॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jo ye seva karta hai, use alag se bhajan nahi karna parta!

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

santo ki kripa kai tarah se hoti hai. Ek hoti hai samip jakar kripa aur ek sunkar kripa hoti hai. Accha unka swasthya bahut kharab hai. Sharir pura hone wala hai. Shant hue ekdam bhagwan ke chintan mein doob gaye aur prarthna ki to uske hriday mein smaran swaroop pahunch karke sankalp ke dwara drishti ke dwara vani ke dwara chu karke kisi bhi tarah se sant jan kalyan kar dete hain. Aapka sant smaran na bane lekin sant ka smaran aapke prati ho gaya to aapke hriday mein bhagwan ka smaran hone lagega. Ye mahima hai antim samay ya to khub sadhu sang sadhu seva ho aur ya phir dat ke bhajan ho.

sadhu sevi ko alag se bhajan nahi karna parta. Uska kalyan usi se ho jaata hai. Ab jaise jo seva mein lage hain wo itni ekagrata hai ki naam jap nahi ho pa raha hai to unka theka hai. Wo theke mein hai. Ye nahi ki tum bhai hathauda chala rahe the, fawda chala rahe the to tumhara wo theke mein hai. Wo kripa ke theke mein hai. Nischit unka kalyan hoga. Mala wale ka to chuk ho sakta hai. Uska chuk nahi ho sakta. Kyonki wo agyaa mein jeevan ko arpit kiye hue hain.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi