॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhagwan ne ek sal tak braj raj kyon khai? Janie rahasya | Shri Hit Premanand Govind Sharan Ji Maharaj

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

dau dada ne akar kaha maiya lala ne brahmand ghat ki raj pai hai. Maiya ne kaha aise raj payega to tu bimar ho jaega. Vatsalyane raj pai. Lal ji ne kaha nahi dau dada kabhi jhooth nahi bolte. Dau sadaiv satya bolte hain. Tum jarur jhutha bol rahe honge. Ab maiya main kyon jhutha boluga? Nahi nahi to tu dar ke jhutha bol raha hai. Maiya sahi to main hi bolta hoon. Kyon? Kyonki anant brahmand mere mein virajman hai to raj ki kya baat? Dekh aant bramhandon ko dau dada saath rahte the isliye kaha raho saath ab main aisi leela karunga ki pure braj 84 kos ki raj ko paunga tum nahi rok paoge kya leela ki apne beta brahma ki buddhi ghuma di inki nabhi kamal se prakt hue brahma ji to bete hi hue na sabke pita pitamah brahma ji aur brahma ji ke bhi bap aap hai jara si buddhi ghuma di unhone bacchhron ko sakhaon ko swayam lakho ki sankhya bacchhron ki thi jab 9 lakh yahan Baba ke yahan ai thi to aur nand upnand ke thi aur pure brajvasyon ki thi.

lakho ki sankhya mein jo bachhde the wo swayam lal ji bane aur ek varsh tak ghas charne ke bahane sampurn braj mandal ki raj ko chakha. Yah braj raj hai. Ek din dau dada ne dekha ki jitna prem shri Krishna ke prati mere hriday mein utna hi prem bacchhron ko dekh ke hota hai. Sakhaon ko dekh ke hota hai. Utna hi prem ye brajvasi jan apne bachchon se karte hain. Bacchhron se karte hain. Aisa to nahi ho sakta. Kisi ki maya mujhe mohit nahi kar sakti. Kya hai? Ye akarshan kya hai? Jo apne swaroop mein akar dekha to sab shri Krishna bachhde shri Krishna sakha shri Krishna chhadi shri Krishna.

to ho ye to mere prabhu sakshat bane hue tab dekha ki brahma ji ke dwara ye leela raj chakhne ke liye thakur ji ne brahma ji ki buddhi fer di ek varsh tak lakho bacchhron ka rup dharan karke sampurn braj mandal ki raj cha ye Vrindavan ki raj hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi