॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya aapne kabhi socha, bhagwan aapse kya chahte hain?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

bhagwan shri Krishna dekho kitna prem mein bavrapan hai. Vidur ji ke ghar gaye sarkar vidur ji the vidurani ji the awaz lagai vidurani kaun shri Krishna o mere isht padhare bithala unki bhav dasha badal mere prabhu aae mere prabhu aae main raat din jinka chintan karti hoon jinki baat jo hoti rahti hoon aaj wo mere prabhu aur asuon ki dhar chal rahi prabhu ne kaha aise hi baithi rahogi ya kuch khavaogi mujhe bhookh lagi hai ye wo prabhu bol rahe hain jo abhi Duryodhan se bol ke aa rahe hain. Duryodhan ne kaha chalo mahal kuch bhog rag ho jae to bhagwan ne kaha Duryodhan ye bhog rag do sthiti mein hota hai ek to abhav mein aur ek bhav mein mere mein abhav nahi tere mein bhav nahi mujhe bhookh nahi lagi main koi bhikshuk nahi ki main bhukha tere paas jaun aur tere mein bhav nahi ya tu koi priti parv ho ke pata hai ya tu daridrata parwash ho ke pata hai ye donon bhav mere mein nahi aur bhagwan chale aae yahan aake bol rahe hain mujhe kuch pawa bhookh lagi hai kyon aisa bhakt apne hath se pawa ab wo to bavri kya kela rakhe la utha ke aur pawa kela to le ai lekin dasha bhi deh ki nahi hai deh shuddh vismit dasha hai to kela aise chhilti hai guda phenk deti hai aur chilka bhagwan bhagwan chilka aa kyon bhav itne mein vidur ji ko pata laga ki prabhu aapke ghar gaye Duryodhan ke mahal nahi gaye bhagte hue vidur ji aae to wahan dasha dekhi ki uski jo guda hai kele ka wo to bahar para hua hai prabhu ko chilka par bole are bavri ye kya kar rahi tu?

hath se chheela aur chheela aur bhagwan ne kaha kaka ab wo swad nahi aa raha. Ab wo swad nahi aa raha. To baat vastu ki nahi hai. Baat bhav ki hai. Aap bhav mein bhare hue hain. Tan man pran sant ko samarpit kiye hue ja rahe hain. Yahi sabse badi baat hai. Yahi sabse badi baat hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi