॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhagwan kaise milte hain?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

do mahatma bhajan karte the. Ek peepal ke niche, ek bargad ke niche. To wahin se devrshi narad ji nikle. To pehle bargad ke vriksh wale mahatma ne pranam kiya. Argh patr aadi se pujan kiya aur kaha devrshi narad ji se prarthna ki ki Maharshi aap kabhi-kabhi bhagwan narayan ke paas bhi jaate hain. To kabhi meri charcha chalana ki wo mujhe kab milenge. Theek jab peepal ke vriksh ke paas se nikle to us kutia se nikalkar mahatma charnon mein unke vandna ki. Devrshi narad ji ke devrshi narad ji se pranam karke kaha prabhu se puchna ki wah hamen kab milenge donon ne ek hi prashn kiya sahyog basa narad ji bhagwan ke paas gaye aur bhagwan se pucha to bhagwan ne kaha bat vriksh ke niche jo bhajan karta hai usko isi janm mein milunga aur jo peepal vriksh ke niche bhajan karta hai usko jitne peepal ke patte itne janm lena padega tab ham usko darshan denge narad ji ne socha lage hath bata dete hain aae to donon prasann hokar ke charnon mein pranam kiya.

vat vriksh wale ne pucha aapne pucha bhagwan kaha bhagwan ne kaha isi janm mein tumhen darshan ho jaega. Wo bade aandit hue. Peepal ke vriksh wale se kaha ki tumhen bhagwan tab darshan denge jitne peepal ke patte hain utni bar janm loge tab wo nath para rone laga. Itna roya aur pukara he nath he karuna sindhu he patit pavan aap mujhe jante hain ki main aapka bhajan karta hoon. He prabhu main to nihal bhagwan prakt ho gaye. Bhagwan prakt ho gaye aur peepal wale ko darshan diye wo bat wala kutia mein chala gaya tha.

devesh narad ji ne kaha maharaj aapne to hamen jhutha sabit kar diya. Aapne to kaha tha jitne peepal ke patte hain utni bar janm lega tab darshan denge. Yahan to minute nahi hua. Aap darshan de diye. Bole jo bhav sthiti iski ani thi itne janmon mein wo bhav sthiti ek minute mein aa gayi. Isliye bhagwan ek minute mein mil gaye.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi