॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhavishya ki chinta chhodni hai to yah siddhant jaan lo

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

jis minute mein marna hai us minute mein maroge aur nahi marna hai to aise hi chalta rahega. Aise hi yah siddhant Vrindavan nahi chodna. Jaise hamse kidney transfer ke liye kitne log bole apni wo sab swasthya ke kaagaz aur rupya bhi main kidney bhi dunga, rupya bhi lagaunga. Swasthya ka kaagaz dekh lo. Main purn svasth hoon. Aisa hamare man mein bas ek hi baat rahi hai ki agar hamko 10 varsh jeena hai to hamari yahi kidney hamko 10 varsh jilaegi aur agar nahi jeena hai to chahe jiski devta ki kidney dal di jae to bhi mar jaenge.

wo nischit samay hai jane ka yahan ka. Na koi doctor bacha sakta hai na koi dawa bacha sakti hai. Davaon mein jo aushadhiyon mein samarth hai wo bhagwan ki samarth hai. Bhagwan ke ashrit hokar ke Vrindavan ka atal vas le lo to tumhara bhagya palat jaega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi