॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

nokri chali jae to kya kisi ke age hath phailana sahi hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

yadi aapke kisi grihasth sadhak ke jeevan mein koi samasya aa jae jaise ki nokri chali gayi ya koi anya samasya ai to kya wo kisi sansarik vyakti se sahayata maang sakta hai ya ismen kya bhav rakhe agar pakki nishtha hai to mango bho na bap so jo prabhu rakhe tek agar bhagwan se tek hai to meri nokri chhudrva di main bhukha rah ke tulsi dal aur charanamrit se katunga lekin kisi se mangunga nahi tumhari garaj ho to hamen jilana hamare parivaar ko jilana nishtha ise kahte ab itni nishtha na ho to maang lo.

itni nishtha na ho to maang lo. Aur agar nishtha hai to aap dekh lena sab theek ho jaega. Usko der nahi lagti. Wo ek ek second aapki chittritti ko dekh raha hai. Jis samay aap bhagwat bhrose ho jaenge sab theek ho jaega. Sab chalne lagega. Wo kaise chalata hai wo vani ka vishay. Ham bar-bar apne satsang mein kahte hain ki gale tak talwar aayegi bat aake har ban jaegi. Haan mangna to bhagwat charnarvind ki asakti wale purush ko to uchit nahi hai. Agar mangna hi hai to phir prabhu se mango na ki nokri chhut gayi vyvastha karo.

lekin aap nahi karoge to ham dusre ki taraf dekhenge nahi mar jae chahe to sharir jae bhukho mar jae par ham kisi se mangenge nahi thakur ji aap dekh lo to do char din dekhenge bhukhe rakh ke aur jab dekhenge ki ler pakka hai to vyvastha kar denge hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi