॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

akshay triteeya par Vrindavan mein kaise karen sachchi bhakti?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

dekho apna to roz akshay triteeya hai. Apni to roz akshay har minute akshay hai. Radha akshay ye kaha jae kshay hoga kya? Har samay akshay hai. Lekin ye ham unke liye kah rahe hain jo sansaar marg ke prati kabhi-kabhi Vrindavan aae. Kabhi-kabhi aise pavan tithi parwon par saubhagya milta hai. Kisi ka mat khana. Kisi ke bhi dwara mat pina. Koi bhi padaarth dene par bihari ji ke mandir mein Radha vallabh ji ke mandir mein jo mile kinka le lena aur parikrama lagao Vrindavan ki giriraj ji ki lagao jitni tum mein samarth ho yamuna kinare baithkar naam jap karo vani ji ka gayan karo dusron ki seva karo maun ho jao ekant aparadh na banne paye aaj to vishesh savdhaan rahna kisi ki ninda mat kar dena nahi akshay ho jaegi uska bahut bada paap lagega aaj maun rahna khub naam jap karna.

dusre ka pani bhi mat pina. Apni mehnat se jo ek bar usko udhar mein dal lena. Khub bhajan karna. Ye avsar ate hain.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi