॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

agar sansaar mein nakli hai… to kahin asli bhi zarur hoga

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

sant mahatmaon ke prati pehle to ashradha prakt kar di gayi hai samaj mein. Kuch filmein kuch serial aise bana diye gaye. Dusri baat kuch aisi gandi baten ho gayi jisse santo ke prati ashradha ho gayi. Naujawan log wahi baten dekhte hain. Yadi santo ki vani par vishwas ho jae to hamara samaj sudhar jae. Yadi santo par shraddha ho jae to hamara samaj sudhar jae. Ek prarthna jarur ham karenge ki agar nakli note hai to asli note uska hota hai. Asli varjan hota hai uska. To agar koi pakhand karta hai to koi sacha bhi hoga.

bhagwan se prarthna karo ki sache santo ka sang mile to nischit jeevan ka parivartan ho jaega. Nischit parivartan ho jaega. Bina satsang ke parivartan nahi hoga. Apne paas to aise aise marij aae hain ki unhone kaha ki maine sharab nasha ye chhorne ke liye kai bar nasha mukti kendra mein ham bharti hue. Lekin phir bhi nahi chhod paye. Aur jab se aapka satsang suna to 40 sal ka sharabi main aaj jeevan ke liye chhod chuka hoon. Tab aapke paas aaya hoon. To satsang jo kam karega wo koi aushadhi kam nahi kar sakti.

yadi imandari se sadhu ka sang kiya jae aur thodi der satsang suna jae to hamare jeevan ka parivartan nischit ho jaega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi