॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त कथा · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

virodh se mat ghabrana, bas yah baat yad rakhna

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

tu aise naam ko pakar ki chahe tere pairo ke niche se prithvi khisak jae, sir par akash tut pare, pura vishv tere virodh mein khada ho jae. Tere sarvnash ki sthiti kyon na aa jae par tu ghabrana nahi mere naam ko pakde rahna. Tu nischit dekhna main tujhe apni god mein liye baitha milunga. Ye param satya baat hai. Prahlad ji ne anubhav kiya. Bade bhakton ne anubhav kiya. Itne bhay ki kya baat hai? Jara si baat aa jae do char ghante ham naam chhod sakte hain aur kisi se prapanch kar sake bhaiya tumhara sara koi jugad ho to aap bachao hamko aise kaisi mari gayi hai mati are wo jugad kya karen wo khud mara hua hai kal ke dwara wo khud maya prapanch mein fansa hua hai tum usko bada samjhte ho ki wo hamari raksha kar lega nahi koi raksha karne yahi bhakt se chuk hoti hai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi