॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

agar ek bar bhagwan se kah diya ki pyar karta hoon, to phir..

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ye andar kyon gandagi pale hue ho? Kyon pali? Aapka lakshya nahi. Hato. Hai to dato. Do hi baat hai. Jab okhli mein sir rakh diya to musar ginne hai kya ki kitne padenge. Chal diya aapke liye to phir har gam tumhara sahenge khushi se. Kabhi bhi shikwa na karenge kisi se. Pyar ka marg hai. Jab chal diya pyare nahi dekha hai par tumse pyar karte hain. Ab ye ankhen kisi aur ki taraf uthe to phod denge. Kisi se aur se kah de ki ham tumse pyar karte hain. Jaban kaat denge. Aise ek bar kah diya shyama Shyam se ki main aapse pyar karta hoon.

to yah janm ab kabhi kisi se nahi kah sakte ki ham aapko pyar karte hain. Agar pyar dikhayee de raha hai to shyama Shyam ke nate se dikhayee de raha hai. Koi hamara pyara nahi aur sab hamare pyare wo hain jo shyama Shyam se pyar karte hain. Ye siddhant hai. Bhtak rahe ho. Aisi karunamay swamini tumhen apna banane ke liye tayyar hai. Tum idhar udhar chamdon ki chiknahat dekhkar phesal rahe ho. Kab sudhroge? Kab sambhaloge? Mrityu aa jaegi tab? Ya maya thag kar tumhen aise chaurahe par khada kar de jahan tumhen koi rasta na sujhe.

tab abhi hath ki pakar mein ho to bach jaoge. Hath ki pakar ke bahar gaye to pyare pe kisi ki takat nahi. Tumhen bacha sake. Ye Bhagwati prachnd maya dhajhiyan uda deti hai. Kadam soch soch ke chalo. Soch soch karke ek ek kshan vyatit karo. Bhagwan kripa patr tumhen bana liye hain to age ka marg tumhari wahi raksha karenge par manmani aacharan karoge to phir aap jano phir ye samjh lo aap kaho ki hari guru kahan hai bacha lete chikh chikh ke kah rahe hain savdhaan savdhaan dan.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi