॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhagwan paas the, par bhakt ke paas samay nahi tha | Shri Hit Premanand Govind Sharan Ji Maharaj

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

videh nagar ke raja bahulash ji prat kalin vela se thakur seva mein lag jaate aur 2:00 baje tak dopahar ki seva karte. Ek din devrshi narad ji aae aur kaha aap jinke shri vigrah ki seva karte hain Dwarika mein sakshat virajman hai darshan kiye aur unhone kaha hamare paas samay nahi iske baad hamen raj seva karni hoti hai par prat se 2:00 baje tak din tak keval hamari thakur seva hoti hai to unhone kaha jinki seva kar ek bar to aap Dwarikpuri jao aur darshan karo kaha jaisi aapki agyaa prat kal hua sarathi se kaha rath sajakar tayyar karo ham puja karke phir chale chalenge bhagwan ke darshan karne Dwarikpuri aisa hi hua rath saja diya ab jab puja mein lage to anurag purvak puja karte hue theek 2:00 baje kaha aaj to ab samay nahi hai dusre din phir aise roz rath tayyar hota lekin puja anurag mein itne magan ho jaate ki usse chhoti kar hi nahi paye theek do baje sampann hoti phir raj kaj jante ho kya hua is puja ka parinaam swayam dwarikadish shri Sukhdev aadi bade-bade paramhansa ko saath lekar janakpuri aae aur maharaj bahulashra ko darshan diye.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi