॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

shri neem karoli Baba par film banane ka saubhagya mila hai, aise mein kin baton ka dhyan rakhen?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

anupriya nagar ji mumbai se maharaj ji aap kah rahe hain ki aapko saubhagya mila hai ki pujypad shri neem kori ji Baba ji maharaj ke upar ye film bana rahe hain. Maharaj ji ye kah rahe hain ki aisi dharmik marg par rahkar film banane se kya inki seva ban sakti hai. Ye seva bhi ban jae aur haan dhyan rahe ki mahapurushon ka anuran karna kathin hota hai. Koi sansarikta na ane pave kyonki kisi bhi mahapurush ke charit ko dekhkar ke hamare andar vairagya, bhakti aur gyan tino baten ani chahiye.

kahin kisi mahapurush ke charit mein aisi kuch bhi drishya ya koi bhi aisa abhinay na prastut kiya jae jo aparadh lag jae. Kyonki jaise neem karori Baba virakta mahapurush bhagwat prapt mahapurush hai to in mahapurushon ka anuran ek to kiya nahi ja sakta kyonki sthiti nahi hai. Ab agar ham bah kuch anuran karte hain to hamko ye abhinay mein dhyan rakhna hai ki kahin kahin apni film ki ya apne natak ki samaj priyata ke liye ham kuch vishay na paros den. Ham kahin kuch aisa na kar den jo mahapurush ke abhinay se alag ho jae aur wah hamare liye aparadh ban jae.

isliye savdhaan rahe ki chahe log dekhen ya na dekhen jo aapne padha hai unke vishay mein jo aapne suna hai unke vishay mein theek waise hi kiya jae. Pramanit apramanit na kiya jae. Kuch bhi abhinay mein kahin bhi sansarikta ya vishay na paros diya jae. Lokapriyta ke liye nahi to wah aparadh ban jaega kyonki mahapurush ka charit nirvishay hota hai. Mahapurush ka jo charit hota hai lok pavan karne wala hota hai. Ramanand Angad sobhu hari vyas aur chheet ek ek ke naam so sab jag hot punit ek mahatma ka charit sare sansaar ko pavitra kar sakta hai.

mam bhakti yukt bhanam pun wo to siddh mahapurush the. Bhagwat prapt mahapurush the. Bhagwat maha prapt mahapurush ke liye hamen sadhna karni padegi. Unka abhinay karne ke liye hamara khanpan theek hona chahiye. Hamara charit theek hona chahiye. Hamare acharno mein pavitra ani chahiye. Vani mein mriduta honi chahiye. Pehle kuch din sadhna karvana chahiye. Abhinay karne walon ko. Agar kisi mahapurush ka charit karna hai to pehle kuch din sadhna purvak rahna chahiye. Kuch din phal phool aadi kha ke rahna chahiye. Uske liye thoda pavitra phalahar, pavitra satvic bhojan, santo ka sang, santo ke charit padho aur bade pavitra mein tab aap aise mahapurushon ka abhinay kar sakte ho.

nahi to bahari natak dikha sakte ho. Wo satyta nahi la sakte. Abhinay mein satyta lane ke liye swayam mein sadhna karni padegi. Aur yah ham sabse prarthna karte hain ki bina santo ka charit sune bina santo ka smaran kiye bina santo ka sang kiye hriday mein bhakti ka ankuran nahi ho sakta. Bhakti swatantr sakal sukh khani aur bin satsang na pave prani. Spasht goswami tulsidas ji ne kaha hai bina sant sang ke to jaise mahapurushon ke charit hain inka agar ham darshan karenge to hamara bhav banega bas wo hamara bhav na bigde itni savdhani rakhni chahiye ki hamare samaj ka bhav sant ke prati banta hi chala jae aisa hamara abhinay hona chahiye doctor smit kaur ji Delhi se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kya prem bhakti keval bhagwat kripa se hi prapt hoti hai.

ismen jeev ka bhi koi praytn nahi apna prayas aur bhagwat kripa donon apna prayas aur bhagwat kripa donon prema bhakti ki prapti ke liye apna prayas bhagwat katha karna bhagwat katha sunna bhagwat naam kirtan karna bhagwat seva karna bhagwat mandir jana bhagwat bhakton ka darshan karna bhagwan ke charitra ka chintan karna naam jap karna ye hamari taraf se bhagwat kripa kru se yah prayas hota rahe to bhagwan ki kripa se age ka age marg khulta chala jaega aur ham bhagwat prem tak pahunch payenge. Ismen apna prayas aur bhagwan ki kripa donon ki zaroorat hai.

ab aise baithe gaye ham bhajan nahi karte ki bhagwat kripa se prem prapt ho jaega to nahi prapt hoga. Man kram vachan chhan chaturi aur bhajat kripa kar hai raghurain. Man vachan karm se chhal kapt ka tyag kar nirantar bhajan karo to bhagwan ki kripa aap par baras jaegi. To bhajan aapka aur kripa bhagwan ki. Prayas aapka purusharth aapka aur kripa bhagwan ki. Aapka purusharth aur bhagwan ki kripa donon milkar aapko prem tak pahuncha denge.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi