॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

nasha karne walon ko kya naam-jap ka adhikar hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

karna nahi ham udaharan nahi de rahe. Ek patni akar ke boli ki mere pati wo sharab pi ke chaturasi ji ka path karte ho. Radha naam kirtan karte hain. Bolo maharaj ji unki gati kya hogi? To hamne kaha ek din chaturasi ji aur Radha naam unko sharab se mukt karegi. Ek din ye bhagwat charnarvind ki asakti prakt hogi aur unko glani hogi aur wo mahatma ban jaenge. Chhod diya maharaj ji aapki jankari. Accha haan to hamen yah jankari nahi thi lekin unhone yah jankari di thi ki pi karke path karte hain to hamne kaha karne do ek din wo chhod denge ek din unka param kalyan ho jaega ham sabse prarthna karte hain yadi bure aacharan nahi chhod sakte to Radha naam pakar lijiye isko kyon chhod rahe ho bhai Radha Radha kahte hue agar burai ke aacharan ho rahe hain to ek din Radha naam burai par havi ho jaega aur aapki burai ka tyag karva dega aap nishcint rahie bhagwan naam mein badi badi samarth hai.

ye man bada badmash hai. Vishay bade akarshankari hai. Bade-bade vivekiyon ko bhi bhrasht kar deta hai. Isliye daro mat naam jap karo. Naam se Harivansh bhrose bhay nidar nit garjat Harivansh bal naam bal ye aapko age badha de. Ji bahut achchhi baat bataai kyonki abhi teen-char din pehle ek jane aae the wo kah rahe the ki ham tambaku khate hain. Bat ham Radha naam bhi karte hain. To aapki yahi baat yad aake unko yah bola tha ki aap karte rahie. Ye dhire-dhire apne aap hi ye sare hamare saikadon anubhav hai. Ek vridh aae the. Wo ek dibbi cigret pite the aur unhone kaha mera bhrpur man hai bhajan karun par mera man kahta hai main bahut ganda hoon.

to maharaj ji kya aap hamen shishya banayenge? Tum kaha pehle imandari ko aapke ham namaskaar karte hain ki aapne sachchai rakh di. Wo Vrindavan akhand vas kar rahe hain. Ek bhi nahi pite. Sab chhod diya. Agar ham pehle hi din kah dete ki ham tumhen diksha nahi denge kyonki tum cigret pite ho. Pehle cigret chhod ke aao to kabhi aisa nahi hota. Hamne unko anumati di ki aap jo dibbiyon ke dibbe pite ho dhire-dhire kam karo. Ye gande aacharan chhorne ki baat pehle nahi kahi kyonki chhut hi nahi sakte. Pehle bhagwan ki sharan mein aao aur naam jap karo.

phir ye gande aacharan apne aap chhutne lagenge. Tumhara hriday jalne lagega. Aaj ke baad nahi karunga. Prabhu mujhe kshma karo. Aisa hriday mein pashchatap hoga aur aap chhod denge.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi