॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

agar ganga nahane se paap dhulte hain, to log paap karne se darenge kyon?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ganga ji ke dubki lagao to paap nasht honge. Ekadshi ka vrat rakho ya is tirth mein jao to aisa paap nasht honge. To maharaj ji paap karne wale evam paap karm ke liye mukti ke itne saral upay se kya paap ko badhava nahi milega ya isse iska bhavaarth kya hai? Maharaj ji meri jignyasa shant kar dekho paap aur paap ki pravriti ye do alag chijon hain. Paap nash ke to aapne upay batae lekin paap ki pravriti ka nash kaise hoga? Pravriti ka nash nahi hua to ganga nahaya phir paap kiya tirth yatan gaye phir paap kiya to hathi ke snaan jaisa wo snaan hua hathi snaan kiya dhul bhar ke soond se phir upar dal liya to kya snaan kiya to jab tak paap ki pravriti ka nash nahi hoga tab tak baat nahi banegi mud mangalmay sant samaju jo jag jangam teerath raju agar santo ka agahan kar liya jae to karodon bar ganga snaan ka phal ek sant samagam hai.

kyon? Kyonki sant samagam sidhe paap ki pravriti ka nash kar deta hai. Bhagwan ke charnon mein chitt jod deta hai. In tirthon ka in pavitra nadiyon ka snaan karne ka phal hai bhagwan se prem ho jana. Yadi bhagwan se prem na hua to phir wahi paap pravritti hoti rheng. To labh kya mila hamen? To yah paap badhave ke liye nahi hai. Aushadhi rog badhave ke liye nahi hai. Rog ka nash karne ke liye hai. Ganga ji aapki buddhi ko pavitra karegi. Ganga ji aapko sadhu samagam dilaegi. Sadhu samagam aapko bhagwan ki rati pradan karega.

bhagwan ki rati se paap ki pravriti ka nash ho jaega. Janm janm ke paap nasht ho jaenge. Sanukh hoe jeev moh jab hi janm koti y naso tah jab jeev bhagwan ki sharan mein aata hai sant kripa se to karodon janmon ke paap uske nasht ho jaate hain. Isliye sant samagam sarvopri hai. Sant samagam karo. Apni buddhi ko paap ki pravriti se hatao. Phir ganga snaan karo to anand prapt

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi