॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jeevansathi ka saath chhut jae to is dard se kaise ubren?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

maharaj ji inhone likha hai ki main apne jeevan ke sat mahatwapurn sal kisi ko diye. Wo aaj saath nahi hai to maharaj ji uski yad se bahar nahi aa pa rahi. Ek to ye ho gaya ki wo jivit hai. Ek hai maharaj ji wo chale gaye sansaar chhod ke bat wo bahar hi nahi nikal pa rahe. Us dukh se maharaj ji aise mein aise dukh se bahar nikalne ka koi upay hai. Bhagwan bhagwan sarwopay hai. Sarvopri hai. Yadi ham bhagwan ki sharan mein hokar yah mane ki itne dino ka hi hamara inka sanyog tha. Inka koi dosh nahi. Man lo wo dusre se pyar karne lage.

hamko chhod diya. To bhagwan ka vidhan yahi tha. Itne dino tak hamen sansarik purush ka sang mila. Ab main sacchidanand ka sang prapt karungi. Agar sharir chhut jaata to itne dino ke liye ye aae the. Yah pati rup mein aae hue param pati shri Krishna hi the. Ab main shri Krishna ka bhajan karungi aur apne ko kisi aur ko nahi shri Krishna ko samarpit kar dungi. To jeevan nihal ho jaega. Anytha depression mein pahunch jaega aur wo dukh nana prakaar ki pravriti ya vybhchar pravriti mein pravritta ho jaega.

nasha aadi karne lag jaata hai. Haan ya to vybhchar pravriti mein pravritta ho jaega ya depression mein chala jaega. Ye sansaar dukh mein hai. Yahan koi kisi ka saath de barabar asamabhav. Yadi hamara pati hamara tyag kar deta hai aur ham param pati shri Krishna ko apna pritam man ke bhajan karte hue jeevan vyatit karen. Ab aajkal aisa to hai nahi ki aap kuch kar nahi sakte. Agar aapke paas dharm hi nahi to aap koi na koi nokri kar sakte hain. Koi na koi karya kar sakte hain. Aaj ka samaj bada unnatisheel ho raha hai.

jismen matayen bahne bahut unnati prapt kar rahi hai. To hamen lagta hai agar pati chhod de to nirash nahi hona chahiye. Param pati shri Krishna ka aashray lekar bhajan karte hue kuch nokri vyapar jaisa bhi bane apna jeevan yapan karna chahiye. Agar pati padhar jaate hain to parmapti avinashi bhagwan shri Krishna ko sweekar karke apne jeevan ka mangal karna chahiye.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi