॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1278 · 27 mai 2026

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki jai samasth sant hari bhaktan ki jai shri Vrindavan dham ki jai Sadgurudev bhagwan ki jai pramod Delhi se Radhe Radhehe Radhe-Radhe Gurudev aapke charnon mein koti-koti pranam Gurudev kya ham bathroom mein phone lekar ja sakte hain us phone mein aapke shri vachno ko sun sakte hain bathroom mein chala ke rakh sakte ho haan chala ke rakh sakte ho ya aap apna shauch snaan aadi kar rahe hain aur satsang sun rahe hain usko kahin unchi jagah mein rakh diya aur pavitra hokar phir chhwa kyonki phone aisi chij hai ki usko har jagah prayog kiya jaata hai.

agar wah soch ki sthiti mein aapne usko sparsh kiya to phone apvitra ho jaega. Matlab thoda pavitra ka dhyan rakhe to usse bahut buddhi shuddh hoti hai. Ab aajkal pavitra ka gyan nahi rah gaya logon ko. Are wo to usmen shauchalay mein shauch mein hi bol rahe wo staind par rakha rahta hai. Haan aise aise theek hai. Aap jab gaye pehle use chala ke rakh diya jo sunna hai aur aram se shauch snaan hue aur pavitra hokar phone liya bahar aa gaye koi baat nahi aisa kiya maharaj ji mere vyapar mein jo ki register ka prayog hota hai usmen pratdin ka lekhajokha karya likhte hain.

uske upar ham sarvpratham bhagwan ka naam likhte hain. Kya yah sahi hai? Ab us naam ko agar baad mein amniya karke yamuna ji pahunchave ganga ji pahunchave ya pavitra bhai jaise wo kafi samay tak to rakhi rahti hain do sal char sal panch sal uske baad phir abhi to waise rakhi hoon to unka matlab aag laga sakte hain ya faad ke haan aisa kar sakte hain bhagwan ka swaroop hai ki nahi aap aisa kyonki hamari prarthna hai ki aap log savdhaan sab rahe bhagwan ke rupon ka bhagwan ke naam ka apman na ho jaise log naam chhapwa dete hain aise aise gali kuche mein pare rahte hain card aise bhagwan ka naam likh diya jhola mein thaili mein aur wah sab aise man lo raddi kaagaz mein aapne wahi khate bech diye to phir wo phir apmanit hoga na isiliye granth ka aap sammaan karo bhagwan ke rup ka sammaan karo chitra ka sammaan karo naam ka sammaan karo to bhagwan dekh rahe hain na usi se mangal hota hai mangal bhavan ki kripa bhagwan dekho hamare yahan yahi bahut asavdhaniyan ho rahi hain ki apne naam roshan ke liye bhagwan ki chhaviya poster mein lagakar aur apni dukan chalane ke liye bhagwan ke namon ka prayog kar.

yahan tak ki jaise chhoti-moti vastue khane pine ki hain. Unmein bhi naam bhagwan jaise kai tarah ke aise bhagwan namon ka prayog hai. Sambhal karke hamare dharm ka vishay hai. Ham apne dharm ko pahchane. Ham apne dharm ko bahut sasta na samjhe. Apne dharm ka apman swayam na yah dharm ka apman hai. Hamare man lo poster mein laga diya bhagwan ki chavi iske baad jab poster ukhad ke fenka to gir jaata hai na ab koi use bhagwan ke rup mein thodi dekhta hai to ham aise nahi bahut savdhani rakhen bhagwan naam bhagwat rup inko sambhalkar pujniya bhav se ham rakhen ji harsh ji ahmedabad se Radhe-Radhe guru ji guru ji kabhi-kabhi hamara man naam jap mein nahi lagta hai to ham khud swayam se jor-jor se naam jap karne lagte hain phir man bhi shant ho jaata hai.

maharaj ji hamara prashn hai ki ham to atma swaroop hain aur man se bhajan karva nahi rahe to ye antahkaran chaturshty mein se kaun naam jap kar raha hai? Ham dekho aapka jo swaroop hai uska abhi gyan nahi keval suna hai. Antahkaran ka aapko abhi gyan nahi keval suna hai. Kyonki antahkaran mein jab antarmukh hokar ke aap samasth indriyon se anubhav karoge to janoge ye buddhi hai, yah man hai, yah chitt hai, ahankaar hai. Inka ek-ek ka prichay prapt hota hai. Jab tak antahkaran vishyakar hai tab tak atma swaroop nirvikaar hote hue bhi janmoge maroge dukho shok chinta bhay ye sab vyapt rahega atma swaroop to pehle bhi tha ab bhi age bhi rahega antahkaran ko sudharna hai hamko buddhi ka nischay ekmatra paramatma mein sukh man ka nirantar manan karna ekmatra paramatma mein chitt ka nirantar chintan karna ekmatra paramatma ka aham ka paramatma mein purn samarpit ho jana.

to jaise hamne bataya nirmal jal aur ekaagr jal shant jal to niche kya dikhayee dene lagta hai? Aise nirmal aur shant antahkaran mein bhagwat sakshatkar hota hai. Apni atma ka atma bodh hota hai. Samjh pa rahe ho? Abhi khub naam jap karo. Zabardasti karao. Man se pehle to jibhya karna chahiye. Ye vak indri hai. Isko shuddh karna chahiye. Pavitra shabd bolo. Naam jap karo. Kabhi kisi ko katu vachan parkh vachan na bolo. Ek-ek indri ko pavan karna hai. Netron se dekhen. Samya shri bhagwan ko dekhen. Kan se sune.

bhagwan ki charcha mangalmay gun sune. Kisi ki ninda kisi ka papacharan naam sune. Dhire-dhire hamari indriyan pavan hogi. Antahkaran pavan hoga. To hamen apne swaroop ka apne aap se anubhav ho jaega. Bas wahi mukt ho gaya. Jaise bhagwan hriday mein baithe hain. Lekin sab din dukhi parast hai maya ke dwara. Kyonki bhajan nahi hai. Agar khub bhajan kiya jae to abhi bhagwan yahan hriday mein hi prakashit ho jae. To jaise surya hai is samay bhi surya hai aur raat mein bhi surya rahte hain. Jaise hamare yahan raat hai to kahin din hoti hai.

to mrityu mein mrityu lok mein surya to hai hi na. Aisa mrityu lok ke antargat hai desh videsh. To kabhi hamare yahan raat hoti to kahin surya uday hota hai. Kahin surya hota hai. Matlab surya kabhi ast nahi hota. Pakka hai na? Surya kabhi ast nahi hota. Wah prakashit hota hi rahta hai. Hamare samne andhkar hai. Aise hi hamare samne dukh, chinta, shok, bhay, maya ka andhkar hai. Bhagwan sarvatra vyapt hai. Bhagwan sarvatra vyapt hai. Ab hamko bhajan ke dwara usko jagrit karna hoga. Jo paramatma tatv soya hua hai use jagrit kar je bhi jaga to anand ka anubhav ho jaega.

aap aur paramatma tatv do nahi rah jaenge. Par bhajan raat aaj ka satsang suna smriti har samay akhand smriti sabse badi sadhna ka swaroop hai bhagwat smriti ek tail dharavat smaran seva karte hue apne kartavya karm karte hue bhagwat smriti usi se anubhav ho jaega to ye jo bandhan hua hai yah man ko hua hai kabhi atma tatv na bandha tha na bandha hai na bandha rahega isi man ko sudhar liya to paramatma swaroop rup the hain rahenge aur man na sudhar paye to janm maran nana prakaar ke dukh klesh chinta aur anya yoniyon mein bhatakna ye sab bhogna parta hai.

samjh gaye rishikesh das ji Gujarat se shri Harivansh Radhe-Radhe maharaj ji dandvat pranam maharaj ji kisi bhi shastr ko padhne samjhne jeevan mein utarkar us shastr ka sakshatkar karne ke liye avashyak baten kaun si hain? Pahla brahmcharya dusra gurujanon ka dridh aashray tisra bhagwat smriti paraayan chautha abhiman nana danyata pancha purn samarpit hokar bhagwat shastr ka swadhyay karna mere mein mati nahi hai aap swayam prakashit hokar hamen samjhaie agar brahmcharya theek nahi hai shastron ka arth tabhi to ulta sidha bolte rahte hain log pravchno mein ulta sidha bolte rahte hain kyonki brahmcharya theek nahi hai gurujanon ka aashray dridh nahi hai swayam guru ban baithe gurujanon ka aashray dridh nahi hai ahankaar hai

vidya ka agar ahankaar hai to phir shastr ka arth ulta hi samjh mein aayega vidya rup mahatva kul dhan joban abhiman tat kantak dekhe jahan rahe na bhakt nidan raha na bhakt nidan swang sab nagar nar ke vishay hath bikae na rijhwan bhatar ke bhagwat rasik ji kahte hain yadi vidya ka rup ka kul ka dhan ka Yavan ka apna mahatva abhiman hai to uske andar ye chhah bade-bade kante bhakti maharani pravesh nahi karti aur jab tak dainyta nahi aayegi tab tak shastron ka bhav samjh mein nahi aayega shastron ke liye brahmcharya ahankaar ka tyag karke dainyta aur iske liye gurujanon ka dridh aashray koi bhi shastr ham tabhi samjh sakte hain jab ham vign mahapurushon se sune pratham sune bhagwat bhakt mukh bhagwat vani jo bhagwat swaroop mahatma jan hai jinhone shastron ke ek ek shabd ka swad liya hai aur sakshatkar kiya hai wo jab bolenge unke mukh se sunenge tab shastr ka rahasya hamare hriday mein prakashit hota hai.

to ahankaar rahit hokar dainya bhav se gurujanon ka aashray lekar ke shastr ko us samay sakshat bhagwan ka swaroop mankar swadhyay kiya jae to shastr hi tumhari buddhi mein baithkar ke apna anubhav kara lega. Jab tak brahmcharya nahi, gurujanon ka aashray nahi, ahankaar ka tyag nahi, dainyta nahi aur shastron mein bhagwat bhav nahi tab tak nahi. Shastron mein bhagwat bhav dekhna ho to guru vani ka kaise sammaan karte hain Sikh bhaeejan yah dekhiye aap agar shastron ka sammaan dekhna hai to wahan dekhiye kaise guru vani ka sammaan chvar dulate hue hath jodkar aise guru vani ji ka path karte hain hath jodkar khade hokar aur jab guru vani ji chalti hai to aap dekho kitna samuday utsav anand manate hue ham apne granthon ko apni sadwaniyon ko kaise vichar karke dekhiye ki matlab kaisa aadar ka aise padha aise rakh diya vastr ke dwara aveshtit bhi nahi hai aur kisi vastr ka asan bhi nahi diya to bhala shastr uske hriday mein spurit hoga shastr ka bhav spurit hoga to shastr tabhi samjh mein ate hain shri Sukhdev ji ek bar keval bhagwan vyas dev ji ne padha sab yad ho gaya kyonki balyvastha se bairagi brahmachari aur bhagwat swaroop mein sthit to shastr sab bhagwat swaroop hai.

aajkal jo trutiyaan ho jati hain uske yahi karan hai. Brahmcharya ki hani, gurujanon ke prati dridh aashray nahi, ahankaar ka tyag nahi, danyata nahi, shastron ko bhagwat swaroop na manna. In karanon se shastron ka ra shastr bahut gupt hai. Shastr jaise kahta hai ki aap uttar ki or chalo. Ab iske baad jo mudna hai wo nahi bolegaa. Wo guru bolegaa ki uttar ki taraf se paschim ki taraf mudna. Phir samne jakar purv ki taraf chalna hai. Ab wo sidha uttar ki taraf chalega nahi payega. Shastr ka rashi jaise pehle raja log apni sampatti ko chhupane ke liye bhul bhulaiya ka marg rakhte the aur iske baad wo sampatti ka sthan rakhte the.

to us marg ko wahi par kar sakta hai jo uska gyata hai. Anytha wo ghumta rahega. Wah sampatti tak nahi pahunch payega. To jo rasmay granth hai jo bhagwat swaroop granth hain iske acharya aur Gurudev hi gyata hain. Agar unke charnon mein unki aradhna karke to aap sampatti tak pahunch payenge. Shabd brahm ka anubhav kar payenge. Nahi to aap keval aise bolte rahie na aapko samjh mein aayega aur na dusron ki samjh mein aayega. Wo baithe hain bas sun ke chal diye. Aap suna diye aur antar na aap mein para na samne wale mein para.

kyonki aapne anubhav hi nahi kiya. Anubhav gam mein bhaje ja santa jab anubhav karke bola jaata hai to phir aise maun rahe bole na jab bole to hriday ki granth khole tab mana gaya ki shastr ka swadhyay hua hai wo tabhi hoga jab hamara nirantar bhagwat chintan dainya bhav se guru charan aashray bahut avashyak hai aur aajkal sabse zyada ghata isi baat ka ho raha hai ki guru charnon ka aashray nahi rakha jaata ahankaar itna prabal ho jaata hai ki ham swayam bahut jaldi apna prachaar prasar karte hue siddh banna chahte hain.

isse bahut badi hani ho jati hai. Guru charnon ki dasata ke bina na pai na pai hai bin Swami akel. Yahan tak likh diya vipin basat vairagya jit jo larkai khel agar Vrindavan vas kar raha hai bade tapasvi hai. Bada vairagi hai lekin Swami ji maharaj ke charnon ka aashray nahi liye. Acharya gurujanon ka aashray nahi le to na pai na pai hai. Na paya hai aur na age payega. Bin Swami ya isiliye guru charan aap upnishdon ko dekho padh ke 121 varsh keval seva karwai aur iske baad ek shabd bol diya tum pran nahi ho tum man nahi ho chhnd Upnishad mein dekho tab wo chintan kiya to ye 12 varsh seva kyon karwai adhinta guru ki adhinta ai ki vastu ka prakash ho gaya to shastr tabhi samjh mein ate hain jab guru prasann ho guru ki adhinta ho yahan tak varnan aaya ki padhaya bhi nahi charon ved smrit ho gaye aapne padha hoga mahabharat mein aap padhkar dekhiye aise mahapurushon ke

charit ate hain ki padhaya bhi nahi guru ne aur samwed aadi jitne ved hai rigwed yajurwed atharwaved samwed ye charon ved uske hriday mein prakt are guru mahima badi amog hai guru charan ashrit hokar ke sab baat ban jati hai ahankaar ka bhi nash ho jaata hai sanyam niyam bhi ban jaata hai aur aaj ka jo samay chala hai brahmcharya ka liye bahut hanikarak hai is samay brahmcharya ki sabse zyada hani ho rahi hai aur bina indriy sanyam ke phir narsi mehta ji kahte hain kaachh vaachh man nishchal rakhe dhan dhan janani teri

re langoti ka pakka jaban ka pakka aur man ka pakka tabhi wo maya par vijay prapt karta hai kanch vaach man nishchal rakhe dhan dhan janani teri re bada narsaiya darshan pava bole aise bade bhagya jo aise ke darshan ho langoti ka pakka jawan ka pakka aur man ka pakka ye teen baat hai ye teen baat ka sanyasi hai jo vani se maun ka aashray liye sharir se nishkriyta ko prapt ho raha hai aur man se sankalp rahit wahi param sanyasi hai to isliye hamen gurujanon ka aashray lekar shastr ka arth samjhna chahiye wo shastr swayam anubhav mein aa jaenge sakshatkar ho jaega jab ham aise chalenge aap samjh pa rahe hain ji doctor satya sarsat ji Agra se Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti naman Gurudev main 1997 se 2013 tak dhyan yog marg ka anusaran kiya.

2013 se 23 tak gyan yog ke marg par chala aur wahan ke mul srot tak pahunchne ki cheshta hoti gayi kintu safalta nahi mili. Pichle ek varsh se aapke batae naam jap ka anusaran karne par labh hua. Mera prashn hai ki ham avinashi paramatma ke ansh hain jo ki swayam prabhu shri Krishna ji hain aur prabhu ki alhadni shakti shri ji hain. To hamen kabhi-kabhi anand ka bhav naam jap mein milta hai. Kya wo shri ji ka kripa prasad hota hai? Aap dekho sab jeev paramatma swaroop hai lekin kaise tarang ke jaise samudra jaise nahi samudra mein karodon asankhyo tarang hain samudra karodon asankhyo tarang prakt karta hai par ek tarang samudra prakt nahi kar sakti aise hain ham bhagwat swaroop hain to bhagwat swaroop hi bhagwan ke ansh hain to ham bhi bhagwat swaroop hai lekin ham aise bhagwat swaroop hain tarang jaise samudra hai hamare prabhu aur unki tarang hain ham.

agar hamare mein vayu vikar nasht tarang mein vayu vikar nasht ho jae to samudra ho gaya na. Agar maya vikar nasht ho gaya to ham bhagwat swaroop ho gaye. Lekin samudra se karodon asankhyo tarang niklegi. Lekin tarang ek samudra ko prakt nahi kar sakti. Itna antar hamare aur paramatma mein bhagwat swaroop hone par bhi hai. To yah jo hamen prabhu ka naam japne par prabhu ki sharanagati, prabhu ke leela gun gayan, prabhu ki seva se anand milta hai. Yah sacha anand hai. Yah vishesh kripa hai aur aap khud anubhav kar rahe hain ki aap anya margo ka avlamban karke jo anubhav nahi kar paye wo aapko kuch samay mein hi naam jap se anand ka anubhav.

aur yah ham garantti lete hain ki anand ke anubhav ki baat jane do. Sidhe anand samudra mein doob jaoge. Yadi nirantar naam jab chalne laga abhyavrat bhajanat ek vishwas khali na jae to jo gyan prayas karne par aap nahi samjh paye wo gyan aapke andar jagrit ho jaega jo dhyan prayas karne par bhi nahi safalta prapt hui kundalini jagrit ho jaegi wahi dhyan mein aap nirantar raman karenge naam mein badi amoksha samarth hai ye ham keval pravachan nahi kar rahe ye hamara jeevan ham aapko bata rahe hain ye jo ham naam ki baat bar-bar karte hain na ye khub daud bhag karke sab margo ka avlamban karke tab ham bol rahe mein baithkar ki bhaiya agar samjh mein ave to pakar lo hari bhaj hari bhaj chhan na man nartan ko mati machhe mati machhe til til dhal ko bas jeevan ka sabse bada karya hari bhaj hari bhaj agar hari bhajan nahi kiya to phir anya sab sadhan vishwas yogya nahi aap khud dekh lijiye ham bar-bar udaharan dete hain antim samay putr ko narayan kah ke pukara to bhagwat prapti ho gayi aur aap narayan narayan ko narayan karke hari ko hari kah ke Radha ko Radha jaan karke pukaroge aapko bhagwat prapti nahi ho jaegi.

Putna ne doodh mein jahr milakar pilaya marne ke liye to use bhagwat prapti ho gayi. Aap doodh mein chini milakar pyar se pilaoge thakur ji ko thakur ji aapko bhagwat prapti nahi kara denge. Seva sumiran swadhyay leela gun gayan nischit bhagwat prapti ho jati hai. Aap lago isi mein khub dhyan se lago. Shri ji ki hetu ki kripa hai jo unhone ghasit liya. Nahi to jeevan ka jeevan pura vyarth ho jaate hain. Jeevan ka jeevan vritashi yagya chhnd teerthan yama yama yatha varundh satsanga sarv sangopma bhagwan kah rahe hain bade-bade vrat se niyam se sanyam se tirth yatan se shastr swadhyay se aadi aadi se main vash mein nahi hota jaisa satsang se vash mein ho jaata hoon.

kya hua? Satsang suna bhagwan naam mein priti hui. Dekho anand ki anubhuti aur isse bhagwat prapti hai. Abhi aap Radha bole abhi sharir chhut jae abhi aap bhagwat prapt ho jaenge. Abhi aap shyama pyari kuch bole bhagwan naam bole jo naam aapko priy ho aap dekho bhagwat prapti ho jaegi. Pakka vishwas karo is par dridh vishwas karo aur Shastri paddhti bhi hai krityuge dhate Vishnu tretaya yat makhai dwapre parichyam kal tadh keertanat kalyug mein param siddhi bhagan naam jap se bhagwat kirtan se hoti hai bas ismen ek thoda sa abhyaas kar le apne ko dainya bhav mein tanadap suneeche tar se sunna amanna man den kirtan ya sada jo dusron ko man deta swayam amani rahta hai apne ko nich samjhta ta hai aur vriksh ke saman sahnseel hota hai.

aisa naam japak bahut jaldi bhagwat prapti kar leta hai. Aur naam jap kar rahe hain. Santo ki ninda kar rahe hain. Vaishnnon ka aparadh kar rahe hain. Ahankaar kar rahe hain. Idhrudhur ke prapanch phir wo chalni mein gaya dhoe aur dosh da ko de. Hari guru kaho mal ap. Ab man lo chalni mein gay dhoe kah de hamen doodh pine ko nahi milta. To bhaiya patr aapka sahi hona chahiye to usmen doodh aa jaega. Bole ham naam jap kar rahe hain lekin anand nahi mil raha to kahin na kahin chhed hai bhaiya. Us chhed ko band kar lo to anand abhi utpann ho jae.

jo panch gyanendriay man sahit bhogon mein ja rahe hain unko dekho koi ganda aacharan ho raha hai. Koi ganda aacharan hai usko band kar do anand aa jaega. Bas naam jap se ye sarvopri baat ham aapko kah rahe hain. Hriday se kah rahe hain. Naam se badhkar kuch nahi hai. Jisne naam mein lagan laga di wo siddh ho gaye. Aap itna samjho jinko Ram kahna nahi aata tha wo mara mara kahe wo siddh ho gaye to tum Ram Ram kah ke kaise siddh nahi ho sakte? Tum Shyam Shyam kah ke kaise siddh le ho sakte par is par vishwas nahi hota khas baat hai ki aap kathin sadhno ki taraf to aapko man lagega lekin sahaj saral parmanand pradan karne wale naam ka nirantar chintan karen aisa koi bhagyashali hoga jisko vishwas ho jae aur vishwas ho gaya to bhagwat prapti ho gayi khuli baat hai naam jap se bhagwat prapti nischit agar 100 bar naam jap kiya hai aur aapko bhagwat prapti nahi hui kinhin karanon se to agli bar jo hoga wo 99 se nahi shuru hoga wo 100 ke upar shuru hoga.

itna mahmmahim naam hai. Ek to naam jap karne wale ko durgati hi nahi. Naam mein bhakta prannasati bhagwan kahte hain. Par agar koi aisi chuk bhi ho jae to jahan se bhajan ruka hai wahin se bhajan uska chalega. Bhajan kabhi nash nahi hota. Aap 10 varsh naam jap kiye ho. Aapke bhagvatik bank mein jama ho wo aapko param mangal param pad pradan karenge. Hani nahi ho sakti. Aapka kabhi kisi bhi tarah se amangal nahi ho sakta. Naam japak sadaiv parmanand ko prapt karta hai. Jitne bade-bade siddh mahapurush hue hain wo guru pradatt mantr aur naam se hi hue hain.

ji maharaj ji aapki kripa se vaniyo ka bhi adhyan karta hoon. Kabhi-kabhi vani path visheshak shri chaurasi ji mein arth samjh na ane par bhi anand ka anubhav hota hai. Haan hamen lagta hai arth samjhne ki abhi koshish na ki jae. Jaise jo hamare Vrindavan nitya vihar ke jo vani hai jo sad granth hai inko jab tak deh bhav hai stri purush bhav hai tab tak hamen lagta hai gayan karna chahiye arth nahi padhna chahiye arth ka chintan nahi karna chahiye kyonki yah chidanand ka premay vilas hai chidanand mein panch bhautik sharir nahi hote jaise aapke hamare panch bhautik sharir hai stri purush chinh hai chidanand mein nahi hote.

ab chidanand ko vilas ko agar ham panch bhautik dehdhari stri purush man ke dekhen to bahut bada dosh ho jaega. Isliye vaniyo ka gayan kar matra se wo sthiti prapt ho jaegi. Jaise kemal ji hain, chaturasi ji hain. Ye bade-bade mahan acharyon ne jo ek vani ji rachi ek-ek shabd mahan Priya pritam ki prapti karane mein samarth hai. Par arth na padhna chahiye. Jab tak hamari bhavna rasik mahapurushon ki prasadi bhavna se yukt nahi hogi man lo unhone jo swad liya Priya pritam bihari bihari ka aur wo jo hamen bhavna de rahe hain aur ham phir usi dasi bhav sahachari bhav se tab phir hamen agar ham aise padhenge to phir bhav mein kami aa jaegi.

isliye path karo. Siddhant ke arth padho. Jo siddhant hai na uske arth padho. Kuch leela aisi sahaj saral hai jinke arth padhne mein koi hani nahi. Jo Priya pritam ke nitya vihar ki hai unke arth mil bhi jae to nahi padhna chahiye. Kyonki Priya pritam ke divya vilas ko samjhne ke liye hamare pehle vanita purush bhav mit jae. Sev lalitadik ke bhae. Pehle hamara stri purush bhav mite aur hamari jo acharya swaroopa Lalita aadi sahcharya inke anugat ho phir unke pradatt jo mantr aadi hai unke dwara jab hamare bhav deh ka nirman hota hai jo sthul sukshm karan tino se pare hai wo atma swaroop bhav deh hai Lalita swaroop sahachari swaroop apna jo bhav hai usse jab wo bhav jab aata hai phir apni pyari jo pyari jo ki baat aati hai to anand ki umgan ekdam abhi kya hai laukik ka buddhi hamari hai nasht hui nahi purush stri bhav hai to mujhe

lagta hai nitya vihar ras ke jo pad hai unka gayan karen usse bada mangal hoga arth mein kahin uski buddhi parthiv na ho jae parthiv buddhi na ho jae kyonki sacchidanand mein ye vilas hai nahi aur parthiv vilas buddhi sacchidanand mein bhi parthiv dekhegi to usmen dosh ho sakta hai kyonki nitya vihar ras to bahut hi ye singhini ka doodh nitya vihar ras ke liye bhagwat rasik ji ne likha hai singhini ka doodh hai ya to bachchha ke pet mein ya kundan mein kahe bachchha ke pet aur ghat kare vilasal ya to bachchha acharya sharanagat hokar unke anugat hokar aur dusra aisa koi hai nahi ki sadhan bal se wo in mahapurushon ke bhav ko prapt ho bina mahapurushon ke sharanagat hue unke kripa prasadi unke charan raj ke bina ye bhav to durlabh isiliye anguliyon mein gine ja sakte hain rasik rasikon ki bhid thodi hoti hai.

rasikon ki bhid nahi hoti. To aap dekho anguliyon mein gile ja sakte hain. To isliye bahut kripa hai jo aap vaniyo mein lag rahe hain. Par arth ki taraf se utna arth jahan vilasita ko samjh mein na aae to chhod do. Pado ka gayan karo. Age khud shri ji samjha denge. Radha naam aur Radha vallabh shri Harivansh naam donon ko naam jap ki dilcharya mein ek saath laga sakte hain. Haan bilkul kar sakte ho. Bilkul kar jaise Radha vallabh shri Harivansh naam jap kar rahe hain. Aapka man bhag raha hai to fansa diya Radha Radha Radha Radha Radha phir bhi bhag raha hai to koi pad utha liya chaturasi ji ka koi pad gayan kar rahe hain phir louta ke laye Radha vallabh shri kuch isko navam navam chat padi hai man ko chatur upasak jo isko phansana janta hai isko jaise ek mein lagao Radha Radha Radha ye to thodi der mein ub jaega ab Radha Radha Radha mein ub raha hai to ab isko pad pad mein laga diya pad se ub raha hai to mantr mein laga diya mantr se ub raha hai to Radha vallabh shri Harivansh mein laga diya.

accha kuch nahi yar to aap kirtan kar rahe hain. Hamko phansana hai. Abhyaas yog yukt chetsa na nigamina. Hamen aisa abhyaas karna hai ki hamara chitt prabhu se vilag hone na pave. Kabhi vani gayan kar rahe hain. Kabhi naam jap kar rahe hain. Kabhi mantr jap kar rahe hain. Aur kabhi-kabhi thesak mein bhi baitha karo. Main prabhu ka hoon. Main shri ji ka hoon. Ascharya agar andar se ho gaya to thesak ane lagegi. Jaise ham logon mein ek thesak rahti hai. Hamare ma shyama ko raj ek thesak rahti hai, ek garv rahta hai, ek abhiman rahta hai.

ham apne acharya ke, ham Gurudev ke, ham Priya ji ke, ham shyama ji ke ek thesak rahti hai. Hai aisi thesak haan to ye aayegi abhi nahi hai kyonki abhi purn sharanagati bhav nahi ye jaise Meera ji ki thesak hai mere to Giridhar gopal dusron ye thesak aa jae hamari ladli jo hamare pyare jo hamari pyari jo to ek garv hota hai aap hamare brajvasyon mein aur premion mein aap ye nazar dal ke dekhna sab sadhan ek taraf unke andar ek garv milega aapko shyama pyari kunj bihari Radha vallabh shri hari ek thesak milegi ek abhiman milega dega unko apne isht ka apne acharya ka apne Gurudev ka yahi abhiman jo hai sab abhimanon ko choor karke shri ji ke nazdik le jaata hai haan jaise goswami ji kah rahe hain as abhiman jae jan bhore main sevak Raghupath pati more ye abhiman har samay bana rahe ki main das hoon mere Swami shyama Shyam hai garv bana rahe ji shravan lal gurjar ji Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ek sal se YouTube ke madhyam se aapki vani sun raha hoon aapke kahe kahe anusaar Ram naam jaap kar raha hoon.

subah sham hanuman chalisa bhi padhta hoon. Guru ji mera prashn hai ki main ek gayak kalakar hoon. Main bhagwan ke bhajan bhi gata hoon aur aaj ke jamane anusaar lokgeet aur pyar mohabbat ke geet bhi gata hoon. Is lokgeet mein jo bhi shabd likhta hoon wo meri asal zindagi mein to nahi hai. Lekin sangit ke madhyam se main gata hoon. Kya mujhe bhagwat prapti hogi? Dekho bhagwat prapti lokgeeton se nahi hogi. Bhagwat prapti hoti hai bhagwan ke chintan se. Andar hi andar aapke jo bhagwat chintan hota hai usse bhagwat prapti hoti hai.

aise ham bahut badhiya ga lete hain aur hamara andar se chintan bhagvatik nahi hai aur ham pad bhi ga rahe hain jo bhagvatik hai lekin char ko rijhane ka hai taliya sunne ka hai rupya lene ka hai wo vyapar hai na ki bhagwat prapti ki sadhna aap hamari baat ko samjh rahe agar ham kirtan kar rahe hain pad gayan kar rahe hain aur ek paisa nahi liya keval ye hai ki bhagwan ka naam bhagwan ka jas ga rahe ab yah bhajan mana jaega. Agar taliyon ka shauk hai, rupaye ka shauk hai to phir bhajan to nahi hua. Aur bhagwat prapti ke liye andar hi andar chintan karo aur yah lok vihaar jine khane ke liye yah karo.

koi pareshani nahi. Ek sal se main ek sal se pehle main galat sangat mein tha. Galat dost ke saath tha. Phir maine bajrangabli ki kasam khai thi. Sabka saath chhod diya. Akela ho gaya. Chha mahine ke liye main chha mahine ke maidan se main akela hua tha. Phir maine aapse aapke YouTube pe dekhne lagaya. Phir se wahin se maine Ram naam jaap chalu kar diya aur sab sangat chhod di. Haan ab sab to sudhar jaega. Aap chinta mat aur abhi main ye ye jaise bhagwan ka bhajan hi gaun ya ye chhod du. Nahi gana mat chhodie. Aap gaiye lokgeet bhi gaiye.

kyonki jaise jine ke liye ham fawda chalate hain. Jine ke liye ham kapde ki dukan karte hain. Jine ke liye ham nokri karte hain. Aise jine ke liye jeevan jine ke liye arth chahiye. Arthvyvastha ke liye ham kayar hokar thodi baithenge. Wo badhiya-badhiya gao. Lok geet gao, bhajan gao par wo arth ke liye bhagwat prapti ke liye andar hi andar jo naam aap jap rahe hain ye naam bhagwat prapti karaega. Andar hi andar naam jap karo kyonki uska ham dam lete hain. Uska ham prabhav taliyon ka sukh lete hain. Wahwahi ka sukh lete hain.

to wo bhagwat prapti mein asmarth hai. Samarth hai andar jo Ram Ram jap rahe ho yahi bhagwat prapti karaega. Jab bhi mere man vichar mein thoda parivartan aaya main uphash ka karak bana. Apne mitron mein apne parivaar janon mein mere apne bachchhe bhi yah majak karne lage ki kahin abhi abhi aaj ka ekantik padega. Piche wale batch mein yahi charcha hui jo aap prashn kar rahe ho na ki he bhai is sansaar mein yadi tum bhagwat marg mein chalna chahte ho to tumhari majak hogi. Tumhara uphash hoga. Tumhari ninda hogi.

jaise aap shuru ab shuru kiya na satmarg to aapko dikhayee dene laga ki parivaar ke rishtedar yahan tak ki aapke bete bhi uphash kar rahe hain. Ab aapka socho kaisa hriday lagega par nahi aapko samjhna meri bhakti rang la rahi hai. Agar bhakti mein virodh shuru ho jae to samjho bhakti rang la rahi hai. To aapki bhakti rang la rahi hai. Aapko muskurana hai. Udas nahi hona hai. Haan magar aap aise phir gir jaoge. Phir to gir jaoge. Bahut bahut himmati bano himmati bano bahut himmat ki zaroorat hai ismen nirash aapki to bhakti rang la rahi hai to aapko to accha anubhav hona chahiye prasann hona chahiye aap negative kyon soch rahe hain ki mera uphash ho raha hai are bhai nahi nahi nahi ye uphash ho raha hai aapki bhakti rang la rahi hai dekho galat aacharan karo aap dekho koi aapko nahi rokega koi aapka uphash nahi karega lekin mala kanthi dharan karke ke bhajan shuru karo bhagwat aradhna karo to aapke hi log aapka uphash karne bada bhagat banta hai

aisa hai vaisa hai kya kya nahi bolne lagenge isliye kisi ke bolne se mat ruko bhagwan ka satya marg hai sacchidanand marg hai bilkul harne ki zaroorat nahi agar hamko aiseeaisi baten kahi gayi tab andar se aata hai ai tuto nahi tuto nahi ek sharabi ka updesh hamen jeevan bhar yad raha hai wo yahi kahta tha til til kati gayi murti kabhi tuti nahi tu Baba ji bana kabhi tutna nahi ham us samay bachchhe the wo jeevan bhar rakha meri putri hai wo yahan se kahin padhne ke liye use kuch ek aisi diksha usko pakda dijiye jisse wo age ki taraf dekho ham aapki putri ki nahi sabki putr putriyon ke liye prarthna hai ki ye jo aaj girlfriend boyfriend rupi jahr faila hua hai isse bacha jae.

pahli baat to apne charit ko pavan rakha jae. Agar charit pavan nahi hai to aapki unnati ki lalsaen badha mein par jaengi. Aajkal koi sahi mitra milna bade saubhagya ki baat hai. Nahi to keval apni vasnaon ki purti ke liye dost ban jane wale saikadon tayyar hain. To ham apne friend ka chayan bahut soch samjh karke karen. Jo hamare se sukh bhogne ki lalsa rakhta hai wah friend nahi ho sakta. Friend wahi hota hai jo apne ko balidan karke samne wale ko sukhi karna chahe. Jo apne ko mita ke dusre ko sajana chahe use dost kahte hain.

lekin aaj ke dost dusre samne wale ko mita ke apne ko sukhi karna chahte hain. To hamare bhai bahno se prarthna hai pure bharat ke pure vishv ke ki hamari jo parampara rahi hai ye charit pavan ki rahi hai. Charit na dushit hone pave. Aur dusri baat koi vyasan hamare jeevan mein na hone pave. Chahe wo putr ho chahe putri. Yah baat bilkul samjh lo. Har vyasan hamare jeevan ko nash ki taraf le jaega. Jo bhi jaise aajkal skulon mein bachchhe drugs lene lage, dhua phunkne lage, bidi cigret lene koi vyasan na kare.

koi charitraheenta ke aacharan na kare aur bhagwan ka naam smaran karta rahe to bhagwan is sansaar se vijay nischit dila denge aur jo hamari kamnayen hain unki purti ho jaegi. Jab hamari buddhi shuddh rahegi to hamara smaran pavitra rahega. Smaran pavitra rahega to jo ham padhenge hamen yad ho jaega. Ham kabhi phayl hi nahi honge. Jab hamara charitraheenta hoti hai nana prakaar ke vishay ghus jaate hain to hamari smaran shakti nasht ho jati hai. Kama sanjayte krodha krodha smriti vibhrama smriti bhransa buddhi nasho buddhi nashat prannasati to isliye jeevan ka keval itna hi uddeshya nahi ki ham nokri pesha karke rupya kamae bhog bhoge aur mar jaen jeevan ka uddeshya hai bhagwan ki prapti karna adhyatma purvak jeena to isliye charit pavan rakhen koi vyasan karen bhagwat naam ki aradhna karen aur mata-pita ko bhagwan samjhkar unki agyaa aur unki seva mein rahe agar itna sweekar kar le to sab kuch ban jaega itne se hi ban jaega aur aap kabhi nirash mat hoiega.

mast rahiyega. Jaise koi aapka uphash kare to muskura diya aur bhagwan se prarthna ki ki inko bhi gyan dijiye. Inko bhi vivek dijiye. Hamen unke prati dves bhav nahi karna hai. Dves karne walon ke prati bhi hamen muskura ke chalna hai. Yah sabit karna hai ki bhagwan ka bhakt kitna majbut hota hai. Kitna pusht hota hai. Hamen sabit karna padega. Ham bhagwan ke das hain to hamen sabit karna wo hamen mare to ham uska mangal karenge. Wo hamen gali de ham uska mangal karenge. Karat je anashan nindak tino pe anugrah wo hamara uphash kar raha hai.

hamen nicha dikhana chahta hai aur ham hath jodkar usse baat karenge. Hamari aur sansarikta mein antar hai kyonki ham sadhu marg ke hain. Ham bhagwat marg ke pathik hain. To sadhu ka matlab keval bhesh se nahi sthiti se hai. Isliye aap prasann rahiyega. Sudesh kumar ji faridabad se. Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti naman maharaj ji main adhyatmik marg mein pichle 40 varsh se laga hua hoon lagbhag 50 varsh tak gita ka prachaar kiya maine 13 14 sal tak badi ekagrata se satsang kiya maharaj ji mera prashn yah hai ki lagataar pryasrat rahne par bhi dehabiman charm sima par hai aur aisa lagta hai ki jo avastha 40 sal pehle thi wah bhi wahi aaj hai.

aapke ekantik vartalaap mein aapne bataya tha ki dehabiman prakt guru ki kripa se hi jaata hai. Ab main aapki sharan mein hoon maharaj ji. Aapko guru rup mein dekh raha hoon maharaj ji mera naam jap jitna jor ka naam andar se sumiran chalega to ye jhutha jo sharir ka khel hai sansaar ka khel jab tak ye satya bhashit hota rahega tab tak gyan kaisa tab tak bhakti kaisi hai to naam jap mein shithilta rahi hai dekho ham aapko batayen gita ji kanthsth kar lena aur gita ji ka prachaar karna yah do baten alag hain aur gita ji ko pina aacharan mein utarna waise chalna yah baat alag hai.

dehadhyas ka nash gita ji ke pine se hoga. Gita amrit ka pan karoge to pan karna bada kathin hai. Dusre ko updesh de dena saral hai. Kanthsth karke suna dena saral hai. Lekin aacharan mein utarna bahut kathin hai. Agar ham ek shlok utar le to bhagwat prapti ho jae. Bhagwan kah rahe hain anannya cheta satatam yoma smarti Nitysa tasya sulabh Parth nit yuktas Yogina ab itna samay ho gaya 40 varsh aur aapka khud ka anubhav kah raha hai ki deha abhiman galit nahi hua to pujypad odiya Baba ji ne kaha jiska deha abhiman galit nahi hua use adhyatma mein abhi wah baat nahi mili jiske milne ke baad kuch milna baki nahi rahta kyonki dehabiman jitna galit hota hai utna hi bhakti ka rang prakashit hota hai.

deh bhav hi to janm maran ka hetu hai. To deh ne hamen thodi pakar rakha hai. Hamne deh ko pakar rakha hai. Bandh kir markat ki nai jaise tota nalini ko aise pakde hain. Agar chhod de to ud jae. Par wo sochta hai nalni ka matlab samjhte hain na jisse pankha ghumaya jaata hai. Wo pola agar rassi mein dal diya gaya. Usmen dana chipka diya gaya. Chipkane wale padaarth se to tota aake aise baitha jo baitha so ghum gaya ab wo pura hilak gaya ab sochta hai mujhe pakar liya gaya agar main chhod dunga to mar jaaunga aur agar wo chhod de to ud jae aise hi ham fanse ki agar deh bhav chhut gaya to sukh kahan kyonki sukh to isi deh se milta hai aur jabki sukh bhagwan ke chintan se milta hai na ki sharir chintan se sukh milta hai jo hamari sharir ki smriti bhul jae bhagwan ki smriti mein jaise aap din bhar kuch bhi khate pite kriya karte raho lekin aapko jo sukhanubhuti nind mein milegi wo kisi mein nahi milegi agar nind na ave to sab kuch khanpan hote hue bhi aap viksipt ho jaoge do din teen din char din nind na ave to aap dekho kaisa to nind ka sukh sarvopri wahan hua ki nahi harsh to nind mein sukh kya hai sansaar ko bhul jana panch ghante chha ghante sansaar ko bhul gaye to aap aap ekdam phresh ho gaye.

aapki indriyan balvan ho gayi. Aapko chaitanyata mili. Agar jagrit avastha mein ek ghanta ke liye bhagwan ko bhul jao aur maya mein rat ho jao to kitna klesh ashanti hai. Aur agar ek ghanta ke liye maya ko bhul jao aur bhagwan mein rath ho jao to samadhi mein sthit ho gaye. Bhai yahi do kshetra hain. Har samay hamara chintan maya ghaseetti hai. Is chintan ko modkar bhagwan mein ham ise sthit kar de to ham bhakt aur maya mein sthit hai. To sansari bas itna antar hai. Sab shastron ka sar ye hai ki bhagwan ka satat smaran aur maya ka vismaran.

yahi sab shastron ka sar hai. Par dekh lo smaran kya hota hai. Vyakti, vastu, sthan, rag, samgri, bhog yahi hamen bhagwan ka chintan to karna kathin hai. To samay vyatit karna bhagwan ki aradhna ka phal nahi hai ki jaise hamara 50 varsh vyatit ho gaya to 50 varsh mein agar ek bhi chhed raha to wo jitna hamne sameta sab bah gaya. Anubhav to hua nahi. To agar ham ek-ek bund daalen aur chhed band kar den to ek din to bhar hi jaega na. To aise hi kahin na kahin hamse truti hoti rahi. Jo trutiyaan hui hai imandari se wo aap jante ho.

aisa nahi hai ki aap nahi jante ho. Jisse bhi jo truti hoti hai usko pata hai. Wo bahanebaji se bhale chupana chahe lekin jaise hamse jo galti jeevan mein hui kya hamko pata nahi ki hamne amuk jagah truti ki. Hamne amuk jagah galti ki. Aise sabko pata hai. Agar un jani hui galtyon ko ham rok den to abhi hamare anand ka sindhu umadne lage. Par ham jante hain galti par hamen pata hai ki is galti mein sukh hai. Isliye ham nahi chhod pate. Chahe vyasan ho, chahe vybhchar ho, chahe koi gandi baat ho, chahe koi ganda chintan ho.

yah sansaar mein jo hamara chintan ja raha hai, uska ek mul karan sukh. Sukh milega. Bas ek karan hai aap dekh lijiye. Agar yah antarik baten theek kar li jae to puri gita ji ko aap padh ke dekhiye. Kahin bhi kuch maang nahi hai. Kahin koi maang nahi hai. Ek maang bhagwan ki hai keval. Wo ye nahi kah rahe ki mere liye mandir banwao. Mere liye aap aisa karo. Mere liye aisa karo. Gita mein bhagwan kah rahe hain man aadat ma buddhim niveesh bhagwan ki maang hai ki mere mein man buddhi laga do mere mein hi nivas karoge man mana bhav mad bhakto myaad mam bhagwan ghuma ghuma ke bahut jagah varnan kiya kah rahe hain ki sarwadharman parityaj ma ke mamekam sharanam kah rahe hain devi sa gunmai mam maya daratya mamev prapaddyate mayata kahin bhi ek paise wali baat bhagwan ne nahi ki hai.

bhagwan ki prapti mein paise ki zaroorat nahi hai. Adhyatma ki prapti mein paise ki zaroorat nahi hai. Adhyatma sukh jisko prapt hai use paise ki zaroorat nahi hai. Sansarik bhogon ki zaroorat nahi. Ham kahin ulta ho gaye hain. Ham sukh ka hetu rupya samjh rahe hain. Sukh ka hetu yash kirti samjh rahe hain. Sukh ka hetu ham kahin bhog samjh rahe hain. Aur baat ham gita ji ki kar rahe hain. To gita ji ka jo bhav hai wo hamare andar nahi aa payega. Ek shlok param pad prapt kara dega. Gita ji ka ek shlok.

ek shlok aapko bhagwat prapti kara dega. Gita ji ka koi ek shlok jeevan mein adarsh bana lo ki hamne to yah shlok pakda hai. Jaise jab ham balyvastha se chale to samasyaen hoti hai na sansaar mein ab jaise ganga kinare ghum rahe kab bhojan mila na mila sansaar ka to bada vichitra swaroop to ye do shlok hamne jeevan mein rakhe matra sparshastu kaunte sheetoshna sukh dukhda agma pano anityas tas bharat yam heete pursham purush sukh dukhma samanu bhav se hamne jeevan mein do shlok rakhe ki jo kisi bhi tarah se kisi bhi dukh mein vyathit nahi hota yathte pursham purush sam dukha sukhadhram swamat kalamte wo dhairyvan purush jo sukhdukh mein

saman bhav rakhta hai amrit pad ka adhikari hota hai he arjun ye dukh sukh ane jane wale hain ye anukulta pratikultaa ane jane wali hai inko sah jao sah jane se tum mahan ban jaoge dosh jahan kasht parta jahan vipreetta aati do log wo age badh jahan mein kasht hota ham gungunane lagte matra spate sheeto sukh dukhda agma pano anit bharat inko sah ja arjun sah ja ye ane jane wale hain ye tikau nahi hai ye abhi aae hain abhi chale jaenge shant bhagwat smaran paraayan raho to hamen lagta hai hamari jo trutiyaan hai unko ham jante hain jo janne mein ane wali trutiyaan hai unko tyag den to gita bhagwat santo ka updesh hamare hriday mein prakashit ho jae jo agar trutiyaan bani rahe to jaise ham chhed wale patr mein gay dhoe to wah doodh sab bahar hi nikal jaega.

antar mein hamen pushta pradan karne wala nahi ban payega. Isliye ham khud savdhaan ho. Dekho sant mahatma shastr udhar karne ka upay bataenge. Lekin chalna aapko hoga. Aap na chalo to koi aapka udhar nahi kar sakta. To ab tak jo galti hui unko dekh lo aap aur unko hata ke ek shabd mein aap aa jao nirantar naam jap kyonki ab avastha bhi vridha nirantar naam jap to akhiri swas jo bhi hogi usmen naam chal raha hai to bhagwat prapti pakki jaise hamara abhi bola Radha hamare pran nikal gaye to hamen bhagwat prapti pakki yah pakka samjh lo akhiri shwas jab hamari bhi hogi agar ham nirantar abhyaas kar rahe hain naam ka to naam chal raha hoga to hamen bhagwat prapti ho jaegi.

dehabiman rahe aur chahe deha abhiman chala jae. Ab hamse isse matlab nahi. Ab hamko ek baat pakdni hai ki naam na chhute aur jahan naam mein smriti rahi to deh bhav pehle ab khatm ho jaega. Deh ka chintan hona hi deh bhav ko pusht karna hai aur bhagwat chintan hona hi deh bhav ko nasht karna hai. To ab aap chintan par dhyan dijiye. Nirantar jo naam priy ho aapko us naam ko nirantar japiye.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi