॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

dushman se badla lene ka adhyatmik tarika

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

jo aapse na bole use Radhe-Radhe aap bolo. Jo aapse gussa kare use aap namaskaar karo. Jo aapka bura chahe aap uska mangal banao. Aapka hriday sadhu ho jaega. Aap mangalmay shanti ko prapt ho jaega. Maharaj ji tab hriday jalta hai. To sona jab jalta hai tabhi to nikhar aati hai. Hriday jab jalta hai tabhi to nishpap hota hai. Us jalan ko sah gaya wahi to mahatma hai. Kam aaya, krodh aaya, irshya ai, dves ai. Iske pratikul aacharan karne par hriday jalta hai. Us jalan ko jo sambhal gaya wahi mahatma ho jaata hai. Maharaj ji usko kshma matlab andar se pranam karke samne se to aham mein chot pahunchti hai.

to ahankaar hi to nasht karna hai. Ahankaar mein to kam krodh lobh rag dves ye rahte hain aur kis mein rahte hain? Isi ghar ko to ujadna hai hamko. Ahankaar rupi ghar ko ujad do. Nirvikaar ho gaye. Isi mahal mein rahte hain sare dosh. Antahkaran ke ahankaar mein hi yah jitne vikar hain sab rahte hain. Usi ko to nasht karna hai. Isiliye sabko pranam karna hai. Siya rammay sab jag jani karo pranam jor jug pani tabhi aap nirhankar hoge. Tabhi aap mahan banoge. Tabhi aap hriday mein aandit hoge. Nahi to rag dves hota rahega.

sansarikta badhti rahegi. Aur ji ek bar pranam karne se man jae to theek hai. Phir upar se aur zyada to ham aur pranam karenge. Ham aur pranam karenge. Hamara pranam band nahi hoga. Uska rag dves band ho jaega. To hamen chahiye ham log adhyatmik hain. Yadi hamse koi dves kare to bhi ham usse dves na karen. Apni taraf se dves karna to banta hi nahi hai. Sab mein shri bhagwan virajman hai. Ham adhyatmik uttar dete hain. Aur yah kabhi mat sochiega ki yadi ham dves karne wale ko kshma karte rahenge to dves karta hi rahega.

nahi hamne aaj dekha hai wo prem karne lagega. Wo dves nahi karega. Prem karne lagega. Kshma mein bahut badi samarth hai aur kshma samne wale ko turant badal deti hai. Yah kshma adhyatmik bal hai. Yah mahan bal hai. Ise sabko prapt nahi hota. Satsangiyon ko prapt hota hai. Kshma karna nahi to ek gali de to do gali dene ka man hota hai. Jab ek gali de ham Radhe-Radhe karke nikal jae. Yahi hamari adhyatmikta hai. Kshma karna kamzori nahi bahut bada bal. Bahut bada bal kshma balvan hota hai.

wo to kamzor hota hai jo krodh karta hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi