॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त कथा · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

karmon ka aisa phal sunkar sadan ji ro pare..

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

sadan ji bachchhe hi the. Kuch rishte natedar aae. Unko pita ek chhota bachra laye the. Wahan to katte hi rahte the. Pita ne kaha ki zyada to ismen mans nahi. Iski tangon mein mans to phir apne atithi ka swagat karte hain. Sadan ji ne jab suna uske paas gaye to lipt kar rahe bachchhe the bachhde se. Aisa aisa mere pitaji kah rahe tumhen kata jaega aur aise dular kar rahe the. Bachhde ke bhi dekha aansu nikal rahe. To usne kaha tum apne pitaji se kah do uchit to yah hai ki pehle meri gardan kate to sadan ji ne kaha aisa kyon bole kyonki main purv mein aisa tha tumhare pitaji pashu the aur maine inki gardan udai hai to main pashu bana hoon inse kah do tumhen gardan hi katni chahiye pehle jinda tang mat kato maine tumhen itna kasht purv mein nahi diya tha sidhe gardan kati thi iska matlab jo karm kiya jaata hai uska phal milta hai pakka maine purv mein tumhare pita ki gardan kati thi is janm mein isiliye mujhe pashu ban na para aur tumhare hi pita meri gardan katenge pakka tum rok nahi sakte kyonki wo vidhan hai.

ab yah ghatna unko bahut chuhi jeev ko apne karm ka phal bhogna parta hai. Janm janmantro mein bachchhe hi the kuch sant mandli jae wo santo ke samne gaye charnon mein laut gaye balak the sant janon ne utho utho bachchhe to rote hue bole ki har karm ka phal jeev ko bhogna parta hai. Koi aisa sadhan hai jisse karm ka phal na bhogna pare aur jeevan mukt ho jae jeev unka bhagwan ka nirantar naam rakhna naam nirantar rate aur swayam kisi jeev ko kasht na de aur santo ka sang karta rahe to jeevan mukt ho jaega bas chhote se balak sadan ji mein baat baith gaye bas andar shuru kar diya hari shri hari shri hari shri hari

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi