॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Janmastmi vishesh - shrikrishna janm ki adbhut aur divya leela .

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

nisheet raat ke 12:00 baje bhagwan prakt ho rahe. Charon or andhkar chhaa gaya. Bhagwan ke prakt hone ka samay hua. Aise megh chhaa gaye. Ghor andhkarmay ratri garjan ho rahi. Varsha ho rahi. Usi samay sabke hriday mein virajman bhagwan dev rupni Devki ke samne prakt hue. Vasudev ji ne dekha kya dekha ki unke samne netr kamal ke saman komal aur vishal netr char sundar hathon mein shankh gadha chakra kamal vaksha sthal par Shri vastr ka chinh kaustup mani adbhut jhilmila rahi bijli ki bha chamkta hua Pitambar sundar ghunghurale kesh chamachmati kardhni ki ladiyan bahon mein bajuband kalaiyon mein kankar abhushan se sushobhit shri bhagwan ko samne dekha vasudev ji ab nirbhay hokar aur bhagwan ke charnon mein sir jhuka ke stuti karne lage.

bhagwan apni yog maya se dekhte dekhte chhote shishu ke rup mein Nilmani vasudev ji ne dekha bhagwan to bal rup ho gaye. Ab to aur dar laga kahin kans ko pata chal gaya aur talwar liye hue ave kuch amangal kare. Bahut ghabra gaye aur bhagwan ne kaha ki mujhe Gokul pahunchao. Nand Baba ke yahan Yashoda maiya ke parsha mein sula ke aao. Bhagwan ki agyaa ka palan karne ke liye je hi cheshta ki to apne aap hathkadi bediyan kat gayi aur bade-bade darwaze koi ek do nahi the kai darwaze the kans ke karagar ke fatafat sab tale tut gaye darwaze khul gaye aur jitne pahredar ghor raaksasi swabhav ke jinda kha jae aise pahredar the sab murchhit lala ko lekar ke chale us samay ghor badal chhae hue andhera kuch dikhayee nahi de raha vasudev ji bhagwan ko lekar varsha ho piche piche gupt rup se shesh bhagwan phan dharan kiye.

mere prabhu ko bunde na lage. Vasudev ji ko pata nahi ki piche shesh bhagwan phan dharan kiye. Wo to bas chintan mein chale ja rahe hain. Yamuna ji ne dekha ki prabhu padhar rahe hain to pahla charanamrit to hamara hi adhikar banta hai. Yamuna ji ne jab upan anand kar liya to vasudev ji ke pran bahut ghabra rahe hain ki ab kya karen? Laut sakte nahi. Koi nauka aadi hai nahi. Chalo prabhu ne agyaa kari hai to wahi dekhenge. Ab mere pran chahe chale jae mere lala ko kuch yamuna ji ufan kar rahi ki charan chu le aur vasudev ji ulta soch rahe ki yamuna ji badh rahi to lala ko bachhae bhagwan ne kaha Baba to aur upar uthte chale ja rahe to yamuna ji aur badhti chali jaengi ek shri charan ye Vasudev ji ko pata le jo hi yamuna ji ko shri charan prabhu ke sparsh hue to turant naabh vivar ho gayi aur aise ekdam shant vasudev ji Baba ke nagar mein Gokul mein gaye to dar rahe the ki koi dekh na le lekin wahan koi dekhne wala tha.

sab soe hue the. Ab wo aise dekh rahe aur jahan sulaya to wahan bhi putr tha.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi