॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

sadhna mein safal hona hai? Ye baat kabhi mat bhulna

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

yadi paap ho jae to prakashit kar dena chahiye. Par hota ulta hai. Ham apne sadhan bhajan ki baten to bata sakte hain lekin paap ki baat nahi bata sakte. Itna kamzor man ho jaata hai. Paap karne se deh abhiman itna pusht ho jaata hai ki aisa lagta hai hamari beijjti ho jaegi. Log kahenge aisa nich aadmi hai. Sadhan bhajan ke phal ko aur sadhan ko kabhi prakt nahi karna chahiye aur paap ban jae to use prakt kar dena chahiye. Ye baat sada yad rakhni chahiye. Jo paap chhip jaata hai wo bahut badhta rahta hai. Jisko paap chhipane mein safalta mil jati hai wo sochta hai maine baji mar li lekin uska paap dugna badhta rahta hai.

paap ki pravriti usse aur paap karati rahti hai. Paap ka utsah badh jaata hai. Aise manushya ant mein paap mein narak mein jaate hain. Sadhak ko chahiye paap chhipane ki cheshta na karen. Yadi paap ho gaya hai to koi poohe koi jankari kare. Yadyapi aapka apman ho jaega. Aapka tiraskaar hoga. Aapki ninda hogi to aapko kah dena chahiye. To jo usmen aapki ninda hogi. Aapka apman hoga. Aapka tiraskaar hoga. Isse bhagwan ki kripa barsegi. Ye dekho jab log aapki ninda karenge aapka apman hoga. Aapka tiraskaar hoga.

ye khud kahta hai hamne kiya hai. Ab dusre ki gavahi lene ki zaroorat nahi. Khud kah raha maine kiya hai to uske karan bhagwan ki karuna us par barsegi aur nishpap param pavitra hokar turant sadhna ki unchai par chal dega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi