॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

mrityu satya hai ya bhram?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

mrityu kiski hoti hai? Kisi ki nahi hoti. Panchbhut panchbhuton mein parivartit ho jaate hain. Mil jaate hain. Atma apne swaroop mein bhi kaun mara? Koi nahi. Ek bhram is sharir ki asakti wahi aapko mrityu, mrityu wahi aapko bahut bhayava nazar aa rahi hai. Kyonki patni chhut jaegi, putr chhut jaega, bhog chhut jaega, bank balance chhut jaega, makan chhut jaega. Yah mrityu, nahi mrityu kiski? Avinashi atma ki kabhi mrityu honi nahi. Panchbhut, panchbhuton mein mil jaate hain. Mara kaun? Koi nahi hamen batao na itne vign jan baithe hain kaun mara jal tatv mara kya wo jal mein mil gaya vayu tatv mara kya wo vayu mein mil gaya agni tatv mara kya agni mein mil gaya akash tatv akash mein mil gaya prithvi tatv prithvi mein mil gaya atma sukshm sharir se age badh gayi kaun mara keval parivartan hua parivartan hi naam sansaar hai mrityu mrityu satya nahi hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi