nahi hai. Par ek siddhant yah bhi hai.

par aisa siddhant nahi hai ki jo sab vipattiyon se ghir jae, mahan dukhi ho jae wahi bhagwan ki sharan mein jaata ho. Nahi amrish ji ko kya vipatti thi? Amrish ji ko kaun si sampatti ki kami thi? Kabhi-kabhi aisa bhi hota hai ki jo bhogon mein rat hai, parivaar ke moh mein rat hai, sab jagah se thokar mili to ek hi marg dikhayee deta hai bhagwan ki sharanagati. Kabhi-kabhi kisi vyakti ke jeevan mein aisa hota hai. Nahi to prayah bhakti swatantr sakal sukh khani binu satsang na pave prani. Iska mul karan satsang hai na ki vipatti.

kabhi-kabhi kisi ke jeevan mein aisi ghatna ghatti hai. Sab jagah se thukraya gaya. Koi aashray nahi mila to bhagwan ki taraf chal diya. Jaise shri will mangal ji. Bilv mangal ji bahut ashikit the. To ek vaishya se unki asakti ho gayi. Chintamani naam ki vaishya se aur itni asakti hui ki asakti kahte hi use hain jiske bina ham ji na sake. Usko dekhna uske paas rahna usse baat karna usko sukhi khushi karna yahi asakti ka lakshan hota hai. Jiske prati ho jae bhagwan ke prati ho jae guru ke prati ho jae ya sansaar ke prati ho jae.

darshan sparsh sambhshan khanpan, bolchal ye wo har samay chintamani ka hi mukh takte rahte. Chintamani ko dhan chahiye tha. Pure ghar ka dhan dhire-dhire karke chintamani ko de diya. Bilkul saransh mein suna rahe hain. Akhri mein suhag ki bedi apni patni ki lekar ke gaye. Tab usne kaha yah to saubhagya chinh hai. Tumhara byah ho gaya hai. Bole ji patni se kabhi mile aaj tak nahi yah suhag chinh cura ke laye nahi usne khushi se diya hai ki jismen tumhen sukh mile wahi tum karo apne prannon ko nyochhavar karke wo hamare prati bole dhikkar hai tere ko aisi patni ka tyag kar mujh vaishya se bil mangal ji ka pran thi chintamani ji nahi sakte the ashiki use hi kahte hain asakti use hi kahte hain jiya na jae uske bina jiya na hai.

ab jisko parivaar nasht, dhan nasht aur jahan asakti thi wahan se thokar laga di. Bade vichlit ho gaye. Rona aaya. Chintamani tumhare bina nahi ji sakta. Aur bhagwan chintamani ki buddhi mein baith gaye. Uske adamiyo ne dhakka markar bil mangal ji ko bahar kar diya. Jab kisi ko koi thhar nahi milti to ek thhar hai sarveshwar bhagwan ki sharan use yad ai bhagwan ki to bhakton ke sang mein bhagwan ki prapti ka marg khulta hai bhakton ke sang se sab chhodkar ke unhone guru banaya mantr liya naam jap shuru kiya par hriday wahi chintamani ki asakti mein bechin kar deta.

jab tak paap nasht nahi hote to naam jap karne se aur jalan hoti hai. Dhyan rakhna band mat kar dena. Naam jap karoge to jab tak paap nasht nahi honge wo ashanti paida karega. Naam jap chudane ke liye. Aap chodna mat to aapka hriday nirmal ho jaega. Unko laga ab yahan nahi rukunga. Vrindavan jaaunga. Guru ji se kaha ki main Vrindavan jana chahta hoon. Sant nirapeksh hote hain. Adesh kar diya chale jao. Chal pare wahan se. Ek jakar ke ashram mein ruke to ratri vyatit karne ke baad prat kal wahan ganv ki badhue thakur seva karne aati thi, puja karne aati thi.

unmein se ek bahu ka jo rup tha wo chintamani jaisa hi tha. Je hi drishti padi. Phir aag lag gayi. Haan chintamani bhagwan se pyar karna bahut kathin hai yar bahut kathin hai kyonki vahit ka aphrn nahi karte aur sansaar chitt ka aphrn kar leta hai aur yadyapi wo chahe to muni man haran hai Madan man haran hai swaman man haran hai par wo kab chahe pata nahi kis intazar mein baithe ham log unke liye jeevan aur ye maya hamare man ka aphrn kar rahi aur wo dekh rahe hain hamen pitte hue dekh rahe hain. Are ek muskan yukt agar ek bar jhanki ho jae to karod karod kam murchhit ho jaate hain.

apne jaise jeevan mein aasakt ho jae. Kaun si badi baat? Bil mangal ji pagal ho gaye. Us bahu ke piche chal diye. Usne dekha koi vaishnav chinh dhari usne kaha ek sant bhesh bhi hai. Vaishnav chinh dharan kiye piche piche aa raha hai. Thodi thodi der mein dekha to piche hi aa rahe the. Wo jaldi se apne ghar mein gaye aur apne patidev se kaha ki kisi ki galat drishti hamare upar par rahi hai aur wo darwaze par aaya hai. Aap baat kar lijiye. Bahar nikle wo dharmatma purush the. Unhone kaha swagat hai. Aap atithi devo bhav aap hamare darwaze aae.

bolo aapki kya seva karun? Bole kaun gaye? Bole hamari ardhangini dharm patni hai. Bole ek bar bhar netr dekhna chahta hoon. Ek bar mujhe dekhne do. Wo dharmatma purush the. Unhone kaha maharaj swagat hai. Aap baithiye abhi ham adesh karte hain. Patni se kaha jaiye atithi hai wo aae hain. Aur ham hai isliye tum daro mat. Pati ki agyaa man kar gaye. Samne gaye chehra dekha. Bhari jalan paida hui. Are dusht netron sansaar ke rup ko dekh ke pura jeevan barbad kar diya aur bhagwan ke rup ke liye chale aaj phir sansaar mein phasa diya dekh le bhar netr rup ko aaj ke baad dobara tujhe sansaar nahi dekhne dunga andar sankalp kiya aur kaha devi ek kam kar sakti ho to kaha bolie bole do sui la ke de do usne sahaj mein do sui ghar hi tha la ke de di he Krishna jin netron ne aapke darshan se mujhe vanchit karke phir sansaar ke rup mein phansaya aaj main un netron ko aapko samarpit karta hoon aur donon netron mein sui boli ab jo janm se andha hota hai uska abhyaas hota hai chalne ka wo to tatkaalik apne netron ko bhagwan ke charnon mein samarpit kar diye chale Vrindavan ke liye ab koi saath nahi to ek raste mein sukha hua kua tha usmen gir gaye.

ab ankhon se dikhayee nahi deta. Paas koi hai nahi. Pukara he Krishna bas anannya aashray isko bhagwan bahut jor se dekhte hain. Anya aashray na hokar je hi anannya aashray hokar pukaroge to ek naam mein bhagwan aa jaenge. Ek naam mein je hi pukara upar se awaz ai. Baba ye pakar lathi pakar unhone socha itni kripa prabhu aa gaye ek second mein bhagwan ne kue se bahar nikal diya bole Baba kahan ja rahe ho bole Vrindavan ja rahe hain to dhire-dhire wo bahut praveen the bil mangal ji lathi aise karte gaye bhagwan ka hath pakar liya itna anand ka anubhav hua bhagwan ka sparsh karte hi parmanand mein ekdam doob gaye bhagwan ka sparsh bhagwan ne hath chhuda liya tab unhone kaha bah chhudae jat ho nibal jaan ke moh aur hriday se jab jaoge to sabal sarahu to hai theek hai main nirbhal hoon isliye aap bada ke lekin hriday se ab nikal jana to tumhen bahadur bataunga Vrindavan aae aur aisa bhajan kiya ki bil manglacharya ji kahe gaye bil manglacharya ji aur unhone chintamani ko guru mana ki chintamani ke thukrane se mujhe bhagwan ki prapti hui.

to kabhi-kabhi aisa hota hai ki parivaar ke log samaj ke log jab thukra dete hain koi sahara nahi hota to sabka sahara ek bhagwan bante hain aur wo bhagwan phir use jagat pujya bana dete hain. Jagat nindniy ko jagat bandhneey bana dete hain. Par yah siddhant nahi hai. Bhakti ki prapti sadhu sang se hoti hai. Wah sukh purvak bhi ho sakti hai. Wah bina vipatti ke bhi ho sakti

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi