॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhagwan ke naam ki mahima kaun janta hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ek bhagat ji kisan the to prayah aisi prasiddhi hoti hai jo siddh mahatma hote hain kamnao ki purti kar dete hain. Lok mein aisi prasiddhi ka aisa nahi hai. To wo varsh bhar seva aisi karta raha. To ek din bulaya aur kaha beta main tumhen aaj aisi chij dunga uski keemat mein tribhuvan bhi nahi hai. Tum mahadhni ho jaoge. Jao ganga snaan karke aao. Wo to nihal ho gaya ye baat sunkar ke ki mahadhni ho jaenge. Aaya naha ke baitha bole kisi se kahna nahi. Yah bahut gupt hai. Mahamhima hai. Tum Ram Ram japa karo.

matlab usko to ekdam laga ki yar matlab udas hoke chala. Charwahe log bole bhaiya Ram-Ram. Koi sant bhagwan ke paas se aa rahe ho. Kah rahe kisi bata nahi to charwahe ko batayen. Ram-Ram bole. To Baba ji ek sal se seva kar rahe to hamen lagta hai matlab phasla diya. Thag liya aisa. Chain nahi padi. Wapas laut ke aae. Bole guru ji ek baat bole sun samjh rahe. Wo jholi la utha ke jholi laye. Bole ye hira hai. Isko bechna nahi. Iski keemat pooch ke aao bazar se. Janta nahi tha hira kya hota hai kisan aadmi chamkta hua patthar hai jo baingan muli aloo bech rahe the unke paas bole ye loge accha hai ek do kilo baingan le sakte ho bechna nahi lao idhar baniya ke paas gaya usne dekha samne wala itna garib poshak pahne matlab hira to rakh nahi sakta par hai nakli ye hai par hai to ₹1000 denge ₹1000 nahi nahi bechna nahi wapas lao ek swarn ke paas gaya usne dekha usne kaha ₹1 lakh denge ₹1 lakh nahi bechna wapas lao sabse bade johri ke paas himmat padi uski wahan gaya to usne kaha dekho imandari ki baat hai ki ham puri jevar yahan ki sab de de to bhi iski barabri iski keemat nahi.

wapas lao. Are bole guru ji ye to bilkul amulya hai. Bade jauhri ne kaha ki puri ham dukan ki sab jevrat de de to iske barabar nahi. Bole yadi ham ye kah dete bech lao to tum pahli bar mein ek do kilo baingan muli lekar chale ate. Asli to jauhar jana na. Iski keemat aloo baingan bechne wala kya jane. Wo ban kya jane. Swarnakash anuman kar raha tha. Lekin jana nahi. Aise hi yah bhagwan naam ki iski mahima iska prabhav koi bhakt janta hai jo naam ka jo hari

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi