॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

sharanagat ko milti hai suraksha… par jo dur hain, unka kya?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

mein aapne bola tha ki agar aap apne shisyo ko samaj mein bhejte hain to wah unko aag mein jhonkne ke saman hoga. Parantu maharaj ji ham jaise adham jeev to aag mein hi rah rahe hain. To maharaj ji aise aag mein phir aapko bataya ki bukhar ek hi tarah ka nahi hota hai. Maleriya dengu kai tarah ke lekin likha jaega bukhar hi to uske tablet bhi alag-alag hote hain. Ham un shisyo ko kahte hain jinko vairagya marg mein chalaya hai. Jinko aajeevan brahmcharya ki shiksha aajeevan parigreh rahit rahna nirantar bhagwat chintan paraayan rahna kisi se kisi bhi tarah ka sang na hona ham inko kisi bhi swarthi ki purti ke liye sansaar mein nahi bhej sakte nahi tum ekant kunj ka sevan karo ya jo hamare sadhu samagam mein naam vani kirtan path ho raha hai usmen baitho bas apne kamre mein ekant raho kyonki tumhara jeevan ek alag jeevan hai samaj ka mangal karne wala jeevan hai ab gasth lakh lakho log jude hue hain.

unke liye alag marg hai. Aisa nahi ki unko isi paddhti se chalna padega. Unke liye paddhti alag hai. Inke liye paddhti alag hai. To aap jahan rah rahi hain kya wahan naam jap nahi kar sakti? Vani path nahi kar sakti. Thakur seva nahi kar sakti. Apne gurujanon ki seva nahi kar sakti. Agar kar sakti hai to jo inko ekant mein prapt hoga wo tumhen ghar mein prapt hoga. Pareshani kya hai?

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi