॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

log ‘patli’ kahkar mera mazak udate hain, to man tut jaata hai.

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

maharaj ji matlab log bahut tippaniyan karte hain ki main patli hoon aur yah hai aur usse phir mera man tut jaata hai. To maharaj ji aise hi bahut sare aise prashn ate hain ki main mota hoon. Hamen log kya kahenge ye hamen chodna padega. Kisi ka sharir karmu gora hai. Kisi ki ek aankh hai. Kisi ki donon aankh nahi hai. Koi kala hai, koi patla jaisa hamara karmu sharir ho. Hamko is par kisi ki tika tippni par dhyan nahi dena chahiye. Bhagwan ki aradhna karni chahiye aur paryapt prasann rahna chahiye.

hamen bhagwan ne jitna diya, jo rup diya, jo sharir diya wo main nahi hoon. Bhagwan ne diya hai. Waise hi hamare karm ke anusaar hamen prasann rahna chahiye. Kuch log hain jo apne sharir ko lekar pareshaan rahte hain. Jaise aap pareshaan ho. Are kya log hain? Kya kahe? Log kuch bhi kahe. Hamko apni masti mein mast rahna hai. Sharir ka mota hona, patla hona, sundar hona, kala hona ye koi khas baat nahi. Dil ka accha hona khas baat hai. Aap dil ki achchhi bano. Bhagwan naam jap karo. Bhagwan ki bhakti patla sharir to accha hota hai.

abhi mote dukhi ho jaenge. Marji aapne accha ham ye ham ye kah rahe hain ki chahe patle ho chahe mote sabka sharir dukhdai hai. Aap accha bano. Aap apne ko accha mano dukhi mat mano. Ham aapki bada hi karte hain. Tum naam jap karo. Bhagwan ko bhajan karo. Lekin maroge ye bhi baat jante. Chahe mote sharir wale ho chahe patle sharir wale ho bharoge. Iska naam mrityu lok hai. Kya sharir par prem karna? Kya sharir par apman karna? Naam jap karo jaisa sharir bhagwan ne diya.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi