॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kahin aap bhajan bech to nahi rahe?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

to dusron ka mangal tum soch hi nahi sakte. Tum usi ka mangal sochoge jisse tumhari mamta hai jisse asakti hai. Jis din tum dusron ka mangal sochne ki baat samjh mein aa jaegi to aapke hriday se niklegaa sarve bhavant sukhin. Ab yah baat koi mahatma bol sakta hai. Sadharan nahi bol sakta. Aap janch ke dekho dusron mein kaun hai. Pati putr rishte nate padosi wahi jo aapse mamta rakhta hai. Aisi kahin mangal ki nahi soch sakti. Tumhen gali de aur tum socho tumhara mangal ho jae. Yah sant hai. Yah hriday bhagavtanand se yuddh hai.

isko samjhna hoga. Kahte ham to dusre ka hit karte hain. Kya karte ho? Ham rod mein halwa puri aur sab bantte hain. Dusre ka hit karte hain. Usmen hamari koi kamna nahi hai. Andar se bhagwan ko sakshi karke dekho man ki kamna hai ki nahi. Iske badle mein kuch mile kamna hai ki nahi? Punya mile. Age chalkar ke ham aaj 10,000 ki puri bant rahe hain. Kal ek lakh ki bantne lage aur hamare paas ek karod stock hai ki nahi? Ganit dekho sarvagya bhagwan tumhare hriday mein baitha dekh raha hai. Apne aap pol khul jaega.

to ham sabka mangal nahi manate. Ham usi ka mangal manate jisse hamara swarth kanekshanal hota hai. To wo mangal kahan hua? Wo to swarth ki purti hui. Wo to apne bhajan ko bechna hua. Bhajan ka bechna hua. Bhajan ka mangal swarupi sarve bhavant sukhin. Ham jo bhajan kar rahe hain. Charachar jeev sukhi rahe. Svasth rahe. Nishpap rahe. Sabko shanti mile. Sabko aise hi vachan se kahne se thodi kisi ko mangal ho jaega. Om naam japo naam japat mangal. Tumhara bhi aur sab kam manane ki zaroorat nahi. Agar mana rahe ho to bech rahe ho.

kabhi koi kisi gali chalte bimar ko uthakar aspataal le jao aur uske liye phir socho jisko jante bhi nahi ho jo kabhi tumne namaskaar na kiya hai na karega. Mere prabhu he bhagwan mere paas jo tan man dhan jo bhi bhajan hai isko sukh mile. Ye koi mahatma bol sakta hai dusra nahi.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi