॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

har insaan mein hoti hain ye 2 baten-bas fark itna hai ki…

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ki jaise shuddh sone ka abhushan nahi ban sakta. Jaise mitti bina pani ke milavat ke akar nahi dharan kar sakti. Mitti ko jab pani mein milakar phir use akar de sakte. Aise manushya sharir bina dosh ke iski rachna nahi ho sakti. Gun aur dosh donon milakar ke iski rachna hui hai. Ab kisi mein yah hai 90 percent gun hai aur 10 percent dosh rah gaye. 95 percent gun hai. 5% dosh rah gaye. 99% gun hai ek paras dosh aur kisi mein iska ulta hai ki 90% dosh hai lekin 10% gun hai. 95% dosh hai lekin panch percent gun hai.

99% dosh hai par ek percent gun hai. Bina gun ke koi nahi milega aur bina dosh ke koi nahi milega. Haan jo gun dosh donon par vijay prapt karke bhagwan ko prapt ho gaye wah mahatma aise hain jo gun dosh se pare hain. Nahi to ham sab gun dosho ke andar hi hain. Kami besi ho sakti hai percent ki ki tum mein 40% dosh rah gaye. Ham mein 5% dosh rah gaye. Lekin hai nirdosh wahi hai jo bhagwan ko prapt ho chuka hai. Jo bhagwat swaroop ko prapt ho chuka hai. Raat din sharir ka hosh nahi keval bhagwan wo nirdosh hai.

nahi to gun aur dosh donon se milkar ke hi sharir ki is srishti ki rachna hui hai. Isiliye kisi ke gunon se prabhavit na ho aur dosho ki ninda na karen kyonki bhagwan ki maya ke dwara rachit sampurn sansaar aisa

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi