॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

sant ne ek din mein bhog liya 12 varsho ka kasht | Shri Hit Premanand Govind Sharan Ji Maharaj

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

jaise Shridhar Baba hamko ek charit sunae the Radha kund ke sant bhagwan ka ki wah roz Sohni lagate the Radha kund mein koi thoonk de koi aisa to use saaf karke Radha kund ke jal se ki hamare Priya pritam yahan viharan karte hain aur bhikshan se udar poshan karte the khub nirantar naam jap karte the ek din wo Radha kund ki seva karke baithe hi the ki ek kala durgandh yukt purush aaya usne kaha Baba mujhe sweekar karo to bole kaisa bole main 12 varsh ka galit rog kusth hoon jo tumhare sharir par ana chahta hoon.

par itna bhajan hai ki main bina aapki agyaa ke aa nahi sakta. Main praarabdh hoon aapka. 12 varsh galit kusth. Unhone kaha bhai itna samay nahi hai hamare paas ki main bhogu. Dusre din phir aae Baba sweekar karna padega. Ham 12 varsh ka galit kushta chha sal mein bhogwa denge. Nahi nahi hamare paas samay. Kram se roz ate rahe. Ek din aae bole Baba sweekar kar lijiye. Praarabdh ya phir bhajan se nasht kar dijiye. Bhajan to nahi denge. Bhajan nahi denge. To bole Baba sweekar karo. To bole 24 ghante sweekar karne par aap raji rahenge.

to bole 12 varsh ka kasht 24 ghante mein dunga aap bhog payenge. Unhone kaha hamari baat tay hai. Tum pure 12 varsh ka jitna kasht hai wo hamen 24 ghante mein de do. Main sweekar kar. Bole koi aushadhi nahi koi pani dene wala nahi rahega. Darwaza aap band andar se band karenge. Bole bilkul akshar sahab. Baba ne apne shisyo se kaha darwaza band kar raha hoon. Aaj isi kshan samay dekh lijiye. 24 ghante tak koi hamare kamre mein nahi aayega. Koi vikshep nahi pahunchaega. Ham khud nikal aaenge. Jehik ka sweekar hai.

pura sharir mava se yukt ho gaya. Bhishan pida kadhte rahe. Haan Krishna haan Krishna aur 24 ghante vyatit hone ke baad sampann ho gaya. Jab bahar nikle to tejomay shuru kiye. Unhone praarabdh bhoga na ki bhajan

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi