॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah keval bhajan hai. Iske baad hamko yadi shareerik rog milta hai ya hamen apman milta hai ya vartman mein hamara bina kisi chintan ke hriday jalta hai to sahit sahit bade bhagti gat tan guru hitkar ab wo sharanagat pratipal sharir ki asakti ka nash karne ke liye rog denge abhiman ka nash karne ke liye apman karvayenge ninda karvayenge aapse aise karm karayenge jise pito tumhara abhiman nasht ho aur purv ke jitne bhi karm hai tum nishcint ho jao hamari agar baat mante ho hamen yadi guru mante ho to tum nishcint ho jao sharanagat ko apne purv karm ke vishay mein bilkul chinta nahi karni aham tam swar paap mokshas mas main tumhen samjh samasth papon se mukt kar dunga.

ye agar baat aapko samjh mein aa rahi hai agar ismen aur koi sanshay ho to mere se phir pooch lo. Yadi sharanagat ho gaye ho to tumhare purv karmon ka acharya aur isht nash kar denge. Kate karm bandhan sansari aur swayam Harivansh mahaprabhu kahte tahare agle panchle aparadh Harivansh ke bhi ab kya chinta ab jo jalan ho rahi hai wo sharanagati ke virudh chintan aur aacharan se ho rahi hai aap ye kahan chintan kar pa rahe hain ki ham shri ji ki sharan mein shri ji ka chintan aapse kahte hain har samay hriday mein itna anand bana rahta hai ki wo anand ek chakravarti samrat ko bhi nahi hai.

aur sharir mein itna kasht bana rahta hai ki shayad itne mein se kisi ko kasht nahi hoga jitna sharir ko hamare kasht hai. Pani bichh ke nahi pi sakte. Har sharir ke ang pida de raha hai. Lekin anand itna hai ki ham kaise tumhen batayen? Kyon hriday jal raha hai? Kyonki tum bhagwat chintan nahi kar rahe ho. Kisse paap nahi ban jaate? Bhut mein hue vartman mein bhi chuk ho rahi hai. Bhavishya mein bhi ho sakti hai. Sambhalnge bhale aapko bhagwan jai jai aham tam sarv papabhyo sarv bhut bhavishya vartman sarv papabhyo mokshyam aap to keval sharanagat ho.

aap kaha hamare paap hamare paap hai. To phir kya hai? Yah unka vidhan hai. Sharanagati pusht karne ke liye apna prem pradan karne ke liye wo hamen patr bana rahe hain. Wo hamen kripa patr bana rahe hain. Jahanjahan hamara ahankaar use nasht kar rahe hain. Jahanjahan hamara maimpan use chhin rahe hain. Ye kripa kar rahe hain. Wo unki kripa ko to samjho. Ye kripa ho rahi hai. Ye dand nahi hai. Ye kripa hai. Ab hamara koi praarabdh nahi hamara koi praarabdh nahi ham sharanagat hai ab vidhan hai hamare upar bhagwat vidhan wo kyon hai ye bhagwan jane hamko to abhas isliye hota hai ki sharanagati pusht karne ke liye jahanjahan hamara abhiman hai maimpan hai apnapan hai uska nash bhagwan kar le hriday jalta kyon hai kyonki bhagwat chintan rahit hai.

hriday jalta kyon hai? Kyonki ham purv ka chintan karte hain. Kai bar charcha mein kaha hai agar satsang mein dhyan ho ki aapko na bhut ki na bhavishya ki. Vartman ki dekhni ye second Radha Radha Radha kya baat hai. Bhut bhi pavitra ho gaya. Bhavishya bhi mangalmay ho gaya. Jai ho. Aap itne paap nahi kiye honge. Sa gaadi janeu bailgadi ikttha tha itne brahm rishiyon ko mara tha bada-bada japne lage charit padh ke dekh lo na aap aise aise gande aacharan wale mahapurush ho gaye bhagwan ka aashray lekar agar karm bandhan na katte to kaise hota kate karm bandhan sansari sukh sagar puri tati bhari vidhi nishedh shrankhla chhudave nahi ja ham log isi baat ko to bhule hain ham par jo kripa ladli ji ne ki wo thasa kahan hai aapke andar hamare mai shyama ko raj ke adhin sada savro ya braj ko se taj hamare mai shyama abhi sab

karm bandhan chinn bhinn ho jae lekin wahi purane tum bane hue ho shri ji ko sweekar kar rahe ho kya aap sweekar karte hain ki aap shri ji ke das hai hriday se agar sweekar kare to jaise ham phule ghum rahe hain waise phule ghumo utsah anand bal kisi ki baat ki kami nahi tabhi daktron se kal kah rahe the ki tum hamko sadharan insaan mat samjho ham sadharan aadmi nahi hai kyon ham shri ji ke ham ladli ji ke koi pradhanmantri ka aadmi hota koi rashtrapati ka aadmi hota ham anant bramhandon ke pati aadmi hai koi sadharan hai to jaise ham hai waise tum ho wahi mantr wahi bhash wahi sab kuch lekin kami kis baat ki hai tumhare andar thesak nahi ek udaharan mein haridvar mein sab ganga ji naha rahe the to Parvati ji ne kaha prabhu kitne punya atma sab ganga naha rahe bole sab ganga nahi naha rahe pani mein dubki laga rahe koi birla ek ganga na snaan karega nahi samjhi prabhu tab naha to rahe hain aur aap kah rahe ho pani mein naha rahe ham batte hain vridh ka rup rakha phislan ka wo drishya dikhaya aur gadhe mein

gir gaye kichad mein aur Parvati ji ke paas bole tum yah sabse kaho ki hamare pati ko sahyog karke nikalva jab niklne ke liye ave to usse kah do nishpap ho to chuna nahi bhasm ho jao ab jo nikle bole bhaiya hamare pati ko thoda nikalva do to koi to majak kar deta kar deta koi kuch koi kuch aur koi koi ye sochta dharmatma purush ki yar nishpap ho to chhue nahi to bhasm ho jaega to paap to bahut hi hai aur kahe ko ham jhanjhat mein fase ki bhasm ho jae ek dehateeti aadmi ganga snaan kar har har gange

har har gange bahar nikla bole bhaiya hamare pati ko nikal di bole bhaiya bhi bahan nikaalte lota rakha jo bole ruko agar nishpap ho to hamare pati ko chhuta nahi to bhasm ho jaoge to unhone kaha maiya abhi teri samjh mein nahi ai ki main ganga snaan karke aa raha hoon. Ganga snaan se sare paap nasht ho jaate hain aur bhagwan shankar ko. Bhagwan shankar ne kaha isne ganga snaan kiya. Usko ye garv hai ki main ganga naha ke aa raha hoon to papi kaisa hamen thesak hai ki ham shri ji ke hain. Harivansh chandra ji ke hain.

ab mere karm bandhan kaise aap padh kya sunte ho? Kya padhte ho? Kate karm bandhan kamal kar jin abhay di karm bandhan sab sab ham acharya ki sharan mein ham shri ji ki sharan yahi to thesak matlab aap la nahi pa rahe kya anand ki kami hai anand sindhu bhagwan jinke charan mein mahawar rachte hain un gore charnon ki ham dasata sweekar kiye hue abhi anand ki kami anand ki kami to tumhari tum sharanagati sweekar nahi kar pa rahe ho. Sharanagati sweekar kar lo. Purnata wo karenge. Ham nahi kar payenge. Purn sharanagati. Hamari jahanjahan asakti hai uska nash hamare isht karenge.

wo ghaseetenge. Wo hamen purn karenge. Purn unse hoga. Hamari taraf se nahi hoga. Hamari taraf se purnata nahi ho sakti. Apurn hi rahenge. Purn unki taraf se hoti hai. Tayyari hamen karni hai. Uske liye shastr sant aur guru laga diye bhagwan ne ki tum tayyari kar lo. Sharanagati ki tayyari karo aur sharanagati ham karvaaye. Bhagwan kahte bhai ji maharaj pujya Radha Baba in bade santo ki baat kah rahe hain. Ki sadhak tayyari kar sakta hai. Sharanagati ki purnata nahi. Purnata shri bhagwan se hogi. Jab wo kamal kar jin abhay karm bandhan sab kate param sukhad susheel sundar paay Swami mam dhani jai jai shri hari sans hamare ab karm bandhan nahi rahte jaise chhota bachchha gir jae aur maa daud ke uthane aae to maa ke thappad marta hai.

maa ke aise karta hai. Tum kahan thi jab ham gire ab to uthane ai ho lekin jab ham gir rahe the to tum kaha thi pakar leti wo ma to alpgya hai lekin shri ji sarvatra sarvagya sarvshaktiman prabhu ki Priya hai ham aise dekhte hain to aap log abhi samjh nahi pa rahe ho aap log sharanagat hai ham kah rahe hain man rahe ho tum ham kah rahe hain aap log sharanagat hai par ye bagath bandh lo ki guru ji ne hamko shri ji ko samarpit kar diya ab kya hriday jal raha hai to ham shri ji ke hain aur hriday aandit hai to ham shri ji ke hamko

hriday se kya lena ab man mein aap baithe ho to chalo aise hato aur phir dekho santusht kenva kaisi bhi paristhiti ho santusht hai shri ji ke siva kisi ka bharosa nahi kisi ka aashray nahi abhi anand aa jae kaun sa karm banda aapka kaun sa punya laya Vrindavan kaun sa punya guru ki sharan mein karaya koi aisa punya kiya hai kya kripa kripa aap mante ho na kripa to jab kripa hai to jalan kaisi nacho itne bade sarkar ke anusaran mein nacho ismen kya hota hai ki ham wo kripa ka rasoswa na karke ham sochte hain ki hamen dedh sal ho gaye bhajan karte koi anubhuti nahi hui.

ham yah sochte hi nahi ki ham sharanagat hai. Ham shri ji ke hain. Jai jai balhar. Sab ukhad jaega. Sahab bilkul hamari baat man lo. Yar do marg hai bhagwan ki prapti. Ek hai tair kar jana aur ek hai nav mein baith jana hamara jo hai wo nav wala hai shri Harivansh pratap naam nauka nij sevak bhavsagar sukh tar nikat Harivansh jo sevak ham kabhi ye bhagwan se nahi kaha satya mano na ki aap hamare darshan mein aao aap hamen anand de tumhari garaj ho to aao tumhari garaj ho to anand hamare guru ji ne hamko mantr bataya ham wahi japenege aur mantr ke adhin bhagwan bhi hai dhyan rakh aur wo mantr hamen guru ji ne de diya hai ab jaoge kahan bhag par ham kya hai na mantr par garv karte hain na naam par garv karte hain na isht ki sharanagati par garv karte hain ham wahi ghise pite purane daylog bolte hain ki hamare karm bas ye isse labh ab hamare kaun se karm hai?

hamare kaun se karm hai? Ham aapki sharan mein hai. Maharaj agar koi karm aap kahte bhi ho ki tumhare karm to tumhari maya baji bhi pasari sun muni mohe kaki kod kahe haridas tumhare ham jite wakil sahi ho to mukadma darne ki baat nahi hai. Pareshaan hone ki baat nahi hai. Nischit kalyan hoga. Uchh jeevan mein anubhav na ho to bhi pare raho to antim swas mein Radha kishori ki kripa tumhen param pad pradan karenge. Mano na re mano hamari baat ham kah rahe hain pare raho Vrindavan mein antim samay tak shri ji kripa kar denge.

jab swas chhutegi to shri ji apne paas la ham shri ji ke bhrose pare hain. Tana to tum kya karoge? Hamen kya batayen? Jo main apne avgun kahun katha ye baat sharanagati ka bal shri ji ka bal hai apna koi bal sab ang gunheen ho tako yatan na koi ek kishori kripa te kachhue so hoe man lo meri baat is thasak mein rah ke main shri ji ki hoon main shri ji ka hoon aur Radha Radha Radha jo mile daba ke pav par utar ke Vrindavan vas kar rahe ho pav pasar ke so aur jab jago tab Priya bhaje hamare rasikon ne kaha hai jage jab jage tab Priya bhaje sove pav pasar ae bas yahi kami hai ki aap shri ji ko apna nahi man pate shri ji ko

apna na manne ke karan hi sari samasyaen ab dekho kaise chal raha hai sab kaise chal raha hai char aadmi ek ghar mein to chinta ho jati aap log itne sab shri ji ke parsad ho aur kya kami hai kaun si kami chal bharosa kabhi aisa nahi ho sakta ham bhukhe rah sakte hain lekin tum nahi rah sakte tumhen bhukhe nahi rahne denge shri ji kyon kyonki Harivansh upasak ki sharan mein pakki baat kah raha hoon maharaj ham piche honge tum age hoge nikunj mein jai jai ham piche honge aur tum age hoge ham ghum ke aae pura jeevan

aur tum direct aa gaye ho nahi aa gaye kaun se tap kiya yahan brahmcharya upasna mahavaakya sanyaas duniya ka sab karte hue kashi se hote hue tab Vrindavan mila aur tumhen sidhe Vrindavan to hamse shreshth to ho hi kripa tumhen shreshth pad par baithaal di na samjh pao to phir bhai baat alag Vrindavan guru sharan sharna shanagat mantr nij mantr hriday jale maro phir are ab yar kya chinta chintamani pranamtam brajnagri chudamani kulamni vrishabh chintamani hamari shri aaj tak abhi tak ham dekh kar ke tumhen bata rahe hain ki shri ji ek ek baat aapki dekh rahe ek baat nahi rahi isliye connection nahi jod apnapan maharani ji se apnapan kar le bas sab baat bas shri ji se ye ho jae ki meri maharani se shyama jo hamari kishori jo hamari ladli jo hamari wo ab wo jinki sharan mein ho unhin ki sharan ka tumhen gyan nahi to kya baat hui anant bramhandon ka pad anant bramhandon ka pad unke charnon mein hai unke das ho kaun rok lega kaun rok lega keval narayan nikla aur bhagwan ke parsad akar ke yam duto

ki phansi kaat aur dant lagaya yamad duto ko yar aise bhagwan jinke charnon mein jhukte un priyaju ke ham charan mein ham Radha bolenge aur narak jaenge ham Radha bolenge hamara hriday jalenga aap bas yahi bhule hue apne swaroop swaroop to bhule hue aap jahan samarpit ho chuke ho usko bhule hue ho thasak mein ghumo bole bhajan nahi hota koi baat nahi bade ke ghar ke ladke agar na bhi padhe likhe to karorpati to bane hi rahte ho ab ye thasak rahi hai aapke ki ham shri ji ke hain. Jaise aapne bola ki ham shri ji ke hain.

dridh vishwas ho jae, apnapan ho jae. Aisa hi apnapan Gurudev ke prati dhire-dhire badh raha ho to ek hi baat hai maharaj ji. Ab ye isliye nahi kahenge kahenge ki man mana mat bhakton ka puja karva accha kyonki unko to dekha nahi hai maharaj ji to ye baat aa gayi dimaag mein to isse badhkar ke kya hai? Ye baat dimaag mein aa jae ki hamare guru ji hamari shri ji to bas phir ho gaya phir kya abhi kuch teen char din pehle hi aapne satsang mein kaha tha par kisi prasang wo baat beech mein hui par isliye ham alag se usko samjhna chahte hain ki maharaj ji usmen aapke shabd the yani jaise aapne kahe akording ki bhale hi mujh mein shraddha mat karo par meri baat agar man loge to tumhara to kya fark hai maharaj ji Gurudev ko manna aur Gurudev ki baat manna nahi ismen kya hai ki jaise hamare prati manushya

buddhi hui to gun dosh hai jad chetan gun dosh mein vishv ki nikalta jab aapki hamare upar manushya buddhi hogi to ye sharir gun dosh se yukt hai to iske dwara donon kriyaen hongi gun aur dosh donon yukt kriyaen hongi ho sakta hai aapko hamari kriya se ashradha ho jae ho sakta hai aapko hamari kriya pasand na ave lekin hamari baat par tum ham par shraddha na karo tum ham par bhav na karo hamari baat par shraddha kar lo to tumhara kam ho jaega ye bahut utar ke bole the maharaj us din aap jab bahut utar ke bole the agar aur pahli baat hai ki agar guru par shraddha nahi hai wo baten hi kam nahi karegi isliye to ye abhi dusra ki maharaj ji kaise baat hi kam nahi karegi baat to kam tab karegi jab guru ji par shraddha hogi.

bhai mantr to kam tab karega jab mantr data par shraddha hogi aur mantr data se shraddha ho jae to mantr kam nahi karega. Par ham kah rahe hain phir bhi kah rahe hain yadi hamari baat par tumhari shraddha ho gayi. Maharaj ji ne kaha tha to hamari puja ho gayi. Hamari baat ho gayi. Hamara sammaan ho gaya. Hamare prati purn shraddha ho gayi aapki kyonki aapne baat man li ki maharaj ji ne baat kahi di yah bahut badi baat ho gayi aap hamare photo mat pujo aap hamare samne pranam mat karo aap hamare samne kabhi aao mat lekin hamne jo kaha wo palan kar rahe ho to tumhari guru shraddha pusht ho hi jaegi kyonki maharaj ji ne hamari ye baat kahi is baat mein kitna apnapan hai yar sir nahi hamare maharaj ji ne baat guru ji mein to hai par to aaj maharaj ji kabhi to bas phir nahi bane phir ya to bachchha ban ke pare raho guru ji kahoge tumhare guru ji hamara udhar kar denge galat aacharan mat karo idhar udhar mat jao aapko bhagwat prapti hogi jai Renu param mangala acharya sharanagati guru kripa bahut badi baat ek aadmi hamari baat man ke chal raha hai aur ek aadmi apne man ke anusaar chal raha hai.

tum ja khopdi ke bal khade hokar ke tap karo lekin uski barabri nahi kar sakte jo guru adhinta liye hue ye system hai. Ye siddhant hai. Ye baat samjh lena. Guru kripa amog yahi to bhram ho gaya tha shankaracharya ji ke shisyo ko ki trutkacharya ji jo the wo keval sharir seva karte the shankaracharya langoti dhona kapda dhona khanpan sab unki seva kabhi vedant baithkar suna hi nahi to ek din snaan karke aae to shisyo ne ek shlok diya ki is pankti ko guru ji vyakhya karke ham sabko bata to unka trotak bhi aa jae to Mathura das ji ke mukh ki baat kah raha hoon.

unhone kaha ki tratak bhi aa jae shankaracharya ji ne to shisyo ne kaha ped ko suna dena theek hai lekin usko sunana bekar hai kabhi baitha hi nahi aaj tak bhagwan shankaracharya ne kaha guru ki sharir seva ko tum aise he bhav se dekhte ho bulao usko bulaya kaha beta is pankti ki vyakhya kar do guru pratap pura vedant jagrit ho gaya aur wahi shankaracharya ji ki gaddi par baithe shankaracharya ji ke badcharya ji baithe guru seva to aap log jo seva kar rahe hain guru seva sabse badi baat param brahm paramatma ki anubhuti keval guru kripa se hogi moksh mulam guru kripa ramanandacharya ji ek bagiche mein baithe hue the kua se pani mangaya thakur ji ke liye usmen thodi badbu ai to kaha badbu kyon ai bole bhagwan usmen patta girta hai is ped ki dal bole is dal ko kaat do lekin utna hi kato jitni kuan ke upar hai.

to bole bhagwan aisa kaise ho sakta hai? Kuan ke upar dal mein agar koi kateega to dal ki taraf baithkar aise kateega wo sidhe kuan mila jae. Bole isse matlab nahi. Chalo kaun kateega? To koi utha nahi. Ek uthe aur kulhad li gaye aur kata aur sidhe kue mein gir gaye. Main kulhad aur dalte sahit aur shishya sabke man mein socha bach gaye yar bach gaye nahi Guruji to mar dala tha hamne kaha guru ji wo kua mein gaya bole kuch nahi to baitho baithe rahe 15 20 minute ke baad jai ho namo namah jai ho namo namah aur wo sidhe bhagwan ke parsad unko bahar wo aae aur guru ji se kaha ye mala di hai Siyaram ji ne aur ye prasad diya bole kya hua bole je dal se ham niche gaye to bhagwat parsado ne apni god mein le liya aur Saket dham le gaye to Siyaram ji ke darshan hue aur prasad mila ye aapko mila ab sab shishya bhagwan hi ke liye to arpit hue the soche yar ham nahi kata agar ham kaat dete tulsi guru agyaa garib ye bahut badi baat hai ki jo guru agyaa par jeevan vyatit karte unka jeevan dhanya ho jaata hai jalan kis baat ki kis baat ki jalan theka ham le rahe hain par wo pata nahi tum vishwas walon ki na maharaj ji aap jaise sari baten ismen sabki dharan karne ki kshamta alag-alag rahti hai.

haan sharanagati ke bal par maharaj ji ye kya purv ka bhi kuch rahta hai ya kripa kripa murkhta murkhta mithai mithai dikhayee deti hai ki nahi dikhayee deti to ye baat aapko mithi nahi lag rahi mithi lag rahi hai to bas isko sweekar kar lo na kya pareshani hai par murkhta aisa kaise ho jaega guru ke ham bhajan nahi karenge ham parikrama nahi lagaenge ham nahi karke dekh lo karke dekh lo muni man dhyan dharat nahi pavat karat vinod sang balak pat shri ji ki sharanagati ham kah rahe hain sharanagati ki jab taraf taraf chaloge to hamne char baten aapko bataai thi ki hamare marg mein chalne ke liye char baten avashyak naam mantr mantr vani seva ab is agyaa ka palan karo hamne chaddar phenk diya tum samudra bh samudra mein doob rahe ho chaddar ke char kone hote hain ek hi kona pakda jaata hai naam pakar lo mantr pakar lo vani pakar lo seva pakar lo bas wo pura chaddar khinch jaega pura tum nikal jaoge to ab naam vani mantr seva aap pakdo ab aise matlab chintan karoge sansaar ka kriyaen karoge gandi to phir kaise aapko

aapko matlab Bhagvati kaise jagran hoga aap sharanagati par ho kahan bhagwan ki sharan mein hokar ke pare raho bhagwat prapti mein bhagwan ne kuch nahi kaha itni baat kahi baat samjhna bhagwan ke shabd hai sarv dharm parman parityaj mamekam sharanam braj to aham bhagwan kah rahe aham tam sarv paap moksh deshah samudta mrityu sansaar sagrat vishwas karke baith jao yar baith jao kahe pareshaan jo karwaya jae wo krit karo jo bhojan mile pale ho aram se chode se so jao kahin jagah nahi hai to footpath mein bhaiya hamen Vrindavan vas karna hai bhagwat prapti karke bhagwat prapti vishwas karo hamari baat par vishwas karo man ki baat achchhi lag rahi hai aur aisa lag raha hai kisi ko dharan karen bat isko satat ye bani rahe iske liye maharaj ji kuch karna hai ya apne aap diya na char char baat naam japo mantr japo vani path karo thakur seva karo guru seva karo, sant seva karo, dham seva karo, seva seva kisi ki bhi seva matlab jo seva shri ji ki seva karo, naam sab ban jaega.

in char ke bina sharanagati hogi hi nahi. In char ke bina sharnag aur sharanagati ho gayi to ye charon swayam chalenge. Ye bhi baat tumhen bata rahe hain. Main japta nahi hoon. Main karta nahi hoon path. Main puja nahi karta hoon. Kuch nahi karta hoon. Hamse pucha jae to ham ek shabd kahenge kuch nahi karta. Ho raha hai. Shri ji ki kripa se ek minute bhi bakaya nahi. Bilkul nishcint raho yar. Shri ji ki sharan mein hokar Radha Radha agar hamare galat kadam ja rahe hain to Radha Radha Radha hamari bas nahi shri ji shri ji dekhna hamari bas nahi hai ham kahin bhi gir sakte sambhalna ladli ladli ladli bal baka ho jae to main bata kud kud padegi koi na koi rup lekar ke accha kar denge bacha denge unka nij anubhav ye isliye bhajan karo bhajan ka matlab hota hai ho jana aa bhajan ka matlab hota hai ho jana shri ji ke ham ho gaye ab ab ab to apne aap hamara chintan hoga jiske ham ho gaye hamse zyada hamara shri ji bhajan karti hai hamse zyada hamara shri ji bhajan karti hai agar ham ek bar Radha bolte hain to 100 bar hamara mangal chintan karo.

aisa swabhav aur sune na de. Ek bar yudhishthir ji bhagwan ke shivir mein gaye. Yuddh kshetra ki baat bata rahe hain. Pandav hai. Bhagwan aise baithe. Unhone socha param brahm paramatma jagat dhyan inka karta hai. Ye kinka dhyan? Jab dhyan chhuta to ka kaho kaise aae? Data se. Unka pehle aap hamare prashn ka uttar dijiye ki aap dhyan kiska kar rahe the. Bhagwan ke aansu aa gaye aur kaha yuddh bhumi mein sir saiya par pare hue maha bhagwat Bhishma pitamah hamara dhyan kar rahe hain. Ye yatha mam prapadte tas agar aap do aansu bahakar shri ji ki chintan karte to shri ji aapke paas hi hai.

bas jis din vikalta ho jaegi ki ham unke darshan ke bina nahi rah sakte usi din parda hat jaega aur bhav mein to har samay bani hi hai agar aap bhajan karte ho sharanagat ho to ye chinta rahe shri ji anand swaroop hai ab jalan nahi honi chahiye kyon bhai samjh mein ai baat sabke hain haan shri ji ki aur thesak bhajan kare wo jisko shri ji ka bharosa na ho ab aap samjho hamari baat samjho jab hamara shri ji ka bharosa hai to har samay shri ji ka chintan hoga ham jiske bhrose jaise dhan ka bharosa hai to dhan ka chintan hoga jahan aapka bharosa tika hai apnapan tika hai sukh buddhi tiki va chintan hoga aur agar ham shri ji ke hain to hamara bhajan swas swas se hoga bina ham bhajan ke rah nahi sakte bina ji nahi sakte bhajan na maharaj ji ham bhajan ka matlab hota hai bhav bhajan ka matlab hota hai ek jaise hamare dimaag mein baith gaya meri maharani shri Radha rani ab ham kahin bhi kahin bhi ho wo hamare dimaag mein baitha hai meri maharani shri sharanagati kitni jor ki hai aapki wo aapke anubhav mein aa jaegi to ahankaar aa jaega lekin aap

sweekar karo ki ham sharanagat hai aur sweekar karne ke aapki swikrati ki baat hai dekho hamari baat bahut sukshm ta se samjhna pani grahan ke pehle us ladki ka ghar mein chamach pe adhikar nahi tha aur pani grahan hote hue grih swamini ho gayi aise hi bilkul aise wo dusre din agar koi lota le jaega to kahegi mera lota kyon le ja rahe ho kyon kyonki usne apna samarpan us purush ko kar diya jab sansaar mein riti hai to hamne jab apna samarpan prabhu ko kiya to prabhu bol pare aham bhakt swatantr main bhakt ke adhin ho gaya bhagwan bhakt tatpar ye baat samjh mein kyon nahi aati bas yahi samjhna hai ham jaisa vaisa karen jaisa to badi badi bhaykar paristhitiyon se bhi nikal ke wo aapko dekho hamare hriday mein anant janmon ki ashubh aur shubh vasnae hain.

ye bina shri ji ki kripa ke operation safal nahi hoga. Aur operation hoga guru ek bar operation hoga. Ek ek vasna aapki nasht karke hriday ko nirmal kar diya jaega. Kuch bhoga ke aur kuch samjha ke kuch vasna aisi hoti hai ki jo samjh mein nahi aati. To dekho al ji aur bol ji ka charit padh ke dekh lo. Wo vasna bhagwane ke liye phir wo rasta de dete bhogo ab dekho kya hai phir uska parinaam dikhate hain janmjanm ke liye wo vasna nasht ho jati sharanagati par kabhi apne isht par prashnavachak chinh na lagao ki aisa kyon hua hamare saath kya param mangal vidhan shri ji ka hoga ab to amangal ho hi nahi sakta hamara kyonki ham mangal bhavan ki sharan mein ye aap log garv mein raho accha aap ek mala chala lete ho, parikrama kar lete ho to aapko is par vishwas hai aur shri ji ki kripa par vishwas nahi hai aur pure janm bhar ye sab karo mala chalao aur parikrama lagao aur ek vaishnav ki ninda kar do to sab bhasm ho jaega.

bhaktan ninda ati buri bhul kare jin ko kiye sukrit bahu janm ke kshan mein dhare sadhu avagya kya param bal milega isliye kripa se sharanagat pratipa hamare banae banegi koti kalp lo aapke banae banegi kal hamen chinta nahi karni ham aapse kahte hain bhajan na bane rahne do vani path raho rahne do thakur seva rahne do hamari baat pakar lo Vrindavan mat chodo jo mile wo khao pare raho bhagwat prapt kar lo pare raho kuch karna mat par padhe padhe kuch kuch kuch na jane kya kah padhe hi to nahi rahte nahi to sachchi kahte sharanagati ka sidha prabhav ye hai ki shri Harivansh pratap naam naukad sevak bhavsagar sukh tart niktat Harivansh sevak sevak ji ne kaha bhavsagar sukh tart ab hamara samay kahin galat na ho jae isliye ham naam seva ka lekin hamara kalyan ho gaya hamara kalyan usi samay ho gaya jis din guru ji ne sharanagat kiya.

jaise shri Krishna ki sharan hote hi arjun ka sab theek vijay prapt ho gaya. Sadh lekin 18 din maharaj hua bas kam to usi samay ho gaya tha jab shri Krishna se kahan sadhimam main aapka shishya hoon aur aapka sharanagat wahi vijay ho gaye Sanjay ji ne ghoshit kar diya tha pehle hi Dhritarashtra se yatra yogesh pushpo yatra po dhanadhra tatr shri vijay dh lekin phir bhi 18 aap baithe hain age aur yuddh karva rahe aise hi hamare age age prabhu chalenge lekin hamko yuddh karna padega pakka to aise bilkul aise raho sharanagat raho sab karva lenge wo apne aap sab karva lenge agar aapko bahut jaldi

sharanagati ka anand lena hai to char baten chhod naam jap mantr jap vani path aur thakur aur ekdam pramad sthiti ho kuch na karo to Vrindavan mein pare raho galat aacharan mat karo pare rahoge to dheeredheere yahan ka prabhav aisa hai ki aapko bhajan mein laga dega wo kya hai ki yahan phirat swarth apne bhajan gaye phire ham nahi kah rahe tulsidas ji kah rahe yahan phire swarth apne aur bhajan gaye phire vah ek vaishnav ka darshan amangal nasht kar deta vaishnav dham hai chalat phirat suniyat aisi Radha vallabh lal aise Vrindavan vipid mein basat raho yahan to har jagah naam gunj raha hai bhagwan ka kam padega mangal ho jaega vaishnav darshan honge thakur darshan honge yahan prasad milta hai kahin bhi paoge to prasad hi hai thakur ke bhog lagakar har ashraomo mein pavaya jaata hai to prasad pao shri ji ka pare raho prasad aur charanamrit aur raj aur Vrindavan dham ye sab paramp pahuncha denge par vishwas ho na vishwas hi nahi hota hai ki usko is baat par vishwas hai ki ham 11 mala ghuma liya to isse kalyan ho jaega.

is baat par vishwas nahi ki guru ji ne shri ji ki sharanagati kar di. Ye to ek kriya hai. Ab ham jie to kaise jie? Hamara samay kat raha hai aise mangalmay bhagwat katha sun rahe hain naam jap kar rahe hain vani path kar rahe thakur seva lekin hamara kalyan to ho gaya kyonki guru ji ne shri ji ki sharanagati kar di aur shri ji ne sharanagati sweekar kar di ye thesak andar aa jani chahiye swabhav shri Radha lal ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi