kya aap zara-sa dukh bhi nahi sah pate?
pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
ham dukho mein aansu nahi baha sakte. Ham dukho mein ghutne tek nahi sakte. Kisi bhi paristhiti ke ham gulam nahi hai. Ham prabhu ke das hain. Kacha sadhak kya hota hai? Prabhu ke liye ek bhi aansu nahi ate. Apne thode dukh mein foot-foot kar rota hai. Thodi si vyvastha bhang hui. Asuon ki dhar lag gayi. Thodi si pratikultaa hui. Chhut gaya niyam. Chhut gayi upasna aise kachu ghadon mein premamart ras nahi rakha jaata hai. Ras rakhne wala bahut praveen hai. Wo pehle dekh leta hai baja ke ki ghada kahin phuta to nahi hai.
kacha to nahi hai kyonki atyant durlabh prem ras acharya aur guru usi ke hriday mein rakhte hain jo samasth dwandon ke sahne ki samarth rakhta hai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- kaun sach mein ganga mein nahaya? Bhagwan ne khola rahasya! — haridvar mein sab ganga ji naha rahe Parvati ji ne kaha prabhu kitne punya atma sab ganga naha rahe bole sab ganga nahi naha rahe pani mein dubki laga rahe koi birla ek ganga na snaan kare unka ab…
- shriji ki sharan mein hokar nishcint ho jao — bilkul nishcint raho. Shri ji ki sharan mein hokar Radha Radha agar hamare galat kadam ja rahe hain to Radha Radha Radha hamari bas nahi shri ji shri ji dekhna hamari bas nahi hai ham kahin bhi gir sakte…
- chandan ki tarah bano, kusang ka vish mat apnao! — agar tumhen satsang milta hai to kusang bhi apna prabhav dikhane ki koshish karega. Aapki nishtha, aapki bhavna itni surakshit honi chahiye ki kisi ka bhi kusang ka prabhav hamare man par na pare. Jo…
- ann ka aisa gahra prabhav ki sant se bhi ho gayi chori! — ek Paramhans ji jangal mein rahte the. Raja gaye. Bahut din piche pare. Nimantran diya chalo maharaj mahal mein gaye. Prasad paya. Ab wo raj vaibhav ka prasad jangal mein aae to unko gulahri pipri ye sab…
- jisse prem hota hai, uski har chiz pyari lagti hai — jab ham kisi ko apna mante hain to bar-bar uski charcha karne mein, bar-bar uski charcha sunne mein aur wah gali bhi pyari lagti hai jismen apna pyara rahta hai aur uske padosi bhi pyare lagte…
- bhagwan kab milte hain? Har sadhak ko janna chahiye | Shri Hit Premanand Govind Sharan Ji Maharaj — ek bar narad ji maharaj bhramn karte hue ja rahe the to kuch samip pe ek bat vriksh ke niche mahatma bhajan kar rahe the ek peepal ke niche bhajan kar rahe the to narad ji ko pranam karke bat vriksh wale…