॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhagwat dharm kya hota hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

to dharm to bahut hai. Patni ka dharm hai pati ki agyaa ka palan karna. Putr ka dharm hai. Mata-pita ki seva karna. Pita pita ka dharm hai. Putr aadi ki seva to kya isse bhagwat prapti ho jaegi? Bole nahi. Is dharm ka phal hai bhagwat dharm ko dharan karna. Dharmam bhaj satatam taj lok dharm. In lok dharmon ka tyag karke bhagwat dharm ka palan karo. To bolie bhagwat dharm kya hai? Man se, vachan se, ahankaar se, indriyon se, anek janmon ke swabhav vash jo jo karm bane wo bhagwan ko arpit kar diye jae.

bhagwan ke liye kiye jae aur bhagwan ka naam jap kiya jae. Bole to bada kathin hai. To bole santo ka sang karo. Dharmam bhaj satatam taj lok dharman sevan sada sadhu purush lok dharm ka tyag karke bhagwat dharm mein chalna ye bada kathin hai lekin is kathinata ki purti jo sant samagam karte rahte hain unko ho jati hai. Unmein itna atambal aa jaata hai ki wo sansaar ka moh tyag karke agyaan tyag karke bhagwat dharm mein chalne lagte hain. Santo ka sevan

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi