॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

mata-pita hokar kya aisa karna uchit hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

socho tumhare angan mein koi chhota sa tumhara hi balak ghutne ke bal khel raha ho aur akar koi ek thappad mare aapko kaisa lagega aapke pran vyakul ho jaenge mere bachchhe ko thap aur tum wahi apne udar rupi angan mein khelte hue us nanhe se shishu ko jo abhi kisi bhi tarah se apni raksha nahi kar sakta keval tumhare ashrit hai tumse posit hai tum use marwa dete ho, nasht kar dete ho, uski hatya karva dete ho. Maa kahne ki adhikarini hai aap. Apne garb mein palte hue bhrun ko shishu ko aap nasht kar deti hain.

aap maa hai. Shastr to kahta hai kuputra jayte kuchit kumata na bhavti. Putr to kuputra suna hai lekin maa kabhi kumata nahi suni. Wah apne dil ko bhi de sakti hai. Agar aisa uttar ave doctor ka ki koi ise dil de de to bach sakta hai. To maa pehle bolegi ki agar mera balak bach jae to mera dil usmen dal do. Main to ho gayi. Isliye sukhi rahe. Aisa maa ka hriday hota hai. Wahi maa aaj is bal par utar gayi. Adharm ki aacharan mein ki apne garbhsth shishu ki hatya kar di. Ise mana hi nahi jaata ki main koi aparadh kar rahi hoon.

ye nischit samjho bahut badi durgati ka karan hota hai. Yah jo santan utatpatti ki pavitra kriya ko apvitra kar diya jaata hai. Savdhaan

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi