॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya graham ki dasha hamara bura kar sakti hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

maharaj ji jab kisi vyakti ke saath kuch anisht ho jaata hai to log graham ko dosh dete hain. Kya graham ki dasha karmon ke phal ko prabhavit karti hai ya hamare karm graham ki dasha se bacha sakte hain? Jaise ab hamko bura samay vyatit karna hai. Bada kasht bhogna hai to nakshatra buri dasha mein baith jaenge jakar kyonki karm ke anusaar bhog bhogna hai. Agar hamara sahi samay aa gaya hai to nakshatra jo hai achchhi dasha mein baith jaenge aur ek dasha ham tumhen batae dete hain. Bhagwan ki yadi sharan mein ho to ye buri se buri dasha mein baith jae.

kuch nahi bigad sakte. Ek aadmi hit dham mein mila wo kai lohe ke chhalle pahne the. Hamne kaha ye kya hai? Bole ghode ki nal ke hain. To hamne kaha inse kya hota hai? Bole shanichar ka prabhav nahi chadega hamare upar. Are wo ghoda to bach nahi pa raha. Kuntlo mano lad karke rod mein daud raha hai aur uski nal tum pahan loge wo nal tumhen bacha legi karm bandhan se. Are Radha Radha rato Radha Radha rato idhar udhar ke chakkar mein mat pado. Jahan Radha wahan koi badha nahi. Jisko sadhe sati chadha ho Radha Radha ratna.

agar kuch bigad jae to hamen bata dena. Aur aise chahe kuntlo tel chadha do. Shani bhagwan prasann hone wale nahi. Bhagwat vimurkh hokar manmani aacharan karne wale ke upar ye devta hai. Ye sab nakshatra devta hai aur ye sab bhagwan ke parsad hai. Jab aap bhagwan ke samukh ho jaoge to ye kripa karne lagenge. Ye aapka virodh chhod denge. Jab aap bhagwan se vimurkh aacharan karoge to yahi aapka virodh karne lagenge. Ashanti paida kar denge. Vighna paida kar denge. Mein vipatti paida kar denge.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi